Ghamand:Haq baat ke inkaar karne aur dusron ko apne muqaable mein haqeer samajhne ko ghamand kahte hain.Ye bahut hi buri aadat hai aur ye Allah ta’ala ko zarrah baraabar bhi pasand nahi hai.Huzur nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki jis ke dil mein zarrah baraabar bhi ghamand hoga woh jannat mein nahi jaaega.(Sahi Muslim,Hadis No.91)
Chugli:Idhar ki baat udhar aur udhar ki baat idhar karne ko chugli kahte hain jis ki wajah se aam taur se logon mein jhagda aur fasaad hota hai. Huzur nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki chugalkhoor jannat mein nahi jaaega.( Sahi Muslim,Hadis No.105)
Gibat:Galat niyat se ya aise hi kisi ki pith pichhe bura’ee karne ko gibat kahte hain.Aur agar niyat achhchhi ho jaise koi bad-aqeeda shakhs hai ya bure kirdaar ka aadmi hai aur us se apne bachcho ko ya logon ko bachaane ki niyat se us ki buraa’ee zaahir kare to use gibat nahi kaha jaaega.Bahar-haal gibat karna bada gunaah hai.Aam taur se aaj log is gunaah mein phanse hue hain. Huzur nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jab main meraaj mein gaya to aise logon ke paas se guzra jin ke naakhoon pital ke the aur woh apne chehron aur sino ko us se nooch rahe the to main ne kaha:Aye Jibrail! Ye kaun log hain?To unhone kaha ki ye woh log hain jo dunya mein logon ka gosht khaaya karte the yani logo ki gibat kiya karte the.(Abu-dawood,Hadis No.4878)
Dogla-pan:Idhar kuchh aur udhar kuchh aur baat karne ko dogla-pan kahte hain.Ye aisi ghatya aadat hai jis ki wajah se aadmi dunya mein zaleel aur ruswa hota hai aur aakhirat mein bhi zaleel aur be-izzat hoga. Huzur nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Beshak Allah ke nazdeek qayamat ke din sab se bura aadmi woh hoga jo do chehre wala hai idhar kuchh aur udhar kuchh.(Sahi Muslim,Hadis No.2526)Aur Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Dunya mein jo do chehre wala hoga Qayamat ke din us ki do aag ki zubaan hogi.(Abu-dawood,Hadis No.4873)
Hasad aur jalan:Kisi ki nemat ko dekh kar us ke barbaad ho jaane ki khaahish karne ko hasad aur jalan kahte hain. Huzur nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Hasad karne se bacho.Kyunki hasad nekiyon ko aise khaa jaati hai jaise aag lakdi ko khaa jaati hai.(Abu-dawood,Hadis No.4903)
Jhoot:Jhoot bolna ek bahut hi buri aadat hai jis se dunya aur aakhirat dono barbaad hoti hai.Khud Allah ta’ala jhoot bolne walo par laanat farmaata hai.Aur Huzur nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jab banda jhoot bolta hai to us ke munh ki badbu ki wajah se rahmat ke farishte us se ek mile door ho jaate hain.(Tirmizi,Hadis No.1972)
Is liye Huzur nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne apni ummat ko samjhate hue irshad farmaya ki: Tum sach bolne ko apne upar laazim kar lo kyunki sachcha’ee neki ki taraf le jaati hai aur neki jannat ki taraf le jaati hai aur banda hamesha sach bolta rahta hai yahan tak ki use Allah ke nazdeek sachcha likh diya jaata hai.Aur jhoot se bilkul door raho kyunki jhoot buraa’I ki taraf le jaati hai aur buraa’I jahannam ki taraf le jaati hai aur banda hamesha jhoot bolta rahta hai yahan tak ki use Allah ke nazdeek jhoota likhh diya jaata hai.(Sahi Bukhari,Hadis No.6094)
Share.........
Khaana khaane ke Adaab Pani wagairah pine ke adaab Libaas ke ahkaam aur adaab Tel,Khushbu aur kanghi ke masaail-o-Adaab Ghar se nikalne aur daakhil hone ka tariqa Anguthi pahn-ne ke Masaail Sone chandi ke zewar ke Masaail Loha,Taamba,Pital aur dusre dhaat ke zewar ke ahkaam Mehandi,Kaanch ki churiyan aur sendoor wagairah ka sharyi hukm Bhau ke baal banwaane,Tatto karwane aur banawati baal lagaane ka mas'ala Safeed baalon ko rangne ka mas'ala Hajamat banwaane ke Masaail-o-Adaab Nakhun kaatne ke Masaail-o-Adaab Pakhaana aur peshab karne ke Masaail-o-Adaab Bimar ki eyaadat ke fazaail aur masaail Bachcho ki paidaaish ke baad ke kaam Jhaar phoonk aur dua ta'wiz ke Masaail Jute aur chappal pahn-ne ke Masaail-o-Adaab Chhink aur jemaahi ke Masaail-o-Adaab Ham-bistari ke Masaail-o-Adaab Peer ke andar kin baato ka hona zaruri hai? Sone,Baithne aur chalne ke Masaail-o-Adaab Dusre ke ghar me daakhil hone ke Masaail-o-Adaab Salam karne ke Masaail Musaafha karne,gale milne aur bosa lene ke Masaail Maa baap ya kisi buzurg ka haath pair chumne aur unki taazim ke liye khade hone ka Mas'ala Mannat ke Ahkaam-o-Masaail Qasam ke Ahkam-o-Masaail