Surah Mulk Ki Fazilat



Hazrat Abdullah bin Abbas radhi Allaho anho bayan karte hain ki: Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam ke kisi sahaabi ne ek jagah par khima lagaya,Wahan ek qabar thi aur unhe maloom nahi tha ki yahan par qabar hai.Achaanak unhe maloom hua ki ye ek qabar hai aur us me ek aadmi Surah Mulk padh raha hai yahan tak us ne Surah Mulk mukammal kar li.Woh Sahaabi Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke paas haazir hue to arz kiya: Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam! Main ne anjaane me ek qabar par khima lagaya,Achanak mujhe maloom hua ki ye ek qabr hai,Us me ek aadmi Surah Mulk padh raha hai yahan tak ki usne puri Surah padha.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Ye Surah Qabr ke azaab ko rokne wali aur us se nijaat dene wali hai.[Tirmizi,Hadees No:3133]
Hazrat Abu Huraira radhi Allaho anho se riwayat hai,Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Quran Majeed me 30 aayaton wali ek surat hai,Woh apni tilawat karne wale ki shafa’at karegi yahan tak ki use bakhsh diya jaayega.Woh Surah “Tabaarakal lazee biyadihil mulku” hai. [Tirmizi,Hadees No.3134]
Hazrat Abdullah bin Mas’ood radhi Allaho anho farmaate hain: Surah Mulk apne padhne wale ki taraf se jhagda karegi yahan tak ki use jannat me daakhil karaa degi.[Sho’bul iman,Hadees No:2278]
Hazrat Abdullah bin Abbas radhi Allaho anho se riwayat hai,Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Meri tamanna hai ki meri ummat ke har shakhs ke sine me “Tabaarakal lazee biyadihil mulku” rahe.[Sho’bul iman,Hadees No.2277]
Hazrat Abdullah bin Abbas radhi Allaho anho se riwayat hai,Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Beshak main Allah ki kitaab me ek aisi surah paata hun jis ki 30 aayaten hain.Jo shakhs sote waqt uski tilawat karega to uske liye 30 nekiyan likhi jaayengi.Uske 30 gunaah mita diye jaayenge aur uske 30 darje buland kar diye jaayenge.Aur Allah Ta’ala uski taraf ek farishta bhejta hai jo us par apne par phaila deta hai aur woh us aadmi ke jaagne tak har chiz se uski hifazat karta hai.Woh Surah bahas karne wali hai,Jo apni tilawat karne wale ki taraf se qabr me bahas karti hai.Woh Surah Mulk hai.[Masnadul Firdaus,Baab Alif, Hadees No:179]
Share.........




Related Topics



Surah Fatiha Ki Fazilat Surah Baqra Ki Fazilat Aayatul Kursi Ki Fazilat Surah Baqra Ki Aakheri Ayaat Ki Fazilat Surah Aal-e-Imran Ki Fazilat Surah Kahaf ki Fazilat Surah Yaseen Ki Fazilat Surah Dukhaan Ki Fazilat Surah Rahman Ki Fazilat Surah Waqiya Ki Fazilat Surah Hashr Ki Fazilat Surah Zilzaal Ki Fazilat Surah Takaasur Ki Fazilat Surah Kaafiroon ki Fazilat Surah Ikhlaas ki Fazilat Surah Falaq Aur Naas Ki Fazilat



Dawat-E-Quran