Sone Chandi Ke Zewar Ke Masa’il.



Mas’ala:Mardo ke liye sirf chandi ki ek anguthi jo wazan me ek misqaal yani 4.50 Maasha se kam ki ho jaaiz hai.Is ke elawah har tarah ke zewar najaaiz aur haraam hai.
Mas’ala:Agar kisi mard ki naak toot gayi ho aur chandi ki naak lagwane se badbu aati ho to us ke liye sone ki naak lagwana jaa’iz hai.Kyunki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne is ki ijazat diya hai. (Sunan Nisa’ee,Hadis No.5161)
Mas’ala:Daant ka bhi yahi hukm hai ki zarurat ki wajah se sone ke taar se daanto ko badhwana aur sone ke daant lagwana jaa’iz hai.
Mas’ala:Aurato ke liye sone aur chandi har tarah ke zewar ka pahan na jaa’iz hai.Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Resham aur sona meri ummat ke mardo ke liye haraam kiya gaya aur aurato ke liye halaal.(Tirmizi,Hadis No.1720)
Balki aurato ka apne shauharo ke liye zewar pahan-na aur banao singhar karna bade hi sawab ka kaam hai.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jo aurat dunya se is haal me gayi ki us ka shauhar us se raazi tha.To woh jannat me daakhil hogi. (Tirmizi,Hadis No.1161)
Mas’ala:Bajne wale zewaro ka pahan-na sirf usi waqt jaa’iz hai jab ki woh gair muhram mardo ke saamne nahi jaati ho.Jaisa ki Allah Ta’ala ne farmaya ki:Auraten apna singhaar shauhar ya muhrim ke elawah aur kisi par bhi zaahir na kare.(Surah Noor,Aayat No.31)
Aur irshad farmaya ki:Auraten apna pair dhamak kar nahi rakhe ki un ka chhupa hua singhaar zaahir ho.( Surah Noor,Aayat No.31)
Mas’ala:Sone chandi ke bartan aur dusari chizen jaise kursi palang wagairah ka istemaal karna jaise mardo ke liye haraam hai usi tarah se aurato ke liye bhi haraam hai.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jo shakhs sone ya chandi ke bartan me khaata ya pita hai who apne pet me jahannam ki aag bharta hai.(Sahi Muslim,Hadis No. 2065)
Share.........




Related Topics



Khaana khaane ke Adaab Pani wagairah pine ke adaab Libaas ke ahkaam aur adaab Tel,Khushbu aur kanghi ke masaail-o-Adaab Ghar se nikalne aur daakhil hone ka tariqa Anguthi pahn-ne ke Masaail Loha,Taamba,Pital aur dusre dhaat ke zewar ke ahkaam Mehandi,Kaanch ki churiyan aur sendoor wagairah ka sharyi hukm Bhau ke baal banwaane,Tatto karwane aur banawati baal lagaane ka mas'ala Safeed baalon ko rangne ka mas'ala Hajamat banwaane ke Masaail-o-Adaab Nakhun kaatne ke Masaail-o-Adaab Pakhaana aur peshab karne ke Masaail-o-Adaab Bimar ki eyaadat ke fazaail aur masaail Bachcho ki paidaaish ke baad ke kaam Jhaar phoonk aur dua ta'wiz ke Masaail Jute aur chappal pahn-ne ke Masaail-o-Adaab Chhink aur jemaahi ke Masaail-o-Adaab Ham-bistari ke Masaail-o-Adaab Peer ke andar kin baato ka hona zaruri hai? Sone,Baithne aur chalne ke Masaail-o-Adaab Dusre ke ghar me daakhil hone ke Masaail-o-Adaab Salam karne ke Masaail Musaafha karne,gale milne aur bosa lene ke Masaail Maa baap ya kisi buzurg ka haath pair chumne aur unki taazim ke liye khade hone ka Mas'ala Mannat ke Ahkaam-o-Masaail Qasam ke Ahkam-o-Masaail Gibat,Chugli,Hasad aur jalan ke Ahkaam



Dawat-E-Quran