Un Cheezon Ka Bayaan Jinse Rozah Nahin Toot ta



Mas'ala:Bhool kar khaane Pine aur HumBistari karne se Rozah nahi toota chaahe wo Rozah Nafl ho ya farz.
Mas'ala:Kisi Rozdaar ko bhool kar khaate – peete dekhe to yaad dilaana wajib hai, yaad na dilaya to Gunehgaar hoga.Lekin agar roza rakhne wala bahut kamzor hai to yaad nahi dilaane me koi harj nahi.
Mas'ala:Makh-khi ya Dhuwa ya Gubaar halaq Me jaane se Rozah Nahin toot ta.
Mas'ala:Tel ya surma lagaane se Rozah nahi toot ta, agarche tel ya surme ka maza halaq Me Mehsoos hota ho balke thook Me surme ka rang bhi dikhaayi deta ho jab bhi Nahin tootega.
Mas'ala:Gusl Kiya aur paani ki thandak andar Mehsoos hui, Rozah Nahin toota.
Mas'ala:Kulli ki aur paani bilkul phek diya sirf kuchh tari munh Me baaki reh gayi thi, thook ke saath Use nigal gaya, Rozah Nahin toota.
Mas'ala:Kaan Me paani chala gaya, Rozah Nahin toota.
Mas'ala:Tinke se kaan khujaya aur Uss (tinke) Par kaan ka mail lag gaya phir wahi Mail laga hua tinka Kaan Me daala agarche chand baar kiya ho, Rozah Nahi toota.
Mas'ala:Daanton Se Khoon Nikal kar Halaq Tak Pahuncha Magar Halaq Se Niche Na Utra To Rozah Na Toota Aur Agar Halaq Se Niche Utara Magar Itna Kam Tha Ki Halaq Me Mazah Menhsoos Na Hua Jab Bhi Rozah Na toota.
Mas'ala:Thook, Balgum, Naak ki Reet wagairah nigalne se Rozah Nahin toot ta.
Mas'ala:Bhoole se Khana kha raha tha yaad aate hi fauran luqma phek diya ya Subha-saadiq se pehle kha raha tha aur subha hote hi Ugal diya , Rozah na gaya aur Nigal gaya to dono Surton Me Rozah jaata raha.
Mas'ala:Ehtlaam(Night Fall) hua ya Geebat ki to Rozah na gaya Agarche Geebat bahut sakht gunah hai.
Quran-e-Majeed Me Geebat karne ki Nisbat Farmaya jaise Apne Murda Bhai ka Gosht khaana(Surah-e-Hujraat Aayat 12) aur Hadees Mein Farmaya Geebat Zina se bhi Sakht Tar(Bahut Sakht) hai . Geebat ki wajah se Roze ki Nooraniyyat khatam ho jaati hai.
Mas'ala:Janaabat (Napaaki) ki haalat Me Subha kiya Agar pure din Naapak raha , Rozah na gaya magar itni der tak jaan bujh kar Gusl na karna Ki Namaaz Qaza ho jaaye Gunah wa Haraam hai. Hadees Me hai Ki Junub (Napaak) jis Ghar Me hota hai usme Rehmat ke Farishte Nahin Aate.
Mas'ala:Daanton Me koi Cheez Chane se kam thi aur use Nigal gaya , Rozah na toota.
Mas'ala:Aankhon Me dawa daalne se Rozah Nahi toot ta.
Mas'ala:Khoon Nikalwane ya chadhwaane se Rozah Nahin toot ta, isi tarah Glucose chadhane se bhi Nahin toot ta.
Mas'ala:Jaan bujh kar Qai (Ulti) ki, agar munh bhar na ho to Rozah na tootega.
Mas'ala:Be-ikhtiyar Qai (Ulti) ho gayi to thodi ho ya Zyaada, Rozah nahi tootega.
Mas'ala:Khud-bakhud Ulti hui phir use Nigal gaya to agar munh bhar na ho, To Rozah nahi tootega.
Mas'ala:Balgum ki Qai kitni hi ho us se Rozah Nahin tootega.
Mas'ala:Rozdar ke jism par Zakhm hai aur us se peep baha to Rozah na gaya.
Mas'ala:Roze ki haalat Me itr lagaya ya usko soongha ya phool soongha ya baal katwaya ya Naakhun kaata ya sar ya badan ke kisi aur hisse par baam ya tel ki Maalish ki ya Powder wa Cream wagairah lagaaya to inn sab surton Me Rozah na gaya.
Mas'ala:Roze ki Haalat Mein Aankh ka Operation karaya Ya aur kisi azu (Parts) ka Operation karaya, Rozah na gaya.
Mas'ala:Aansu ya Paseena munh Me chala gaya aur use nigal gaya to agar Qatra-2-Qatra hai to Rozah nahi tootega.
Share.........




Related Topics



Ramzan-ul-Mubarak ki Fazilat Roze Ki Ahmiyat Wa Fazilat Roze Ki Niyyat Ke Masail Rozah Torne Waali Cheezon Ka Bayan Roze Ke Makhroohat Ka Bayaan Un Surton Ka Bayaan Jin Me Sirf Qazaa Laazim Hai Un Surto Ka Bayaab Jinme Qaza Ke Saath Kaffara Bhi Laazim Hai. Kaffara Ka Bayan Aur Uske Laazim Hone Ki Sharten Sehri Wa Iftaar Ka Bayaan Kin Halaaton Me Rozah Na Rakhne Ki Ijaazat Hai Roze Ke Fidya Ke Masail Shab-e-Qadar Ki Fazilat Etekaaf Ke Masaail Nafli Rozo Ka Bayan



Dawat-E-Quran