Surah Takaasur Ki Fazilat



Hazrat Abdullah bin Umar radhi Allaho anhuma se riwayat hai,Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Kya tum me se koi iski taaqat nahi rakhta ki woh har din 1000 aayato ki tilawat kare? Sahaba e kiram ne kaha:Iski taaqat kaun rakhta hai? Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Kya tum me koi har din “Alha kumutta-kasur” padhne ki taaqat nahi rakhta? [Yani ye surah padhna swab me ek hazaar aayaton ke barabar hai].[Al-Mustadrak lil hakim,Hadees No:2081]
Hazrat Jareer bin Abdullah radhi Allaho anho bayan karte hain ki: Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Main tumhare saamne “Surah Takaasur” padhne laga hun to use sun kar jo ro pade,Uske liye jannat hai.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne woh surah padhi to kuchh sahaba ro pade aur kuchh sahaba ko rona nahi aaya.Jin sahaba ko rona nahi aaya,Unho ne arz kiya:Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam! Ham ne bahut koshish kiya lekin ham nahi ro sake.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Main dobarah tumhare saamne padhta hun to jo ro padega uske liye jannat hai aur jise rona nahi aaye woh rone jaisi surat bana le.[Sho’bul imaan, Hadees No.1894]
Share.........




Related Topics



Surah Fatiha Ki Fazilat Surah Baqra Ki Fazilat Aayatul Kursi Ki Fazilat Surah Baqra Ki Aakheri Ayaat Ki Fazilat Surah Aal-e-Imran Ki Fazilat Surah Kahaf ki Fazilat Surah Yaseen Ki Fazilat Surah Dukhaan Ki Fazilat Surah Rahman Ki Fazilat Surah Waqiya Ki Fazilat Surah Hashr Ki Fazilat Surah Mulk Ki Fazilat Surah Zilzaal Ki Fazilat Surah Kaafiroon ki Fazilat Surah Ikhlaas ki Fazilat Surah Falaq Aur Naas Ki Fazilat



Dawat-E-Quran