Dusre ke ghar me daakhil hone ka Tariqa



Dusre ke ghar me daakhil hone ka tariqa ye hai ki pehle andar aane ki ija'zat haasil kare phir jab andar aa jaaye to pehle salaam kare us ke baad hi baat chit shuru kare.Allah ta'ala irshad farmata hai ki:Aye imaan walo! Dusron ke gharon me daakhil na ho jab tak ki ija'zat na le lo aur ghar walon ko salaam na kar lo.[Surah Noor,Aayat No.27.28] Note:ija'zat maangte waqt agar ye puchha jaaye ki kaun? To jawab me"Main"na kahe balke apna naam bataye.kyunki huzur sallallaho alaihe wasallam ne "Main"wale jawab ko na'pasand farmaya aur irshad farmaya ki "Main"to sab hai.(Yani "Main"to har aadmi apne ko bol sakta hai.)[Tirmizi,Hadith No.2711]
Mas'ala: Jab kisi ke ghar jaaye aur ija'zat maange lekin ijazat na mile to us se na'raaz na ho balki khushi khushi wapas laut jaaye kyunki ho sakta hai ki woh us waqt us se ziyadah aham kaam me laga hua ho. Allah Ta’ala ka farman hai ki.(Ijazat maangne par)Agar tum se kaha jaae ki laut jaao to tum wapas chale aao.Ye tumhare liye ziyadah paakiza hai.Aur jo kuchh tum karte ho Allah use khoob jaanta hai. [Surah Noor,Aayat No.27.28]
Share.........




Related Topics



Khaana khaane ke Adaab Pani wagairah pine ke adaab Libaas ke ahkaam aur adaab Tel,Khushbu aur kanghi ke masaail-o-Adaab Ghar se nikalne aur daakhil hone ka tariqa Anguthi pahn-ne ke Masaail Sone chandi ke zewar ke Masaail Loha,Taamba,Pital aur dusre dhaat ke zewar ke ahkaam Mehandi,Kaanch ki churiyan aur sendoor wagairah ka sharyi hukm Bhau ke baal banwaane,Tatto karwane aur banawati baal lagaane ka mas'ala Safeed baalon ko rangne ka mas'ala Hajamat banwaane ke Masaail-o-Adaab Nakhun kaatne ke Masaail-o-Adaab Pakhaana aur peshab karne ke Masaail-o-Adaab Bimar ki eyaadat ke fazaail aur masaail Bachcho ki paidaaish ke baad ke kaam Jhaar phoonk aur dua ta'wiz ke Masaail Jute aur chappal pahn-ne ke Masaail-o-Adaab Chhink aur jemaahi ke Masaail-o-Adaab Ham-bistari ke Masaail-o-Adaab Peer ke andar kin baato ka hona zaruri hai? Sone,Baithne aur chalne ke Masaail-o-Adaab Salam karne ke Masaail Musaafha karne,gale milne aur bosa lene ke Masaail Maa baap ya kisi buzurg ka haath pair chumne aur unki taazim ke liye khade hone ka Mas'ala Mannat ke Ahkaam-o-Masaail Qasam ke Ahkam-o-Masaail Gibat,Chugli,Hasad aur jalan ke Ahkaam



Dawat-E-Quran