HadeesHazrat Abu Hurairah Radiyallahu T’aala anhu se Riwayat hai k Rasoolullah sallallaahu t’aala alaihi wasallam ne farmaya “ JO BOORI BAAT Kehna AUR USPAR AMAL Karna NAHI Chhore TO ALLAH T’aala Ko Uski Kuch Haajat Nahin Ki Usne Khaana Peena Chhor Diya Hai. (BUKHARI ,TIRMIZI SHARIF)
Mas'ala:Jhoot, Geebat, Chugli,Gaali dena Behooda baat, kisi ko takleef dena wagairah. ye sab baate waise bhi na jaaiz -o-haraam hain roze Me aur zyaada haraam. aur inki wajah se roze Me karahat Aati hai.
Mas'ala:Rozahdar ko begair majburi ke kisi cheez ka chakhna ya chabana makrooh hai.
Mas'ala:chakhne ke liye uzr ye hai k maslan kisi aurat ka shauhar bad mijaaz hai ki namak kam wa zyaada hoga to naaraaz hoga to iss wajah se chakhne Me harj Nahin.
Mas'ala:chakhne ka woh matlab Nahi hai jo aaj kal aam rivaaj hai yaani Kisi cheez ka mazah maloom karne ke liye Usme se thoda kha lena ki Yu to karahat kaisi? Rozah hi toot jaaega . balki kaffara ke sharait Paae jaaen to kaffara bhi LazIm hoga.
Mas'ala:chakhne se muraad ye hai ki zubaan par rakhkar Mazah maloom karle aur use thook de Uss Me se Halaq Me Kuchh Na Jaa Paae Warna Rozah Toot jaaega
Mas'ala:Gulaab ya itr wagairah sunghna daadhi, mooch Me tel lagaana aur surma lagaana makhrooh Nahin.
Mas'ala:Roze Me miswaak karna makhrooh Nahin balki jaise aur dino Me sunnat hai roze Me bhi sunnat hai.
Mas'ala:Roze Me manjan, toothpaste,wagairah ka istemal makhrooh hai aur agar ye cheezein halaq se neeche utar gayi to Rozah toot jaaega.
Mas'ala:Rozahdar ke liye kulli karne aur naak Me paani chadhaane Me mubaalga karna makrooh hai.
Mubaalga karne ke ye matlab hai ki ek dam bhar munh paani le
Mas'ala:Thandak pahunchaane ke liye kulli karna ya gusl karna makhrooh Nahi
Mas'ala:Munh Mein thook jama kar ke nigal jaana makhrooh hai
Share.........
Ramzan-ul-Mubarak ki Fazilat Roze Ki Ahmiyat Wa Fazilat Roze Ki Niyyat Ke Masail Un Cheezon ka Bayaan jinse Rozah Nahin Toot ta Rozah Torne Waali Cheezon Ka Bayan Un Surton Ka Bayaan Jin Me Sirf Qazaa Laazim Hai Un Surto Ka Bayaab Jinme Qaza Ke Saath Kaffara Bhi Laazim Hai. Kaffara Ka Bayan Aur Uske Laazim Hone Ki Sharten Sehri Wa Iftaar Ka Bayaan Kin Halaaton Me Rozah Na Rakhne Ki Ijaazat Hai Roze Ke Fidya Ke Masail Shab-e-Qadar Ki Fazilat Etekaaf Ke Masaail Nafli Rozo Ka Bayan