(1)Sunni sahihul Aqeeda hona. Kyunki agar uska aqeeda kharaab hoga to phir woh khud doba hai dusre ko bhi le dobega.Is liye Islam me aise shakhs se mureed hone ki hargiz ijaazat nahi hai.
(2)Itna ilm rakhta ho ki zarurat ke masaail kitabo se nikal sakta ho,Nahi to halal-o-haram aur jaaiz-o-najaaiz me farq nahi kar sakega.
(3)Faasiq-e-Mu’lin,Yani khullam kuhlla gunah karne wala na ho.Jaise jaan bujh kar namaz chhorne wala,Roza nahi rakhne wala,Zakaat wajib hote hue zakat nahi nikaalne wala,Taaqat hote hue bhi Haj nahi karne wala,Isi tarah aur dusre gunaah ke kaam karne wala na ho.Kyunki faasiq ki taazim karna jaaiz nahi aur peer ki taazim karna zaruri hai.
(4)Uska silsila Huzur Sallallaho alaihe wasallam tak mila hua ho ki hamare peer ko fulan buzurg ne aur unko fulan buzurg ne aur unko fulan buzurg ne ijaazt aur khilaafat di hai.
Note:Mureed ho kar kisi silsila me daakhil hona Islam me farz wajib nahi hai,Lekin Allah ke nek bando ka mureed hona aur unki hidaayato par amal karna, dunya wa aakhirat ki bhalaayi haasil karna ka zariya hai.Is liye mureed hone se pahle upar likhi hui baato ko peer ke andar dekh lena zaruri hai.
Kam se kam in baato ka hona zaruri hai.Nahi to ek peer ki shaan ye hai ki woh Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke akhlaaq-o-adaab ka paikar ho.Aur farz wajib ke saath kasrat se nafli ibaadat karne wala ho aur har chiz me Huzur Sallallaho alaihe wasallam ki itaa’at karne wala ho,Yahan tak ki juta aur chappal pahan ne aur utaarne me bhi.
Share.........
Khaana khaane ke Adaab Pani wagairah pine ke adaab Libaas ke ahkaam aur adaab Tel,Khushbu aur kanghi ke masaail-o-Adaab Ghar se nikalne aur daakhil hone ka tariqa Anguthi pahn-ne ke Masaail Sone chandi ke zewar ke Masaail Loha,Taamba,Pital aur dusre dhaat ke zewar ke ahkaam Mehandi,Kaanch ki churiyan aur sendoor wagairah ka sharyi hukm Bhau ke baal banwaane,Tatto karwane aur banawati baal lagaane ka mas'ala Safeed baalon ko rangne ka mas'ala Hajamat banwaane ke Masaail-o-Adaab Nakhun kaatne ke Masaail-o-Adaab Pakhaana aur peshab karne ke Masaail-o-Adaab Bimar ki eyaadat ke fazaail aur masaail Bachcho ki paidaaish ke baad ke kaam Jhaar phoonk aur dua ta'wiz ke Masaail Jute aur chappal pahn-ne ke Masaail-o-Adaab Chhink aur jemaahi ke Masaail-o-Adaab Ham-bistari ke Masaail-o-Adaab Sone,Baithne aur chalne ke Masaail-o-Adaab Dusre ke ghar me daakhil hone ke Masaail-o-Adaab Salam karne ke Masaail Musaafha karne,gale milne aur bosa lene ke Masaail Maa baap ya kisi buzurg ka haath pair chumne aur unki taazim ke liye khade hone ka Mas'ala Mannat ke Ahkaam-o-Masaail Qasam ke Ahkam-o-Masaail Gibat,Chugli,Hasad aur jalan ke Ahkaam