Jute aur Chappal wagairah pahan ne aur nikalne ka Tariqa.



Jute aur chappal wagairah pahan ne ka sunnat tariqa ye hai ki:Pehle daahine paao me phir baaye paao me pahne.Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha bayan karti hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam har chiz me daaheni taraf se shuru karna pasand farmate the.Chaahe woh juta pahan na ho ya kanghi karna ya wazu karna.(Sahi Bukhari,Hadis No.5854.Sahi Muslim,Hadis No.268)
Hadis:Hazrat-e-Abu Hurairah radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jab tum me se koi juta pahne to chahiye pahle daahine se shuru kare aur jab nikale to chaahiye ki baaye se shuru kare.(Sahi Muslim,Hadis No.2097)
Hadis:Hazrate Jaabir radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne khade ho kar juta pahan ne se mana farmaya.(Abu Dawood,Hadis No.4135)
Note:Ulma bayan karte hain ki ye tasme wale jute ka hukm hai.Aur begair tasme wale jute ko khade ho kar pahan ne me koi harj nahi hai.(Islami akhlaq-o-Aadaab,Page No.71-72)
Share.........




Related Topics



Khaana khaane ke Adaab Pani wagairah pine ke adaab Libaas ke ahkaam aur adaab Tel,Khushbu aur kanghi ke masaail-o-Adaab Ghar se nikalne aur daakhil hone ka tariqa Anguthi pahn-ne ke Masaail Sone chandi ke zewar ke Masaail Loha,Taamba,Pital aur dusre dhaat ke zewar ke ahkaam Mehandi,Kaanch ki churiyan aur sendoor wagairah ka sharyi hukm Bhau ke baal banwaane,Tatto karwane aur banawati baal lagaane ka mas'ala Safeed baalon ko rangne ka mas'ala Hajamat banwaane ke Masaail-o-Adaab Nakhun kaatne ke Masaail-o-Adaab Pakhaana aur peshab karne ke Masaail-o-Adaab Bimar ki eyaadat ke fazaail aur masaail Bachcho ki paidaaish ke baad ke kaam Jhaar phoonk aur dua ta'wiz ke Masaail Chhink aur jemaahi ke Masaail-o-Adaab Ham-bistari ke Masaail-o-Adaab Peer ke andar kin baato ka hona zaruri hai? Sone,Baithne aur chalne ke Masaail-o-Adaab Dusre ke ghar me daakhil hone ke Masaail-o-Adaab Salam karne ke Masaail Musaafha karne,gale milne aur bosa lene ke Masaail Maa baap ya kisi buzurg ka haath pair chumne aur unki taazim ke liye khade hone ka Mas'ala Mannat ke Ahkaam-o-Masaail Qasam ke Ahkam-o-Masaail Gibat,Chugli,Hasad aur jalan ke Ahkaam



Dawat-E-Quran