Hazrat Abu Sa’eed khudri radhi Allaho anho se riwayat hai,Huzur Nabi Kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya:Kya tum me se koi is ki taaqat nahi rakhta ki woh raat me Quran Majeed ka tehaayi hissa padhe? Sahaba e kiram ko ye baat mushkil maloom hui aur unhone arz kiya:Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam! Ham me se kaun iski taaqat rakhta hai? Tab Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Surah Ikhlaas tehaayi Quran ke barabar hai.[Sahih Bukhari,Hadees No.5015]
Hazrat Anas radhi Allaho anho se riwayat hai,Ek Shakhs ne kaha:Allah ki Qasam! Main is surah se mohabbat rakhta hun.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Tumhari is se mohabbat tumhe jannat me le kar jaayegi.[ Sunan Darmi,Hadees No.3435]
Hazrat Sa’eed bin Musayyib bayan karte hain ki Huzur Nabi Kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Jo Shakhs 10 martabah Surah ikhlaas padhega Allah Ta’ala uske liye jannat me ek mahal bana-yega.Aur jo 20 baar padhega uske liye jannat me 2 mahal banaa-diye jaayenge.Aur jo 30 baar padhega uske liye jannat me 3 mahal bana diye jaayenge.Hazrat Umar radhi Allaho anho ne kaha:Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam! Is tarah to ham bahut se mahal paa lenge.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya :Allah ki rahmat is se bhi ziyadah badi hai.[Sunan Darmi,Hadees No:3429]
Hazrat Anas bin Malik radhi Allaho anho bayan karte hain ki Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya : Jo shakhs 50 martabah Surah Ikhlaas padhta hai,Allah Ta’ala uske 50 saal ke gunaah bakhsh deta hai.[Sunan Daarmi,Hadees No:3438]
Hazrat Anas bin Malik radhi Allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Jo shakhs apne bistar par sone ka iraada kare aur daaheni karwat par let jaaye aur phir 100 martabah Surah ikhlaas padhe,To jab qayamat ka din aayega,Allah Ta’ala us se farmaayega to apni daaheni taraf se jannat me daakhil ho jaa.[Tirmizi,Hadees No:3144]
Share.........
Surah Fatiha Ki Fazilat Surah Baqra Ki Fazilat Aayatul Kursi Ki Fazilat Surah Baqra Ki Aakheri Ayaat Ki Fazilat Surah Aal-e-Imran Ki Fazilat Surah Kahaf ki Fazilat Surah Yaseen Ki Fazilat Surah Dukhaan Ki Fazilat Surah Rahman Ki Fazilat Surah Waqiya Ki Fazilat Surah Hashr Ki Fazilat Surah Mulk Ki Fazilat Surah Zilzaal Ki Fazilat Surah Takaasur Ki Fazilat Surah Kaafiroon ki Fazilat Surah Falaq Aur Naas Ki Fazilat