Mas'ala: Pakhaana aur peshaab karne ka tariqa ye hai ki Baitul khala me daakhil hone se pehle ye dua padh le.
Allahumma in-nee a'oozu bika minal khubu-see wal khabaa-is.
(Sahi Bukhari,Hadis No.142)
phir pehle baya pair daakhil kare us ke baad daahina pair aur nikalte waqt pehle dahina pair nikaale us ke baad baya pair.aur ye dua padhe.
Alhamdulillah-hilla-zee az-haba ann-nil azaa wa 'afaani.
Mas'ala: Pakhaana aur peshaab karte waqt Qibla ki taraf munh ya pith kar ke baithna jaa'iz nahi hai.(Sahi Bukhari,Hadis No.144)
Mas'ala: Khade ho kar peshaab karna mana hai.(Tirmizi,Hadis No.12)
Mas'ala: Daahine haath se paaki haasil karna mana hai.(Tirmizi,Hadis No.15)
Mas'ala:Surakhon,Gusal khaano aur there hue paaniyon me peshaab karna mana hai.(Bukhari,Hadis No.239.Tirmizi,Hadis No. 68)
Note:Kuchh log naaliyo ke kinaare istinja karne ke liye baith jaate hain,Jab ki waha par koi parda na hone ki wajah se log unhe dekh rahe hote hain.Ye baat sharm aur haya ke khilaf hai.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ko jab haajat hoti to Aap logo ki nazro se bahut door chale jaaya karte the.(Tirmizi,Hadis No.20)
Share.........
Khaana khaane ke Adaab Pani wagairah pine ke adaab Libaas ke ahkaam aur adaab Tel,Khushbu aur kanghi ke masaail-o-Adaab Ghar se nikalne aur daakhil hone ka tariqa Anguthi pahn-ne ke Masaail Sone chandi ke zewar ke Masaail Loha,Taamba,Pital aur dusre dhaat ke zewar ke ahkaam Mehandi,Kaanch ki churiyan aur sendoor wagairah ka sharyi hukm Bhau ke baal banwaane,Tatto karwane aur banawati baal lagaane ka mas'ala Safeed baalon ko rangne ka mas'ala Hajamat banwaane ke Masaail-o-Adaab Nakhun kaatne ke Masaail-o-Adaab Bimar ki eyaadat ke fazaail aur masaail Bachcho ki paidaaish ke baad ke kaam Jhaar phoonk aur dua ta'wiz ke Masaail Jute aur chappal pahn-ne ke Masaail-o-Adaab Chhink aur jemaahi ke Masaail-o-Adaab Ham-bistari ke Masaail-o-Adaab Peer ke andar kin baato ka hona zaruri hai? Sone,Baithne aur chalne ke Masaail-o-Adaab Dusre ke ghar me daakhil hone ke Masaail-o-Adaab Salam karne ke Masaail Musaafha karne,gale milne aur bosa lene ke Masaail Maa baap ya kisi buzurg ka haath pair chumne aur unki taazim ke liye khade hone ka Mas'ala Mannat ke Ahkaam-o-Masaail Qasam ke Ahkam-o-Masaail Gibat,Chugli,Hasad aur jalan ke Ahkaam