Loha,Pital Wagairah Ke Zewar Ke Masa’il.



Mas’ala:Loha,Taamba aur Pital wagairah ke zewar mard aur aurat dono ke liye naja’iz aur haraam hain.(Fatawa Razwiya,Vol:22,Page No. 130)
Hazrat-e-Abdullah bin buraida apne walid se riwayat karte hain ki:Ek shakhs pital ki anguthi pahne hue Huzur Sallallaho alaihe wasallam ki baargah me aaya.To Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Kiya baat hai ki mujhe tum se buto ki boo aati hai? To unhone usko phenk diya.Phir lohe ki anguthi pahan kar aae. To Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Kiya baat hai ki main tum par jahannamiyo ka zewar dekh raha hon? Unho ne us ko bhi utaar kar phenk diya.Aur arz kiya Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam ! Main kis chiz ki anguthi banwaon? To Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Chaandi ki aur ek misqaal yani 4.50 maasha pura nahi karna.(Abu Dawood,Hadis No.4223)
Mas’ala:Agar lohe wagairah ke zewar par chaandi ya sone ka paani is tarah se charha diya jaae ki woh sone aur chaandi hi ka maloom ho to phir us ka bhi hukm wahi hoga jo sone aur chaandi ka hai.(Sunan Nisa’ee,Hadis No.5205.Abu Dawood,Hadis No.4224)
Share.........




Related Topics



Khaana khaane ke Adaab Pani wagairah pine ke adaab Libaas ke ahkaam aur adaab Tel,Khushbu aur kanghi ke masaail-o-Adaab Ghar se nikalne aur daakhil hone ka tariqa Anguthi pahn-ne ke Masaail Sone chandi ke zewar ke Masaail Mehandi,Kaanch ki churiyan aur sendoor wagairah ka sharyi hukm Bhau ke baal banwaane,Tatto karwane aur banawati baal lagaane ka mas'ala Safeed baalon ko rangne ka mas'ala Hajamat banwaane ke Masaail-o-Adaab Nakhun kaatne ke Masaail-o-Adaab Pakhaana aur peshab karne ke Masaail-o-Adaab Bimar ki eyaadat ke fazaail aur masaail Bachcho ki paidaaish ke baad ke kaam Jhaar phoonk aur dua ta'wiz ke Masaail Jute aur chappal pahn-ne ke Masaail-o-Adaab Chhink aur jemaahi ke Masaail-o-Adaab Ham-bistari ke Masaail-o-Adaab Peer ke andar kin baato ka hona zaruri hai? Sone,Baithne aur chalne ke Masaail-o-Adaab Dusre ke ghar me daakhil hone ke Masaail-o-Adaab Salam karne ke Masaail Musaafha karne,gale milne aur bosa lene ke Masaail Maa baap ya kisi buzurg ka haath pair chumne aur unki taazim ke liye khade hone ka Mas'ala Mannat ke Ahkaam-o-Masaail Qasam ke Ahkam-o-Masaail Gibat,Chugli,Hasad aur jalan ke Ahkaam



Dawat-E-Quran