Ramzan-ul-Mubarak ki Fazilat



Ramzan bari azmat aur barkat wala mahina hai.Hazrat-e-Salman farsi radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne Shaaban ke mahine ke aakheri din khutba diya to irshad farmaya ki: Aye logo!Tumhaare paas azmat aur barkat wala mahina aaya.Aisa mahina jis me ek raat hazaar mahino ki raat se behtar hai.Is ke roze ko Allah Ta’ala ne farz farmaya aur iski raato me Qayam (Yani tarawih padhne ko)sunnat.Jo shakhs is mahine me koi neki ka nafli kaam kare to aisa hai jaise kisi aur mahine me farz ada kiya aur jis ne farz ada kiya to aisa hai jaise dusre dino me 70 farz ada kiya.Ye sabr ka mahina hai aur sabr ka sawab jannat hai.Aur ye bhalaai aur gamkhaari ka mahina hai. Is mahine me momin ka rizq badha diya jaata hai.Jo is me roza rakhne wale ko iftaar karaata hai us ke gunaah bakhsh diye jaate hain aur uski garden ko jahannam se azaad kar diya jaata hai.Aur iftaar karaane wale ko waisa hi sawab milta hai jaisa roza rakhne wale ko.Aur us ke sawab me bhi koi kami nahi hoti.Sahaba-e-Kiraam ne arz kiya:Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam! Ham me se har shakhs ke paas itni taaqat nahi hoti hai ki woh iftaar kara sake.To Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Ye sawab us shakhs ko bhi milega jo ek ghont doodh Ya ek chhohaara ya ek ghont paani se iftaar karaaega.Aur jo roza rakhne wale ko bhar pet khilaaega to us ko Allah Ta’ala mere Hauz (Kausar) se pilaaega,To woh kabhi piyaasa nahi hoga yahan tak ki woh jannat me daakhil ho jaaega.Ye woh mahina hai jis ka pahla hissa rahmat aur bich ka hissa magfirat aur aakheri hisse me jahannam se azaadi hai.Jo shakhs is mahine me apne nokar ya gulam par asaani kare aur us se kam kaam karaae to Allah Ta’ala use bakhsh dega aur jahannam se azaad farma dega. [Sho’abul imaan , Hadis No.3336] Hadees:Hazrat-e-Abu Hurairah radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki: Jab Ramzanul Mubarak ki pahli raat aati hai to shaitaan aur badmaash jinnato ko qaid kar diya jaata hai.Aur jahannam ke darwaazo ko band kar diya jaata hai to phir (pure mahine ) uske kisi darwaaze ko nahi khola jaata hai.Aur jannat ke darwaazo ko khool diya jaata hai to phir us ke kisi darwaaze ko band nahi kiya jaata hai.Aur ek elaan karne wala elaan karta hai.Aye neki ke chaahne walo!Aage badho.Aur Aye buraai ke chaahne walo!Ruk jaao.Aur Allah ki taraf se bando ko is mahine me jahannam se azaad kiya jaata hai.Aur ye maamla har raat ko hota hai.[Tirmizi,Hadis No.682]
Is mahine ka lamha lamha beshumaar rahmato aur barkato wala hai,Is liye chaahiye ki is me ziyadah se ziyadah ibaadat riyazat aur tilawat-o-tasbeeh ke saath guzaare aur apne gunaaho se Allah kareem ki baargah me sachchi tauba Karen.
Hadees:Hazrat Ubadah bin Saamit se riwayat hai ki Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne ek din farmaya,Us waqt Ramzan shuru ho chukka tha. Tumhare paas Ramzan ka mahina aaya hai.Is me Allah tumhe apni rahmat me dhaanp lega,To is mahine rahmat naazil hogi,Allah tumhaare gunaah maaf kar dega aur is me dua qabool karega.Aur Allah Ta’ala tumhaare badh charh kar ibaadat karne ko dekhega aur apne farishto ke saamne tumhaara fakhr se zikr karega,Is liye tum apni khair-o-bhalaayi Allah ke saamne rakho,Kyunki is mahine me Allah ki rahmat se mahroom rahne wala bad-bakht hai.(Al-mo’jamul kabeer lil-tabraani,Hadees:4783)
Hadees:Hazrat-e-Anas radhi Allaho anho kahte hain ki:Main ne Allah ke Rasool sallallaho alaihe wasallam ko farmaate hue suna: Ramzan ka muqaddas mahina aa-gaya hai.Is me jannat ke darwaaze khol diye jaate hain aur jahannam ke darwaaze band kar diye jaate hain.Is me shaitaano ko zanjeero me jakar diya jaata hai.Woh shakhs bara hi bad-naseeb hai jis ne Ramzan ka mahina paaya lekin uski bakhshish nahi hui.Agar uski is mahine me bhi bakhshish nahi hui to phir kab hogi?.(Musannaf ibne Abi Shaiba,Hadees No:8871. Tabraani ausat,Hadees No:7627)
Hadees:Hazrat-e-Ka’b bin Ajrah radhi Allaho anho bayan karte hain ki Allah ke Rasool Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Mimber ke paas aa-jaao, Ham log aa-gaye.Jab ek zina chadhe to farmaya “Aamin” jab dusra chadhe to farmaya “Aamin”Aur jab tisara chdhe to farmaya “Aamin” Jab utre to ham ne arz kiya:Ya Rasoolallah! Ham ne aaj aap se ek aisi chiz suni hai jo pahle nahi suna karte the.Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Jibreel mere paas aaye aur kaha:Jise Ramzan ka mahina mila, Lekin woh apni bakhshish nahi karaa paaya woh bad-qismat ho gaya.Main ne kaha “Aamin” Jab main dusre zine par chadha to unhone kaha:Jis ke saamne aap ka naam liya gaya aur usne darood nahi bheja woh bhi bad-qismat ho gaya.Main ne kaha: “Aamin” Jab main tisare zine par chadha to unho ne kaha:Jis shakhs ki zindagi me uske maa baap dono ya ek borhaape ki umar ko pahunch gaye aur woh unki khidmat kar ke khud ko jannat ka haq-daar nahi banaya,Woh bhi bad-qismat ho gaya.Main ne kaha “Aamin”.(Sunanul kubra lil-baihaqi,Hadees No.8287)
Khaas is Mubarak mahine ke roze rakhne ki beshumaar fazilat aayi hain. Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki: Jis ne Ramzan ka roza imaan ke saath sawab ki niyat se rakha uske pichhle tamam gunaah bakhsh diye jaate hain.(Sahih Bukhari,Hadees No:1896)
Aur Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Jis ne Ramzan ka mahina paaya aur usme roza nahi rakha woh bad-bakht hai.(Majma-uz-zawaaid, Hadees No:4773)
Share.........




Related Topics



Roze Ki Ahmiyat Wa Fazilat Roze Ki Niyyat Ke Masail Un Cheezon ka Bayaan jinse Rozah Nahin Toot ta Rozah Torne Waali Cheezon Ka Bayan Roze Ke Makhroohat Ka Bayaan Un Surton Ka Bayaan Jin Me Sirf Qazaa Laazim Hai Un Surto Ka Bayaab Jinme Qaza Ke Saath Kaffara Bhi Laazim Hai. Kaffara Ka Bayan Aur Uske Laazim Hone Ki Sharten Sehri Wa Iftaar Ka Bayaan Kin Halaaton Me Rozah Na Rakhne Ki Ijaazat Hai Roze Ke Fidya Ke Masail Shab-e-Qadar Ki Fazilat Etekaaf Ke Masaail Nafli Rozo Ka Bayan



Dawat-E-Quran