Mas'ala:Safar Aur Hamal(Pregnancy) Aur Bachcha Ko doodh Peelana Aur Bimari Aur Budhapa, Ye Sab Rozah Na Rakhne Ke Liye majburi Hain. Inn wajho me Se kisi wajah ki bunyad par Koi Rozah Na Rakhe To Gunehgaar Nahi.
Mas'ala:Safar Se Muraad Safar-e-Sharaiy Hai Yaani Itni Door Jaane Ke Iraada Se Nikle K Yaha Se Waha Tak 92 Kilometer Ya Usse Zyaada Ho.
Mas'ala:Din Me Safar Kiya To Us Din Ka Rozah Iftaar Karne Ke Liye Aaj Ka Safar Majburi Nahi. Albatta Agar Todhega To Kaffara Laazim Na Hoga Magar Gunehgaar Hoga.
Mas'ala:Hamal wali(pregnancy)Aurat Ko Apni Jaan Ka dar Ho To Ijaazat Hai Ki Woh Us Waqt Na Rakhe.
Mas'ala:Mareez ko Marz Badh jaane Ya Der Me Achchha Hone Ya Tandrust ko Bimaar Ho Jaane Ka Gumaane Gaalib Ho To Inn Sabko Ijaazat Hai Ki Us Din Rozah Na Rakhe.
Mas'ala:In Surton Me Gaalib Gumaan Ki Qaid Hai sirf Weham(khyaal) Kaafi Nahin.
Mas'ala:Jin Logo Ne Inn Majburiyo Ke Sabab Rozah Toda Un par Farz Hai ki In Rozo Ki Qaza Rakhe Magar Hukm Ye Hai K majburi khatm hone ke baad Doosre Ramzaan Aane Se Pahle Qaza Rakhle.
Hadees Me Farmaya Jispar Peechle Ramzaan Ki Qaza Baaki Hai Aur Woh Na Rakhe Uske Iss Ramzaan Ke Roze Qubool Na Honge Aur agar Roze Na Rakhe Aur Doosra Ramzaan Aa Gaya To Ab Pehle Iss Ramzaan Ke Roze Rakhle, Qaza Na Rakhe(Yaani Ramzaan Ke Baad Rakhe)
Mas'ala:Khud Uss Musafir Ko Aur Uske Saathwale Ko Rozah Rakhne Mein Zarar(Nuqsaan) Na Pahunche To Rozah Rakhna SAfar Me Behtar Hai Warna NA Rakhna Behtar hai.
Share.........
Ramzan-ul-Mubarak ki Fazilat Roze Ki Ahmiyat Wa Fazilat Roze Ki Niyyat Ke Masail Un Cheezon ka Bayaan jinse Rozah Nahin Toot ta Rozah Torne Waali Cheezon Ka Bayan Roze Ke Makhroohat Ka Bayaan Un Surton Ka Bayaan Jin Me Sirf Qazaa Laazim Hai Un Surto Ka Bayaab Jinme Qaza Ke Saath Kaffara Bhi Laazim Hai. Kaffara Ka Bayan Aur Uske Laazim Hone Ki Sharten Sehri Wa Iftaar Ka Bayaan Roze Ke Fidya Ke Masail Shab-e-Qadar Ki Fazilat Etekaaf Ke Masaail Nafli Rozo Ka Bayan