HadeesHazrate Anas Radiyallahu ta’ala anhu se Riwayat hai ki huzoor-e- aqdas sallallaahu Ta’ala alaihi wasallam ne farmaya “SEHRI KHAO KI SEHRI KHAANE ME BARKAT HAI. (Bukhari& Muslim )
HadeesHazrat Abu Saeed khudri Radiyallahu ta’ala anhu se Riwayat hai k huzoor sallallaahu Ta’ala alaihi wasallam ne farmaya ki sehri kul ki kul barkat hai use na chhodna . Kuchh bhi nah o ya dil nahi chaahe to ek ghoont paani bhi pee lena. kyun ki sehri khaane waalon par allah aur uske farishte durood bhejte hain.(Musnad imam ahmed bin hambal)
HadeesHazrate Sahal Bin Sa’ad RadiYallahu Ta’ala anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor E Aqdas SallalLaahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Farmaya ki: HaMesha Log Khair Ke Sath Raheinge Jab Tak Iftaar Me Jaldi Karenge(Bukhari, Muslim Sharif)
HadeesHazrate Salman Bin Aamir Radiyallahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai K Huzoor-E-Aqdas SallalLaahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya ki: Jab Tum me Se Koi Rozah Iftaar Kare To Khujoor Ya Chhohare Se Iftaar Kare Ki Woh Barkat wala Hai Agar Woh Na Mile To Paani Se Kyunki Woh Paak Karne Wala Hai. (Abu Dawood, Tirmizi Sharif)
Mas'ala:Sehri Khana Aur Usme Taakhir Karna Mustahab Hai Magar Itni Taakhir Makrooh Hai ki Subah Ka Shak Ho Jaae.
Mas'ala:Iftaar Me Jaldi Karna Mustahab Hai .
Mas'ala:Sehri aur Iftaari me waqt ka etebaar hai,Azaan ka nahi.Yani agar waqt ho gaya hai to iftaar kar sakte hai agarche Azaan nahi hui ho,Isi tarah waqt khatam ho gaya to sehri khaana band karna hoga,Aur waqt khatam hone ke baad bhi ye soch kar khaata pita raha ki abhi Azaan nahi hui hai,To uska roza nahi hoga.
Mas'ala:Subah Saadiq Tak SEHRI Kha Sakte Hai Magar Ehtiyaatan 5 Minute Pehle Khaana Pina chhod dena Behtar Hai.
Mas'ala:Kisi Bhi Roze Ke liye Sehri Shart Nahin Ye Jo Awaam Me Mash’hoor Hai ki Nafli Roze Ke Liye Sehri Zaroori Hai Iski Koi Asl Nahi Balke Bagair Sehri Bhi Ye Roze Ho Jaaenge.
Share.........
Ramzan-ul-Mubarak ki Fazilat Roze Ki Ahmiyat Wa Fazilat Roze Ki Niyyat Ke Masail Un Cheezon ka Bayaan jinse Rozah Nahin Toot ta Rozah Torne Waali Cheezon Ka Bayan Roze Ke Makhroohat Ka Bayaan Un Surton Ka Bayaan Jin Me Sirf Qazaa Laazim Hai Un Surto Ka Bayaab Jinme Qaza Ke Saath Kaffara Bhi Laazim Hai. Kaffara Ka Bayan Aur Uske Laazim Hone Ki Sharten Kin Halaaton Me Rozah Na Rakhne Ki Ijaazat Hai Roze Ke Fidya Ke Masail Shab-e-Qadar Ki Fazilat Etekaaf Ke Masaail Nafli Rozo Ka Bayan