Un Surto Ka Bayan Jinme Qaza Ke Saath Kaffara Bhi Laazim Hai.



Mas'ala:Ramzaan Me Rozah daar Mukallaf(Jispar Rozah Farz ho) Muqim Ne jo Ramzaan ka roza ada karne Ki Niyyat Se Rozah Rakha, Aur koi Geeza Ya Dawa Khaayi Ya Paani Piya Ya Koi Cheez Lazzat Ke Liye Khaayi Ya Pi to Inn Sab Surton Me Qaza Ke Saath Kaffara Bhi Laazim Hai.
Mas'ala:Jis Jagah Rozah Todne Se Kaffara Laazim Aata Hai Usme Shart Hai k Raat Hi Se Ramzaan ke Roze Ki Niyyat Ki Ho Agar Din Me Niyyat Ki Thi Aur Tod Diya To Kaffara Laazim Nahi.
Mas'ala:Kaffara Wajib Hone Ke Liye Bhar Pet Khaana Zaroori Nahin.Thodasa Khaane se Bhi Wajib Ho Jaaega.
Mas'ala:Tel Lagaaya Ya Geebat Ki Phir Ye Gumaan Kar Liya Ki Rozah Toot Gaya Phir Usne Kha Pi Liya Jab Bhi Kaffara Laazim Hai.
Mas'ala:Jin Surton Me Rozah Todne Par Kaffara Laazim Nahin Unme Shart Hai Ki Ek Hi Baar Aisa Hua Ho Aur Gunaah Ka Iraada Na Kiya Ho Warna Unme Kaffara Dena Hoga.
Mas'ala:Sehri Ka Niwala munh Mein Tha Ki Subah Ho Gayi Aur Use Nigal Gaya to Kaffara Wajib Hai.
Mas'ala:Bhool kar Kha Raha Tha Yaad Aa Gaya Aur Nigal Gaya, Kaffara Wajib Hai.
Mas'ala:Ehtlaam(Night Fall) Hua Aur Use Maloom Tha Ki Rozah Na Gaya Phir Kha Liya To Kaffara Laazim Hai.
Mas'ala:Ramzaan Ka Rozah Qasdan(Jaanbujhkar) begair kisi majburi ke Todne Se Kaffara Laazim Aata Hai.
Share.........




Related Topics



Ramzan-ul-Mubarak ki Fazilat Roze Ki Ahmiyat Wa Fazilat Roze Ki Niyyat Ke Masail Un Cheezon ka Bayaan jinse Rozah Nahin Toot ta Rozah Torne Waali Cheezon Ka Bayan Roze Ke Makhroohat Ka Bayaan Un Surton Ka Bayaan Jin Me Sirf Qazaa Laazim Hai Kaffara Ka Bayan Aur Uske Laazim Hone Ki Sharten Sehri Wa Iftaar Ka Bayaan Kin Halaaton Me Rozah Na Rakhne Ki Ijaazat Hai Roze Ke Fidya Ke Masail Shab-e-Qadar Ki Fazilat Etekaaf Ke Masaail Nafli Rozo Ka Bayan



Dawat-E-Quran