Hazrat Abu Sa’eed Khudri radhi Allaho anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam jinnat aur insaano ki nazar se panaah maanga karte the yahan tak ki Surah falaq aur Surah Naas naazil huin,Phir Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne in surato ko padhna shuru kiya aur in ke elawah dusre kalimaat ko chhor diya.[Sunan Nisaayi,Hadees No:5449]
Hazrat Aabis juhni radhi Allaho anho se riwayat hai,Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya:Aye Aabis! Main tumhe woh kalimaat na bata dun jo (Sharir jinnat aur nazar bad se) Allah Ta’ala ki panah talab karne me sab se afzal hain? Unhone arz kiya:Haan,Zarur, Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam! Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Woh kalimaat ye dono suraten hai.Surah Falaq aur Surah Naas.[Sunan Nisaayi,Hadees No:5449]
Hazrat Abdullah bin Khubaib radhi Allaho anho kahte hain ki: Andhere ke saath bearish hui,Ham log Huzur Sallallaho alaihe wasallam ka namaz padhaane ke liye intezaar kar rahe the.Jab Huzur Namaz padhaane ke liye nikle to Aap ne farmaya:Kuchh kaho.Main ne arz kiya:Kya kahun? Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Surah Ikhlaas,Surah Falaq aur Surah Naas, Subah aur shaam 3 martabah padh liya karo.Ye suraten tumhare liye har takleef aur musibat me kaafi hongi.[Sunan Nisaayi,Hadees No:5430]
Share.........
Surah Fatiha Ki Fazilat Surah Baqra Ki Fazilat Aayatul Kursi Ki Fazilat Surah Baqra Ki Aakheri Ayaat Ki Fazilat Surah Aal-e-Imran Ki Fazilat Surah Kahaf ki Fazilat Surah Yaseen Ki Fazilat Surah Dukhaan Ki Fazilat Surah Rahman Ki Fazilat Surah Waqiya Ki Fazilat Surah Hashr Ki Fazilat Surah Mulk Ki Fazilat Surah Zilzaal Ki Fazilat Surah Takaasur Ki Fazilat Surah Kaafiroon ki Fazilat Surah Ikhlaas ki Fazilat