Surah Baqrah Ki Fazilat



Hazrat Abu Umama Baaheli radhi Allaho anho bayan karte hain ki: Huzur Nabi Kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Quran Majeed ki tilawat kiya karo,Kyunki woh Qayamat ke din apni tilawat karne walo ki shafa’at karega.Aur 2 raushan suraten(Yani)Surah Baqra aur Surah Aale Imran padha karo kyunki ye dono qayamat ke din is tarah aayenge jis tarah do baadal hon,Ya do Saaye-baan hon ya do udte hue parindon ki qitaaren hon aur ye dono suraten apne padhne walo ki shafa’at karengi.Surah Baqra padha karo kyunki isko padhte rahne me barkat aur nahi padhne me (Sawab se mahroom rah jaane par) hasrat hai.Aur jaadu-gar iska muqaabla karne ki taaqat nahi rakhte.[Sahih Muslim,Hadees No:1910]
Hazrat-e-Abu Huraira radhi Allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmya ki: Apne gharo ko qabristaan na banaao (Yani apne gharo me ibaadat kiya karo) Aur shaitaan us ghar se bhaagta hai jis me “Surah Baqra” ki tilawat ki jaati hai.[ Sahih Muslim,hades No.1860]
Hazrat Sahal bin Sa’d Saayedi radhi Allaho anho bayan karte hain ki:Huzur e Akram Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Har chiz ki ek bulandi hoti hai aur Quran ki bulandi Surah Baqra hai,Jis ne din ke waqt apne ghar me Surah Baqra ki tilawat kiya to 3 din tak shaitan uske ghar ke qareeb nahi aayega aur jis ne raat ke waqt apne ghar me surah baqra ki tilawat ki to 3 raat tak us ghar me shaitaan daakhil nahi hoga.[Sho’bul imaan,Hadees No:2161]
Share.........




Related Topics



Surah Fatiha Ki Fazilat Aayatul Kursi Ki Fazilat Surah Baqra Ki Aakheri Ayaat Ki Fazilat Surah Aal-e-Imran Ki Fazilat Surah Kahaf ki Fazilat Surah Yaseen Ki Fazilat Surah Dukhaan Ki Fazilat Surah Rahman Ki Fazilat Surah Waqiya Ki Fazilat Surah Hashr Ki Fazilat Surah Mulk Ki Fazilat Surah Zilzaal Ki Fazilat Surah Takaasur Ki Fazilat Surah Kaafiroon ki Fazilat Surah Ikhlaas ki Fazilat Surah Falaq Aur Naas Ki Fazilat



Dawat-E-Quran