Hazrat Sayed bin Mu’alla radhi Allaho anho bayan karte hain ki: Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne mujhe bulaaya, Main Namaz padh raha tha,is liye main koi jawab nahi de saka.Phir main (Namaz se faarig ho kar Aap ki khidmat me haazir hua) aur arz kiya:Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam!Main namaz padh raha tha.Is par Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Kya Allah Ta’ala ne ye nahi farmaya hai ki “Allah aur uske Rasool ki bargaah me haazir ho jaao,Jab who tumhe bulaaye”.(Surah Anfal,Aayat:24) phir Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Kya main tumhe Masjid se nikalne se pahle Quran ki sab se ziyadah azmat wali surah na sikha dun? Phir Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne mera haath pakar liya aur jab ham Masjid se nikalne lage to main ne arz kiya : Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam! Abhi Aap ne farmaya tha ki Masjid ke bahar nikalne se pahle Aap mujhe Quran ki sab se ziyadah azmat wali Surah sikhaayenge.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Haan,woh surah “Al-hamdu lillahi Rabil Aalameen” hai.Yahi woh 7 aayaat hain jo (har namaz me) baar baar padhi jaati hain.Aur yahi woh “Quran-e-Azim” hai jo mujhe diya gaya hai. [Sahih Bukhari,Hadees No:5006]
Hazrat-e-Abdullah bin Abbas radhi Allaho anhuma farmaate hain ki: Hazrat-e-Jibreel,Huzur Nabi Kareem Sallallaho alaihe wasallam ke paas baithe hue the ki achaanak upar se ek awaaz suni to Huzur ne apna sar Mubarak uthaaya.Hazrat-e-Jibreel ne farmaya ki ye Aasmaan ka darwaaza hai jise sirf aaj ke din khola gaya hai,Phir us se ek farishta utra,Hazrat-e-Jibreel ne farmaya:Ye farishta aaj se pahle kabhi zameen par nahi utra.Us ne Huzur Sallallaho alaihe wasallam ki bargaah me salam pesh kar ke arz kia:Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam! Aap ki un do noor ki bashaarat ho jo aap ke elawah aur kisi nabi ko nahi diya gaya,Aur woh do noor ye hain (1) Surah Fatiha.(2) Surah baqra ki aakheri aayaten. In me se jo harf bhi padhenge Aap ko uske mutaabiq diya jaayega.[ Sahih Muslim,Hadees No:1339]
Hazrat Abdul-Malik bin Umair radhi Allaho bayan karte hain ki Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Surah Fatiha me har bimari ki shifa maujood hai.[ Sunan Daarmi,Hadees No.2336]
Share.........
Surah Baqra Ki Fazilat Aayatul Kursi Ki Fazilat Surah Baqra Ki Aakheri Ayaat Ki Fazilat Surah Aal-e-Imran Ki Fazilat Surah Kahaf ki Fazilat Surah Yaseen Ki Fazilat Surah Dukhaan Ki Fazilat Surah Rahman Ki Fazilat Surah Waqiya Ki Fazilat Surah Hashr Ki Fazilat Surah Mulk Ki Fazilat Surah Zilzaal Ki Fazilat Surah Takaasur Ki Fazilat Surah Kaafiroon ki Fazilat Surah Ikhlaas ki Fazilat Surah Falaq Aur Naas Ki Fazilat