Hazrat Anas bin Malik radhi Allaho anho bayan karte hain ki: Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Har chiz ka dil hai aur Quran ka dil Surah Yaseen hai.Jis ne Surah Yaseen padha to Allah Ta’ala us ke liye 10 baar Quran padhne ka sawab likhta hai.[Tirmizi,Hadees No.3129]
Hazrat Ata bin abi Rubaah farmaate hain:Mujh tak ye hadis pahunchi ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Jo din ke shuru me Surah Yaseen padh le to uski tamaam zaruraten puri hongi.[Sunan daarmi,Hadees No:3418]
Hazrat Anas bin Malik radhi Allaho anho se riwayat hai,Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya : jo shakhs har raat Surah Yaseen padhne par hameshgi ekhtiyar kare,Phir woh mar jaaye to shahaadat ki maut marega.[Al-Mo’jamul Ausat,Hadees No:7081]
Share.........
Surah Fatiha Ki Fazilat Surah Baqra Ki Fazilat Aayatul Kursi Ki Fazilat Surah Baqra Ki Aakheri Ayaat Ki Fazilat Surah Aal-e-Imran Ki Fazilat Surah Kahaf ki Fazilat Surah Dukhaan Ki Fazilat Surah Rahman Ki Fazilat Surah Waqiya Ki Fazilat Surah Hashr Ki Fazilat Surah Mulk Ki Fazilat Surah Zilzaal Ki Fazilat Surah Takaasur Ki Fazilat Surah Kaafiroon ki Fazilat Surah Ikhlaas ki Fazilat Surah Falaq Aur Naas Ki Fazilat