Aayatul Kursi Ki Fazilat



Hazrat-e-Abu Huraira radhi Allaho anho bayan karte hain ki:Huzur e Akram Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Har chiz ki ek bulandi hoti hai aur Quran ki bulandi Surah Baqra hai.Is surah me ek aayat hai jo Quran ki saari aayato ki sardaar hai aur woh aayat Aayatul Kursi hai.[Tirmizi,Hadees No:3119]
Hazrat-e-Maula Ali radhi Allaho anho bayan karte hain ki:Main ne Allah ke Rasool Sallallaho alaihe wasallam ko farmaate hue suna: Jo shakhs har farz namaz ke baad aayatul kursi padhe use jannat me daakhil hone se maut ke wlawah aur koi chiz nahi rokne wali hai.Aur jo shakhs bistar par let-te waqt padhta hai to Allah Ta’ala us ke ghar aur uske padosi ke ghar aur uske aas paas ke sabhi ghar ko (har buraayi se) aman ata farma deta hai. [Sho’bul imaan,Hadees No.2174]
Hazrat Abu huraira radhi Allaho anho bayan karte hain ki: Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne mujhe Ramzan ki zakaat ki hifazat par muqarrar faramaya.(Raat me) ek shakhs achaanak mere paas aaya aur galla me se haath bhar bhar kar uthaane laga,Main ne use pakar liya aur kaha ki:Qasam Allah ki!Main tujhe Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam ki khidmat me le jaaunga.Us par usne kaha ki:Allah ki qasam! Main bahut mohtaaj hun,Mere baal bachche hain aur main sakht zarurat-mand hun.Hazrate Abu Huraira radhi Allaho anho ne kaha (Uski baat sun kar) main ne use chhor diya.Subah hui to Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne mujh se puchha:Aye Abu Huraira! Kal ki raat tumhare qaidi ne kya kiya tha? Main ne kaha:Ya rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam! Us ne sakht zarurat aur baal bachcho ka rona roya,To mujhe us par raham aa gaya aur main ne use chhor diya.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Woh tum se jhoot bol kar gaya hai woh phir aayega. Huzur ke farmaane ki wajah se mujhe yaqeen tha ki woh phir aayega is liye main uski taak me laga raha. Jab woh dusri raat aa kar galla uthaane laga to main ne use phir pakar liya aur kaha ki:Tumhe huzur ki khidmat me haazir karunga.Lekin us ne phir wahi ilteja ki,Mujhe chhor dijiye,Main mohtaaj hun aur baal bachcho ka bojh mere sar pe hai,ab kabhi nahi aaunga.Mujhe raham aa gaya aur phir main ne use chhor diya. Jab subah hui to Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne phir mujh se farmaya:Aye Abu Huraira! Raat tumhare qaidi ne kya kiya? Main ne kaha ya Rasoolallah Sallallaho Alaihe Wasallam! Usne phir wahi sakht zarurat aur baal bachcho ka rona roya,Is liye mujhe raham aa gaya aur main ne use chhor diya.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Woh tum se jhoot bol kar gaya hai,woh phir aayega. Tisari raat jab main uske intezaar me tha,Woh phir aa kar galla uthaane laga,Main ne use phir pakar liya aur kaha ki ab tumhe huzur Sallallaho alaihe wasallam ke paas le jaana zaruri ho gaya hai.Ye tisari baar hai,Tum har baar yahi kahte ho ki ab nahi aaunga,aur phir chale aate ho. Usne kaha is baar mujhe chhor dijiye main aap ko kuchh aise kalimaat sikha dunga jis se aap ko Allah Ta’ala faaida pahunchaa-yega.Main ne kaha:Who kalimaat kya hain? Us ne kaha:Jab tum apne bistar par leto to “Aayatul Kursi” puri padh liya karo. To Allah Ta’ala ki taraf se ek farishta tumhari hifazat karega aur subah tak shaitaan tumhare paas nahi aa sakega.Is baar phir main ne chhor diya.Jab Subah hui to phir Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne mujh se puchha: Raat ko tumhare qaidi ne tum se kya maamla kiya.Main ne arz kiya:Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam! Us ne mujhe kuchh kalimaat sikhaaya aur mujhe yaqeen dilaaya ki Allah Ta’ala mujhe us se faaida pahunchaa-yega,Is liye main ne use phir chhor diya.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya us ne tumhe kya sikhaaya? Main ne arz kiya: Usne kaha ki jab bistar par leto to Aayatul Kursi padh liya karo,Is ke padhne ki barkat se Allah Ta’ala ek farishta muqarrar karega jo hifazat karega aur subah tak koi shaitaan tumhare paas nahi aayega. Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne unki baat sun kar farmaya: Agarche woh jhoota tha lekin ye baat usne tum se sach kaha hai. Aye Abu Huraira! Kya tumhe maloom hai ki 3 raaton se tumhara maamla kis ke saath tha? Unhone kaha ki nahi.To huzur Sallallaho alaihe wasallam ne faramaya:who Shaitaan tha.[Sahih Bukhari,Hadees No.2311]
Hazrat Abu Huraira radhi Allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Nabi Kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Jo shakhs Aayatul kursi aur Surah Momin ke shuru ki aayaten “Haa-meem” se “Ilaihil Maseer” tak padhega,Woh sham tak koi na-pasandida surat-e-haal nahi dekhega aur jo shakhs shaam ke waqt padhega who subah tak ko napasandida surat-e-haal nahi dekhega.[Sunan Daarmi,Hadees No.3386]
Share.........




Related Topics



Surah Fatiha Ki Fazilat Surah Baqra Ki Fazilat Surah Baqra Ki Aakheri Ayaat Ki Fazilat Surah Aal-e-Imran Ki Fazilat Surah Kahaf ki Fazilat Surah Yaseen Ki Fazilat Surah Dukhaan Ki Fazilat Surah Rahman Ki Fazilat Surah Waqiya Ki Fazilat Surah Hashr Ki Fazilat Surah Mulk Ki Fazilat Surah Zilzaal Ki Fazilat Surah Takaasur Ki Fazilat Surah Kaafiroon ki Fazilat Surah Ikhlaas ki Fazilat Surah Falaq Aur Naas Ki Fazilat



Dawat-E-Quran