Roze Ki Niyat Ke Masaail



Mas'ala:Adae Rozahe Ramzaan aur nazre mu’aiyyan aur nafl ke roze ke liye Niyyat ka waqt Suraj dubne se Zuhuwe Kubra ( Shuru Zawaal ) Tak hai.
Mas'ala:Zuhuwe Kubra( Shuru Zawaal) Niyyat ka waqt Nahin bal ki isse pehle Niyyat ho jaana zaroori hai aur khaas Zuhuwe Kubra (Shuru Zawaal) ke waqt Niyyat kiya to Rozah nahi hoga.
Mas'ala:Niyyat dil ke irade ka naam hai, Zubaan se kehna shart Nahin magar zubaan se keh lena mustahab hai.
Mas'ala:Raat me Niyyat ki phir uske baad raat hi me khaaya, piya to Niyyat Nahi gayi, wahi pehli hi Niyyat kaafi hai phir se Niyyat karna zaroori Nahi.
Mas'ala:Din Me Niyyat Kare To Zaroori hai Ki Ye Niyyat Kare ki Main Subha Saadiq Se Rozahdaar hun Aur Agar Ye Niyyat Hai ki Abhi se Rozahdaar Hun Subha Se Nahin To Rozah Nahi Hoga.
Mas'ala:Din Me woh Niyyat saheeh hai ki subah sadiq se Niyyat karte waqt tak Rozah ke khilaaf koi kaam na paya gaya ho-Is liye agar subah sadiq ke fauran baad Jaan Bujhkar khaya, piya uske baad roze ki Niyyat kiya to Rozah nahi hoga aur agar subah sadiq ke baad bhool kar kha pi liya ab Niyyat ki to Rozah ho jaayega.
Mas'ala:Rozah Todne ki Niyyat se Rozah Nahin tutega jab tak todne waali cheez na kare.
Mas'ala:Rozah Todne ka pakka irada kiya magar toda Nahin to Rozah Saheeh hai.
Mas'ala:Agar raat Me roze ki Niyyat ki phir pakka irada kar liya ke Nahin rakhega to woh Niyyat jaati rahi agar nayee Niyyat na ki aur din bhar bhooka, pyaasa raha to Rozah na hua.
Mas'ala:Sehri khaana bhi Niyyat hai chaahe ramzaan ke roze ke liye ho ya kisi aur Rozah ke liye.
Mas'ala:Sehri khaate waqt ye irada hai ki subah ko Rozah na hoga To yeh sehri khaana Niyyat Nahin.
Mas'ala:Ramzan ke har roze ke liye alag alag niyyat ki zarurat hai.Pahli taarikh ko ya kisi taarikh ko ek saath pure Ramzan ke roze ki niyyat kar liya to ye niyyat sirf usi ek din ke liye maana jaaega baaqi dino ke liye nahi.
Mas'ala:Raat me biwi se hambistari kiya aur napaaki ki halat me sehri khaaya aur usi haalat me niyat kiya to roza bilkul sahi hoga.
Mas'ala:Adae Ramzaan aur khaas mannat aur Nafl ke elawa baaqi roze jaise qazae ramzaan aur nazre gair mo’aiyyan aur Nafl ki Qaza(yaani Nafl Rozah rakhkar tod diya tha uski qaza)in sab Me ain(exactly)subah chamakte waqt ya raat Me Niyyat karna zaroori hai.
Mas'ala:Suraj Dubne Se Zuhuwe Kubra(Shuru Zawaal) tak sirf teen qism ke roze ki Niyyat ho sakti hai.
a.) Adae Ramzaan.
b.) Khaas nazr.
c.) Nafli Roze.
Inke elawah Jitne roze hain jaise – Qazae ramzaan wagairah to inki Niyyat ka waqt Gurube Aaftaab ke baad se Subah Sadiq ke chamakte waqt tak hai. To agar kisine ramzaan ke qaza roze ki Niyyat subah sadiq ke baad ki, to Rozah nahi hoga.
Share.........




Related Topics



Ramzan-ul-Mubarak ki Fazilat Roze Ki Ahmiyat Wa Fazilat Un Cheezon ka Bayaan jinse Rozah Nahin Toot ta Rozah Torne Waali Cheezon Ka Bayan Roze Ke Makhroohat Ka Bayaan Un Surton Ka Bayaan Jin Me Sirf Qazaa Laazim Hai Un Surto Ka Bayaab Jinme Qaza Ke Saath Kaffara Bhi Laazim Hai. Kaffara Ka Bayan Aur Uske Laazim Hone Ki Sharten Sehri Wa Iftaar Ka Bayaan Kin Halaaton Me Rozah Na Rakhne Ki Ijaazat Hai Roze Ke Fidya Ke Masail Shab-e-Qadar Ki Fazilat Etekaaf Ke Masaail Nafli Rozo Ka Bayan



Dawat-E-Quran