Sawal:Quran ka maana kya hota hai?
Jawab:Quran ka maana hota hai “Tilawat karna,Padhna.
Sawal:Quran ka nuzool kab se shuru hua?
Jawab:Ramzanul Mubarak ki ek barkat wali raat “Lailatul Qadr” me Allah Ta’ala ne Lauhe Mahfooz se Aasman-e-dunya par Quran naazil farmaya,Phir wahan se zarurat ke mutabiq thoda thoda kar ke naazil hota raha.Quran ka nuzool us waqt shuru hua jab Aap Sallallaho Alaihe wasallam ki umar sharif 40 saal ki hui.Sab se pehle Gaar-e-Hera me Surah Alaq ki pahli 5 aayaten naazil hui.
Sawal:Quran kis tarah se naazil hota tha?
Jawab:Huzur ﷺ par mukhtalif tariqo se quran naazil hota tha.(1) Ghanti ki tarah awaaz sunaai deti aur awaaz ne jo kuchh kaha hota woh huzur ko yaad ho jaata.Jab is tariqe se Quran naazil hota to Aap ﷺ par bahut ziyadah bujh padta tha.(2) Hazrat-e-Jibrail kisi insaani shakal me Aap ke paas aate Aur Allah Ta’ala ka paigam Aap ko sunaate.Aise mauqe par ziyadah tar hazrate Jibrail mash-hoor sahabi hazrat-e-Dahiya Kalbi radhi Allaho anho ki shakal me aate.(3) Hazrat-e-Jibrail apni asal surat me aa kar aap ko Allah ka paigam sunaate.Aisa sirf 3 martaba hua.Pehli baar Nabowat ke ek dam shuru zamane me.Dusri baar Aap ﷺ ki khahish par.Aur tisari baar meraj ke mauqe par.(4)Begair kisi ke waste ke direct Allah Ta’ala ne Huzur ﷺ se kalam farmaya.Aisa Meraj ke mauqe par hua.Aur isi waqt namaz farz hui.
Sawal:Mukammal Quran kitne saalo me naazil hua?
Jawab:Taqreeban 23 saal me.
Sawal:Quran kis liye naazil kya gaya?
Jawab:Logo ki hidayat ke liye,ki log uske mutabiq apni zindagi guzare taaki woh dunya aur aakhirat me kaamyab ho sake.
Sawal:Quran ki hifazat kis tarah se ki gayi?
Jawab:Huzur ﷺ ke zamaane me 2 tarah se Quran ki hifazat ki gayi.1:Usko yaad kar ke.2:Use likh kar ke.
Sawal:Quran likhne wale sahaba kaun kaun the?
Jawab:Hazrat-e-Abu Bakar Radhi Allaho anho.2: Hazrat-e-Umar Radhi Allaho anho.3: Hazrat-e-Usman Gani Radhi Allaho Anho.4: Hazrat-e-Ali Radhi Allaho Anho.5: Hazrat-e-Ubai bin Ka’b Radhi Allaho Anho.6: Hazrat-e-Abdullah bin Abi Al-sarah radhi Allaho anho.7: Hazrat-e-Zubair bin Awaam Radhi Allaho anho.8: Hazrat-e-Khaalid bin Saeed radhi Allaho Anho.9: Hazrat-e-Abaan bin Saeed bin Aas radhi Allaho anho.10: Hazrat-e-Hanzala bin Rabi Radhi Allaho Anho.11:Muiqeeb bin Abi Faatima.12: Hazrat-e-Abdullah bin Arqam.13: Hazrat-e-Sharhabeel bin Hasna.14: Hazrat-e-Abdullah bin Rawaha radhi Allaho Anho.15: Hazrat-e-Aamir bin Fahirah Radhi Allaho Anho.16:Hazrat-e-Amar bin Aas radhi Allaho anho.17: Hazrat-e-Saabit bin Qais radhi Allaho Anho.18: Hazrat-e-Mugeerah bin Shu’ba Radhi Allaho Anho.19: Hazrat-e-Khaalid bin Waleed Radhi Allaho anho.20: Hazrat-e-Muawiya bin Sufyan radhi Allaho anho.21: Hazrat-e-Zaid bin Saabit Radhi Allaho anho.
Ye mash-hoor naam hain.Taarikh likhne walo ne in ke elawah aur bhi kuchh sahaba ka naam likha hai.Un sahaba ko jo Quran likhte the unko “Kaatebin-e-Wahi” kaha jaata hai.
Sawal:Quran kin chizo par likha jaata tha?
Jawab:Us zamaane me kaagaz nahi tha is liye Quran sharif ki aayato ko ziyadah tar path-thar ki silo,Chamde ke tukdo,Khujoor ki shaakho aur jaanwar ki haddiyo par likha jaata tha.
Sawal:Quran ko ek jagah ek kitab ki shakal me kis ne jama kiya?
Jawab:Ye kaam sab se pahle Hazrat-e-Abu Bakar radhi Allaho anho ne karwaya.Un ke zamane me ek jang hui jis ka naam yamama hai.Us jang me bahut saare hafiz sahaba shaheed hue.To Hazrat-e-Umar radhi Allaho anho ne mashwara diya ki Quran ko ek jagah ek kitab ki shakal me jama kara diya jaae. To Hazrat-e-Abu Bakar radhi Allaho anho ne un ka mashwara maante hue is kaam ko karne ki zimmedari Hazrat-e-Zaid bin Saabit radhi Allaho anho ko diya jo pure Quran ke hafiz hone ke saath Huzur ke zamane me Quran sharif likhne walo me se the.To unhone Quran ko sab se pahle ek jagah ek kitab ki shakal me jama farmaya.
Phir jab hazrat-e-Usman Gani radhi Allaho anho ka daur aaya to Islam Arab se nikal kar un mulko me bhi door door tak phail gaya jis mulk ki zuban Arbi nahi thi.Har jagah ke log un sahaba aur taabe-een se Quran sikhte the jin ki wajah se unhe Islam nasib hota tha.Aur Sahaba ne Huzur se Quran alag alag Qeraa-aton ke mutabiq sikha tha.To jis sahabi ne jis qira-at ke mutabiq huzur se Quran sikha tha unho ne apne shaagirdo ko usi ke mutaabiq Quran sikhaya.Baad me chal kar log apni Qeraa-at ko sahi aur dusre ki Qeraa-at ko galat samajhna shuru kar diya.Jab ki Quran ko alag alag Qeraa-at ke mutabiq padhne ki ijaazat khud Allah ki taraf se thi.Jab ekhtelaaf badh gaya to Hazrat-e-Usman gani radhi Allaho anho ne Hazrat-e-Zaid bin Saabit radhi Allaho anho ki sar-parasti me ek committee bana kar unko hukm diya ki Woh Quran sharif ko sirf ek Qeraa-at ke mutabiq tayyar kare. Jab unhone tayyar kar diya to wahi har jagah bhej diya gaya aur hukm hua ki sab log isi ke mutaabiq Quran padhe aur padhaae.Is tarah ye ekhtilaf khatam ho gaya aur sab log ek hi tarah se padhne lage.
Sawal:Quran me kitne pare,Kitni suraten,kitne,Ruku,Kitni aayaten aur kitni manzile hain?
Jawab:Quran sharif me kul 30 paare,114 suraten,540 ruku, 6666 aayaten aur 7 manzile hain.
Sawal:30 paare, Aur 7 manzilo me Quran ko kyun baanta gaya?
Jawab:30 paare me is liye taaki jo shakhs ek mahine me Quran khatam karna chaahe who har din ek ek paara padhe.Aur 7 manzilo me is liye taaki jo log ek hafte me mukammal Quran padhna chaahe woh har din ek manzil ki tilawat kare.
Sawal:Quran me kitne nabiyo ka zikr un ke naam ke saath aaya hai?
Jawab:Quran sharif me 26 ambiyaa-e-kiram ka zikr un ke naam ke saath aaya hai.Woh 26 ye hain.
1:Hazrat-e-Aadam.2: Hazrat-e-Nooh.3: Hazrat-e-Ibrahim.4: Hazrat-e-Ismaail.5: Hazrat-e-Ishaaq.6: Hazrat-e-Yaaqoob.7: Hazrat-e-Yousuf.8: Hazrat-e-Musa.9: Hazrat-e-Haaroon.10: Hazrat-e-Shu’aib.11: Hazrat-e-Loot.12: Hazrat-e-Hood.13: Hazrat-e-Daawood.14: Hazrat-e-Sulaiman.15: Hazrat-e-Ayyub.16: Hazrat-e-Zakariya.17: Hazrat-e-Yahya.18: Hazrat-e-Isa.19: Hazrat-e-Ilyas.20: Hazrat-e-Al-Yas’a.21: Hazrat-e-Younus.22: Hazrat-e-Idrees.23: Hazrat-e-Zul-kifl.24: Hazrat-e-Saaleh.25: Hazrat-e-Uzair Alaihumussalam.26:Hamare Huzur sayyadul mursaleen Sallallaho alaihe wasallam.
Sawal:Quran me kitni tarah ki suraten hain?
Jawab:Do Tarah ki pahla Makki aur dusri Madni.Jo Surah Huzur ﷺ ke hijrat karne se pahle jo suraten naazil hui un ko “Makki” kaha jaata hai chaahe woh Makka sharif me naazil hui hon ya kisi aur jagah par,aur woh kul 86 suraten hain.Aur jo suraten Hijrat ke baad naazil hui un ko “Madni” kaha jaata hai.
Sawal:Quran me zabar zeer pesh wagairah kis ne lagaya?
Jawab:Quran sharif me pehle nuqte, zabar, zeer,aur pesh wagairah likhe hue nahi the.Magar jab Islam har taraf phail gaya aur Arab se baahar ke logo se Quran padhne me galtiyan hone lagi to Abdul Malik Marwan ne Hajjaaj bin Yousuf se ye kaam karwane ke liye kaha jo us waqt Iraaq ka Governer tha.Us ne Is kaam ko karne ke liye Hasan aur Yahya ibne Yaamar ko hukm diya.Aur in dono ne mil kar is kaam ko pura kiya.(Ye Allama Qurtubi ka bayan hai.) Jab ki Allama Zubaidi ne Kitabut-tabqaat me Mubarrad ke hewale se ye likha hai ki:Sab se pahle is kaam ko Abul Aswad dowali ne anjaam diya.
Note:Abdul Malik bin Marwan 66 hijri me baadshah bane aur 87 hijri me un ka inteqaal hua.Aur Abul Aswad ka 69 hijri me inteqaal hua is etebaar se Quran sharif me Nuqta aur zabar zeer pesh wagairah lagaane ka kaam 66 hijri se 69 hijri ke darmiyan hua.
Sawal:Surato ke naam jaise Surah Fatiha,Surah Baqra aur Surah ikhlaas wagairah kis ne rakha?
Jawab:Kuchh Surato ke naam khud Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne rakha,Jaise bahut saari hadiso me Huzur ne Surato ka naam le kar unki fazilat bayan farmaya.Aur kuchh surato ke naam Sahaba ne rakha.Aur kuchh ke naam unke baad ke logo ne rakha.
Sawal:Quran ki kis surah aur kis aayat me bataya gaya hai ki hamare Nabi Sallallaho alaihe wasallam sab se afzal nabi hain?
Jawab:Surah Aale Imran,Aayat No.81 me.
Sawal:Quran sikhne aur sikhane ki kya fazilat hai?
Jawab:Huzur ﷺ ne farmaya ki sab se behtar shakhs woh hai jo Quran sikhe aur sikhaae.
Aur ek hadees me Huzur ﷺ ne farmaya ki jo is haalat me marega ki zondagi me Quran sikhta aur sikhaata raha to farishte uski qabr ki ziyarat ke liye aaenge.
Sawal:Quran ki woh kaunsi surah hai jis ki tilawat qabr ke azaab se nijaat dilaane wali hai?
Jawab:Surah Mulk.
Sawal:Quran ki woh kaunsi surah hai jisko padhne se 10 baar Quran padhne ka sawab milta hai?
Jawab:Surah Yaseen.
Sawal:Quran ki woh kaunsi aayat hai jo sab se lambi hai aur us me arbi ke tamam huroof Alif se Ya tak saare huroof hain?
Jawab:Quran sharif me sab se lambi aur badi aayat Surah Baqra ki aayat no.282 hai jise Aayat-e-Mudaaina kaha jaata hai.
Sawal:Quran sharif kul kitni aisi aayaten hain jinko padhne ya sun ne se sajda karna wajib ho jaata hai?
Jawab:Kul 14 aayate sajda hain.
Sawal:Quran ki woh kaunsi aayaten hain jin ka maana aur matlab Allah Aur uske Rasool ke elawah koi nahi jaanta?
Jawab:Woh huroof muqatte-aat hain.Jaise Alif laam meem,Haam meem wagairah.
Sawal:Quran ko matlab samjhane wali kitabo ko “Tafseer ki kitaab” kaha jaata hai.Aisi kuchh kitabo ka naam bataiye.
Jawab:Tafseer Ibne Abbas. Taseer Qurtubi.Tafseer-e-Baizaawi.Tafseer-e-Madaarik.Tafseer-e-Roohul bayan.Tafseer-e-Khaazin.Tafseer-e-Jalaalain wagairah.Tafseer ki bahut saari kitaaben urdu me bhi hain un me se kuchh ke naam ye hain.
1:Tafseer Ziyaul Quran,(Likhne wale:Peer Karam Shah Azhari)
2:Tafseer Tibyanul Quran,(Allama Gulam Rasool Saeedi)
3:Tafseer-e-Naimi.(Allama Mufti Yaar Khaan Naimi)
4:Tafseer-e-Ashrafi.(Allama Sayyad Muhammd Madni Miyan Ashrafi)
Sawal:Quran ka musalmano par kya haq hain?
Jawab:Quran ka Musalmano par 6 haq hain.
1:Uski sahi tarah se tilawat kare.2:Usko samjhe.3:Us par amal kare.4:Uski taalim dusro ko bhi de.5:Uski tableeg kare.6:Har haal me us ka adab kare aur uski beadbi hone se bachaae.
Surah Fatiha Ki Fazilat Surah Baqra Ki Fazilat Aayatul Kursi Ki Fazilat Surah Baqra Ki Aakheri Ayaat Ki Fazilat Surah Kahaf ki Fazilat Surah Yaseen Ki Fazilat Surah Dukhaan Ki Fazilat Surah Rahman Ki Fazilat Surah Waqiya Ki Fazilat Surah Hashr Ki Fazilat Surah Mulk Ki Fazilat Surah Zilzaal Ki Fazilat Surah Takaasur Ki Fazilat Surah Kaafiroon ki Fazilat Surah Ikhlaas ki Fazilat Surah Falaq Aur Naas Ki Fazilat