Pani wagairah pine ki sunnaten



(1)Beth kar pina. Hazrat-e-Abu Sa’eed khudri radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne khade ho kar paani pine se mana farmaya.(Sahi Muslim,hadis No.2025)
Haan! Zam Zam sharif aur wazu ka paani khade ho kar pina chaahiye.Is ke elawah aur kisi bhi paani ko aam haalat me khade ho kar pina makrooh hai.Lekin baithne ki munaasib jagah na ho ya bhaut ziyadah bher ho to khade ho kar pee lene me koi harj nahi hai.(Sahi Muslim,hadis No.2027)
(2)Bartan me saans nahi lena aur bartan ke baahar 3 martaba saans lena.Hazrat-e-Abu Qataada radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne bartan me saans lene se mana farmaya.(Sahi Muslim,Hadis No.2028)
Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki: Huzur Sallallaho alaihe wasallam paani teen saanso me pite the.Aur farmate the ki is tarah pine se khoob sairaabi hoti hai,Piyaas bujhti hai aur khaana hazam hota hai.(Sahi Bukhari,Hadis No.5631.Sahi Muslim,Hadis No.2028)
(3)Pine ki chiz me phonk nahi maarna. Hazrat-e-Abu Sa’eed khudri radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne pine ki chizo me phonk maarne se mana farmaya.(Sahi Bukhari,Hadis No.5628.Tirmizi,hadis No.1887/1888)
(4) Lota wagairah me munh laga kar nahi pina.Hazrat-e-Abdullah bin Abbas radhi allaho anhuma bayan karte hain ki:Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam ne “Mashak” me munh laga kar pine se mana farmaya.(Sahi Bukhari,Hadis No.5629)
(5)Sone aur chaandi ke bartan me nahi pina.Hazrat-e-Huzaifa radhi allaho anho bayan karte hain ki: Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Sone aur chaandi ke bartano me nahi piyo aur resham ke kapde nahi pahno.Kyunki ye dunya me kaafiro ke liye hai aur aakhirat me musalmano ke liye hai.(Sahi Bukhari,Hadis No.5633)
Hazrat-e-Umme Salma radhi allaho anha bayan karti hain ki: Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jo shakhs chaandi (Ya sone) ke bartan me pita hai woh apne pet me gataa-gat jahannam ki aag bharta hai.(Sahi Muslim,hadis No.2065)
(6) Pine se pahle Bismillah padhna aur pine ke baad Al-hamdulillah kahna.Hazrat-e-Abdullah bin Abbas radhi allaho anhuma bayan karte hain ki:Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Ek saans me paani nahi piyo jaise oont pita hai.Balki do aur teen martaba me piyo.Aur jab piyo to Bismillah kah lo aur jab bartan se munh hatao to Allah ki hamd karo.(Yani Al-hamdulillah kaho.).(Tirmizi,Hadis No.1885)
Share.........




Related Topics



Khaana khaane ke Adaab Libaas ke ahkaam aur adaab Tel,Khushbu aur kanghi ke masaail-o-Adaab Ghar se nikalne aur daakhil hone ka tariqa Anguthi pahn-ne ke Masaail Sone chandi ke zewar ke Masaail Loha,Taamba,Pital aur dusre dhaat ke zewar ke ahkaam Mehandi,Kaanch ki churiyan aur sendoor wagairah ka sharyi hukm Bhau ke baal banwaane,Tatto karwane aur banawati baal lagaane ka mas'ala Safeed baalon ko rangne ka mas'ala Hajamat banwaane ke Masaail-o-Adaab Nakhun kaatne ke Masaail-o-Adaab Pakhaana aur peshab karne ke Masaail-o-Adaab Bimar ki eyaadat ke fazaail aur masaail Bachcho ki paidaaish ke baad ke kaam Jhaar phoonk aur dua ta'wiz ke Masaail Jute aur chappal pahn-ne ke Masaail-o-Adaab Chhink aur jemaahi ke Masaail-o-Adaab Ham-bistari ke Masaail-o-Adaab Peer ke andar kin baato ka hona zaruri hai? Sone,Baithne aur chalne ke Masaail-o-Adaab Dusre ke ghar me daakhil hone ke Masaail-o-Adaab Salam karne ke Masaail Musaafha karne,gale milne aur bosa lene ke Masaail Maa baap ya kisi buzurg ka haath pair chumne aur unki taazim ke liye khade hone ka Mas'ala Mannat ke Ahkaam-o-Masaail Qasam ke Ahkam-o-Masaail Gibat,Chugli,Hasad aur jalan ke Ahkaam



Dawat-E-Quran