Bachcho ki paida’ish ke baad kya kya Karen?



Bachcho ki paida’ish ke baad ye sab kaam karna sunnat hai.
(1)Kaan me azaan dena:Hadis sharif me hai ki Jab Hazrat-e-Imam Hasan radhi allaho anho paida hue to Aap Sallallaho alaihe wasallam ne un ke kaan me azaan diya.(Tirmizi,Hadis No.1514)
(2)Kisi parhezgaar shakhs se guth-thi dilwana::(Yani khajur ya koi mithi chiz chabwa kar bachche ko chataana.)Hazrat-e-Fatima binte Munzir radhi allaho anha bayan karti hain ki:Jis waqt Hazrat-e-Asma radhi allaho anha hijrat ki to woh hamal se thi.Aur Hazrat-e-Abdullah bin Zubair un ke pet me the.Jab woh Quba pahuchi to Hazrat-e-Abdullah paida hue.To woh us bachche ko guth-thi dilaane ki garz se Huzur Sallallaho alaihe wasallam ki khidmat me le kar aayi.Aur un ko Huzur ki gud me rakh diya.To Aap Sallallaho alaihe wasallam ne khajur mangwaya Aur us ko chaba kar us bachche ke munh me apna lu’aab-e-Dehan daal diya.To jo chiz us bachche ke pet me sab se pahli pahuchi woh Aap Sallallaho alaihe wasallam ka lu’aab tha.Phir Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne us bachche par haath phera aur un ke haq me dua farmaya aur un ka naam Abdullah rakha.(Sahi Muslim, Hadis No.2146)
(3)Achhchha naam rakhna:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Qayamat ke din tum ko tumhare aur tumhare baapo ke naam se bulaya jaaega.Is liye achhchhe naam rakho.(Abu Dawood, Hadis No.4948)
Mas'ala:Agar kisi wajah se kisi ka bura naam rakha jaa chukka ho to us ka naam badal dena chahiye.Kyunki Aap Sallallaho alaihe wasallam bure naamo ko badal diya karte the.(Sahi Muslim,Hadis No.2139)
Mas'ala: Agar bachcha maa ke pet hi se mara hua paida ho to us ka naam rakhne ki zarurat nahi.Aur agar paida ho kar mar gaya to dafan karne se pahle naam rakh dena chahiye.(Islami akhlaq-o-Aadaab,Page No.153)
(4)Aqiqa karna: Behtar ye hai ki bachche ki paida’ish ke 7wi din aqiqa kare.Sar ke baal mundwae aur us par zaafran male aur baalo ke wazan ke barabar chaandi sadqa kare.
Hazrat-e-Ali radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne Hazrat-e-Imam Hasan radhi allaho anho ki taraf se aqiqe me bakri zabah farmaya.Aur farmaya ki:Aye Fatima!Is ka sar mundao aur baal ke wazan ke barabar sadqa karo.(Tirmizi,Hadis No.1519)
Mas'ala: Agar kisi wajah se 7wi din aqiqa nahi kar sake to jab bhi kare sunnat ada ho jaaegi.
Mas'ala:Aqiqe me ladke ki taraf se 2 jaanwar zibah kare.Aur ladki ki taraf se ek .Chaahe khassi kare ya bakri.Aur agar bade jaanwar me karna chaahta ho to ladke ki taraf se do hisse aur ladki ki taraf se ek hissa kare.
Mas'ala:Logo me jo ye mash’hoor hai ki aqiqe ka gosht bachche ki maa,baap,dada,dadi aur naana naani nahi kha sakti hain.Ye bilkul galat hai.Aqiqe ka gosht sab log khaa sakte hain.
(5)Khatna karna:Khatna karna sunnat hai. Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:5 chizen fitrat yani pahle ke ambiya ki bhi sunnat hai.(1) Khatna karna.(2)Naaf ke niche ke baal modna. (3)Munchhe past karna.(4)Nakhun kaatna.(5) Bagal ke baal banana. (Sahi Muslim,Hadis No.257)
Share.........




Related Topics



Khaana khaane ke Adaab Pani wagairah pine ke adaab Libaas ke ahkaam aur adaab Tel,Khushbu aur kanghi ke masaail-o-Adaab Ghar se nikalne aur daakhil hone ka tariqa Anguthi pahn-ne ke Masaail Sone chandi ke zewar ke Masaail Loha,Taamba,Pital aur dusre dhaat ke zewar ke ahkaam Mehandi,Kaanch ki churiyan aur sendoor wagairah ka sharyi hukm Bhau ke baal banwaane,Tatto karwane aur banawati baal lagaane ka mas'ala Safeed baalon ko rangne ka mas'ala Hajamat banwaane ke Masaail-o-Adaab Nakhun kaatne ke Masaail-o-Adaab Pakhaana aur peshab karne ke Masaail-o-Adaab Bimar ki eyaadat ke fazaail aur masaail Jhaar phoonk aur dua ta'wiz ke Masaail Jute aur chappal pahn-ne ke Masaail-o-Adaab Chhink aur jemaahi ke Masaail-o-Adaab Ham-bistari ke Masaail-o-Adaab Peer ke andar kin baato ka hona zaruri hai? Sone,Baithne aur chalne ke Masaail-o-Adaab Dusre ke ghar me daakhil hone ke Masaail-o-Adaab Salam karne ke Masaail Musaafha karne,gale milne aur bosa lene ke Masaail Maa baap ya kisi buzurg ka haath pair chumne aur unki taazim ke liye khade hone ka Mas'ala Mannat ke Ahkaam-o-Masaail Qasam ke Ahkam-o-Masaail Gibat,Chugli,Hasad aur jalan ke Ahkaam



Dawat-E-Quran