Surah Baqra ki Aakheri Aayaat Ki Fazilat



Hazrate Abu Mas’ood radhi Allaho anho bayan karte hain: Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Jo shakhs raat ko surah baqra ki aakheri 2 aayaten padhta hai woh uske liye kaafi ho jaati hain.[Sahih Bukhari,Hadees No:5009]
Hazrat-e-Abdullah bin Abbas radhi Allaho anhuma farmaate hain ki: Hazrat-e-Jibreel,Huzur Nabi Kareem Sallallaho alaihe wasallam ke paas baithe hue the ki achaanak upar se ek awaaz suni to Huzur ne apna sar Mubarak uthaaya.Hazrat-e-Jibreel ne farmaya ki ye Aasmaan ka darwaaza hai jise sirf aaj ke din khola gaya hai,Phir us se ek farishta utra,Hazrat-e-Jibreel ne farmaya:Ye farishta aaj se pahle kabhi zameen par nahi utra.Us ne Huzur Sallallaho alaihe wasallam ki bargaah me salam pesh kar ke arz kia:Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam! Aap ki un do noor ki bashaarat ho jo aap ke elawah aur kisi nabi ko nahi diya gaya,Aur who do noor ye hain (1) Surah Fatiha.(2) Surah baqra ki aakheri aayaten. In me se jo harf bhi padhenge Aap ko uske mutaabiq diya jaayega.[ Sahih Muslim,Hadees No:1339]
Ayfa bin Abdul kalaayi bayan karte hain ki:Ek shakhs ne arz kiya:Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam ! Quran ki kaun si surah ziyadah azmat wali hai? Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Surah Ikhlaas.Us shakhs ne arz kiya:Quran ki kaun si aayat ziyadah azmat wali hai? Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Aayatul Kursi. Us shakhs ne puchha ki: Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam! Woh kaun si aayat hai jis ke bare me aap ye pasand karenge ki aap ki ummat use padhe? Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Surah Baqra ki aakheri aayaten.Kyunki ki ye Allah ki rahmat ke khazaano me se hain jo uske arsh ke niche hain.Allah ne ye is ummat ko ata kiya hai.Dunya aur aakhirat ki har bhalaayi is me hai.[Sunan Daarmi,Hadees No.2380]
Hazrat-e-Abu Zar radhi Allaho anho bayan karte hain ki: Huzur Nabi Kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya : Allah Ta’ala ne surah baqra ko 2 aisi aayato ke zariye khatam kiya hai jo uske arsh ke niche maujood khazaane me se mujhe ata ki gayi hai.Tum unka ilm haasil karo aur apni aurato ko unki taalim do kyunki ye dono namaz,Quran aur du aka hissa hai.[Al-Mustadrak lil-haakim,Hadees No.2066]
Share.........




Related Topics



Surah Fatiha Ki Fazilat Surah Baqra Ki Fazilat Aayatul Kursi Ki Fazilat Surah Aal-e-Imran Ki Fazilat Surah Kahaf ki Fazilat Surah Yaseen Ki Fazilat Surah Dukhaan Ki Fazilat Surah Rahman Ki Fazilat Surah Waqiya Ki Fazilat Surah Hashr Ki Fazilat Surah Mulk Ki Fazilat Surah Zilzaal Ki Fazilat Surah Takaasur Ki Fazilat Surah Kaafiroon ki Fazilat Surah Ikhlaas ki Fazilat Surah Falaq Aur Naas Ki Fazilat



Dawat-E-Quran