Hajamat Banwaane ke Masa’il



Hadis: Hazrat-e-Abu Huraira radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:5 chizen fitrat yani pahle ke ambiya ki bhi sunnat hai.(1) Khatna karna.(2)Naaf ke niche ke baal modna.(3)Munchhe past karna.(4)Nakhun kaatna.(5) Bagal ke baal banana.(Sahi Muslim,Hadis No.257)
Hadis:Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anho bayan karte hain ki: Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Munchhein past karao aur daarhi barhao.(Sahi Bukhari,Hadis No.5893)
Kuchh log apne munchho ko bilkul nahi kaat-te yahan tak munchh ke baal un ke munh tak jaane lagta hai.Isi tarah kuchh log apni daarhi ko ek muth-thi se bhi kam kara lete hain.Ye dono tariqa bilkul galat hai.Is liye ki Huzur ne munchho ko chhota karaane aur daarhi ko badhane ka hukm diya hai.
Mas’ala:Kuchh log daarhi ko ek muth-thi se ziyadah ho jaane ke baad bhi kaatne ko sahi nahi samajhte.Aur ye log apni daarhi ko badhate rahte hain yahan tak ki un ki daarhi un ke pet tak aur kisi kisi ki us se bhi niche tak pahuch jaati hai.Ye bilkul galat hai.Kyunki Huzur ke sahaba ke baare me hadis hai ki jab un ki daarhi ek muth-thi se ziyadah ho jaati thi to woh ziyadah hisse ko kaat daal te the.Jaisa ki hadis me hain ki Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anhuma jab Haj aur Umra se faarig hote to apni daarhi ko muth-thi se pakadte aur jo ziyadah hota us ko kaat daalte.(Sahi Bukhari,Hadis No.5892)
Balki Khud Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke baare me hadiso me aaya ki Aap Sallallaho alaihe wasallam apni daarhi ko chauraayi aur lambayi se kaat te the.(Sharhus sunah,Hadis No.3194)
Mas’ala:Sar aur daarhi ke safeed baalo ko ukhadna sahi nahi. Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Safeed baalo ko nahi ukhado kyunki woh musalmano ka noor hai.Jo shakhs Islam me burha hua,Allah Ta’ala uski wajah se us ke liye nekiya likhega aur gunah mita dega aur darja buland farmaega.(Abu dawood,hadis No.4202)
Mas’ala:Kuchh jaahil qism ke log aurato ki tarah khoob bade bade baal rakhte hain.Aur kahte hai ki ye sufiyo ka tariqa hai.Is ki wajah se mard aurat ki tarah lagta hai.Aur Huzur ne un mardo par la’nat farmaya jo aurato ki shakal apnaae.Is liye ye bilkul galat hai. Sufi,Allah aur us ke Rasool ke farman par chalne ka naam hai na ki bade baal rakhne aur rangila libaas pahan ne ka.
Mas’ala:Kuchh auraten apne sar ke baalo ko chhota kara kar bilkul mardo ki tarah karwa leti hain.Ye bhi najaiz hai.Kyunki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne un aurato par bhi la’nat farmaya jo mardo ki tarah shakal ekhtiyar karti hai.
Mas’ala:Naaf ke niche aur bagal ke baal door karna sunnat hai.Har hafte gusal karna,badan ko saaf suthra rakhna aur naaf ke niche ke baal ko door karna sunnat hai.Aur behtar juma ke din hai.Aur 15 din par bhi karna jaa’iz hai.Lekin 40 din se ziyadah chhor dena makruh hai. (Sahi Muslim,Hadis No.258)
Note: Aaj kal market me bahut saare saabun aur dawa wagairah in baalo ko door karne ke liye milti hain.In ka bhi istemal karna durust hai.Kyunki maqsad safaa’ee hai jo is se bhi haasil ho jaata hai.(Islami akhlaq-o-aadab,Page No.234)
Share.........




Related Topics



Khaana khaane ke Adaab Pani wagairah pine ke adaab Libaas ke ahkaam aur adaab Tel,Khushbu aur kanghi ke masaail-o-Adaab Ghar se nikalne aur daakhil hone ka tariqa Anguthi pahn-ne ke Masaail Sone chandi ke zewar ke Masaail Loha,Taamba,Pital aur dusre dhaat ke zewar ke ahkaam Mehandi,Kaanch ki churiyan aur sendoor wagairah ka sharyi hukm Bhau ke baal banwaane,Tatto karwane aur banawati baal lagaane ka mas'ala Safeed baalon ko rangne ka mas'ala Nakhun kaatne ke Masaail-o-Adaab Pakhaana aur peshab karne ke Masaail-o-Adaab Bimar ki eyaadat ke fazaail aur masaail Bachcho ki paidaaish ke baad ke kaam Jhaar phoonk aur dua ta'wiz ke Masaail Jute aur chappal pahn-ne ke Masaail-o-Adaab Chhink aur jemaahi ke Masaail-o-Adaab Ham-bistari ke Masaail-o-Adaab Peer ke andar kin baato ka hona zaruri hai? Sone,Baithne aur chalne ke Masaail-o-Adaab Dusre ke ghar me daakhil hone ke Masaail-o-Adaab Salam karne ke Masaail Musaafha karne,gale milne aur bosa lene ke Masaail Maa baap ya kisi buzurg ka haath pair chumne aur unki taazim ke liye khade hone ka Mas'ala Mannat ke Ahkaam-o-Masaail Qasam ke Ahkam-o-Masaail Gibat,Chugli,Hasad aur jalan ke Ahkaam



Dawat-E-Quran