Bimaaro ki Eyadat ke Faza’il-o-Masa’il.



Bimaaro ki ayadat karna yani un ki khabar khairyat puchhne ke liye jaana sunnat hai.Aur hadis sharif me is ki badi fazilat bayan ki gayi hain.Is liye hame chahiye ki jab koi shakhs bimaar ho jaae to uski ayadat karne ke liye jaae.
Hadis:Hazrat-e-Anas bin Malik radhi allaho anho bayan karte hain ki: Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Jo shakhs achhchhi tarah se wazu karta hai aur sawab ki niyat se apne kisi musalman bhai ki ayadat karne ke liye jaata hai.To Allah Ta’ala use 70 saal ki doori ke barabar jahannam se door farma deta hai.(Abu Dawood,Hadis No.3097)
Hadis:Hazrat-e-Ali radhi allaho anho bayan karte hain ki: Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Jab koi musalman kisi musalman ki ayadat karne ke liye subah ko jaata hai to sham tak 70 hazaar farishte us ke liye istigfaar karte hain.Aur sham ko jaata hai to subah tak 70 hazaar farishte us ke liye istigfaar karte hain. Aur us ke liye us ki wajah se jannat me ek bag hoga.(Tirmizi)
Eyadat karne ka sunnat Tariqa:Ye hai ki wazu na ho to wazu kar ke bimar ke paas jaae aur us se ye kahe ki:لَا بَأسَ طَھُو رُٰ اِن شَاء اللّٰہ Ghabrane ki koi baat nahi hai.In sha Allah ye bimari gunaho se paak kar dega.Aur ho sake to 7 baar ye dua padhe.
اَسألُ اللّٰہَ العَظِیم،رَبَّ العَرشِ الکَرِیمِ اَن یَشفِیکَ ۔
Tarjama: Azmat wale Allah se,Jo Arshe kareem ka maalik hai.Main ye dua karta hon ki tujhe shifa ata farmae.
Aur us se aisi baat kare jis se us ka dil khush ho aur use tasalli mile. Aisi koi baat na kare jis se woh ghabrahat ka shikaar ho jaae.Aur us ke paas begair zarurat ke itni deer na baithe ki woh ukta jaae.Aur ho sake to bimaar ke haal ke etebaar se kuchh khaane pine ki chiz le jaae.Aur agar use rupiye ya dawa wagairah ki zarurat ho to rupiye ya dawa wagairah ka intezaam bhi kar de.
Share.........




Related Topics



Khaana khaane ke Adaab Pani wagairah pine ke adaab Libaas ke ahkaam aur adaab Tel,Khushbu aur kanghi ke masaail-o-Adaab Ghar se nikalne aur daakhil hone ka tariqa Anguthi pahn-ne ke Masaail Sone chandi ke zewar ke Masaail Loha,Taamba,Pital aur dusre dhaat ke zewar ke ahkaam Mehandi,Kaanch ki churiyan aur sendoor wagairah ka sharyi hukm Bhau ke baal banwaane,Tatto karwane aur banawati baal lagaane ka mas'ala Safeed baalon ko rangne ka mas'ala Hajamat banwaane ke Masaail-o-Adaab Nakhun kaatne ke Masaail-o-Adaab Pakhaana aur peshab karne ke Masaail-o-Adaab Bachcho ki paidaaish ke baad ke kaam Jhaar phoonk aur dua ta'wiz ke Masaail Jute aur chappal pahn-ne ke Masaail-o-Adaab Chhink aur jemaahi ke Masaail-o-Adaab Ham-bistari ke Masaail-o-Adaab Peer ke andar kin baato ka hona zaruri hai? Sone,Baithne aur chalne ke Masaail-o-Adaab Dusre ke ghar me daakhil hone ke Masaail-o-Adaab Salam karne ke Masaail Musaafha karne,gale milne aur bosa lene ke Masaail Maa baap ya kisi buzurg ka haath pair chumne aur unki taazim ke liye khade hone ka Mas'ala Mannat ke Ahkaam-o-Masaail Qasam ke Ahkam-o-Masaail Gibat,Chugli,Hasad aur jalan ke Ahkaam



Dawat-E-Quran