Surah Waqiya Ki Fazilat



Hazrat Abdullah bin Mas’ood radhi allaho anho se riwayat hai,Huzur Nabi Kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Jo shakhs har din raat ke waqt Surah Waqiya ki tilawat karega woh faaqe se hamesha mahfooz rahega.[Sho’bul imaan,Hadees No:2268]
Hazrat Anas bin Malik radhi Allaho anho se riwayat hai,Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Apni aurato ko Surah Waqiya sikhaao,Kyunki ye Suratul-Gina (Yani Mohtaaji ko door karne wali)Surat hai.[Masnadul firdaus,Hadees No:4005]
Hazrat Abu Fatima bayan karte hain ki Hazrat Usman gani radhi Allaho anho,Hazrat Abdullah Bin Mas’ood radhi allaho anho ke paas iyaadat karne ke liye tashrif le gaye,Us waqt woh apne marz-e-wafaat me mubtala the.Hazrat Usman Gani ne un se farmaya:Aap kis chiz ki takleef mehsoos kar rahe hain? Hazrat Abdullah Bin Mas’ood ne jawab diya:Apne gunaaho ki takleef mahsoos kar raha hun.Hazrat Usman Gani ne farmaya:Aap ko kis chiz ki tamanna hai? Hazrat Abdullah bin Mas’ood ne farmaya:Mujhe apne Rab ki rahmat ki tamanna hai.Hazrat Usman ne farmaya:Aap kisi Tabeeb ko kyun nahi bulwa-lete hain? Hazrat Abdullah bin Mas’ood ne kaha: Tabeeb ne hi to mujhe bimaar kiya hai.Hazrat usman ne farmaya:Kya main Aap ko kuchh maal dene ka hukm karun? Hazrat Abdullah Bin Mas’ood ne jawab diya:Mujhe uski koi zarurat nahi hai.Hazrat Usman ne farmaya :Ham woh maal aap ki betiyon ko de dete hain.Hazrat Abdullah bin Mas’ood ne kaha:Unhe bhi is maal ki koi zarurat nahi hai.Main ne unhe hukm diya hai ki woh Surah Waqiya padha kare,Kyunki main ne Huzur Sallallaho alaihe wasallam ko ye farmaate hue suna hai ki:Jo shakhs har din raat ke waqt Surah Waqiya padhe woh faaqe se hamesha mahfooz rahega.[Tafseer Madarik]
Share.........




Related Topics



Surah Fatiha Ki Fazilat Surah Baqra Ki Fazilat Aayatul Kursi Ki Fazilat Surah Baqra Ki Aakheri Ayaat Ki Fazilat Surah Aal-e-Imran Ki Fazilat Surah Kahaf ki Fazilat Surah Yaseen Ki Fazilat Surah Dukhaan Ki Fazilat Surah Rahman Ki Fazilat Surah Hashr Ki Fazilat Surah Mulk Ki Fazilat Surah Zilzaal Ki Fazilat Surah Takaasur Ki Fazilat Surah Kaafiroon ki Fazilat Surah Ikhlaas ki Fazilat Surah Falaq Aur Naas Ki Fazilat



Dawat-E-Quran