Libaas Ke Ahkaam-o-Adaab



Hazrat-e-Abdullah bin Abbas radhi allaho anho bayan karte hain ki: Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Tum jo chaaho khaao aur jo chaaho pahno jab tak ki do baaten na ho.(1)Israaf yani fuzul kharchi.(2) Aur takabbur yani ghamand aur fakhr wagairah.(Sahi Bukhari,Kitaabul libaas,Baab No.77)
Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anhuma bayan karte hain ki:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Jis ne shuhrat ka libaas pahna (Yani takabbur ki wajah se khoob qimati libaas pahna)To Allah Ta’ala qayamat ke din use zillat ka libaas pahnaaega.(Abu Dawood,Hadis No.4029)
Hazrat-e-Abdullah bin Masood radhi allaho anho bayan karte hain ki: Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Jis ke dil me zarrah barabar bhi takabbur hoga woh jannat me nahi jaaega.Ek shakhs ne arz kiya:Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam!Kisi ko ye pasand hota hai ki us ke kapde aur jute wagairah achhchhe ho? (Yani kiya ye bhi takabbur hai?) To Aap Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Allah Jamil (Khoobsurat) Hai aur jamal(Khoobsurti) ko pasand fermata hai.Takabbur naam hai Haq baat ko nahi maan ne aur dusaro ko chhota samajhne ka.(Sahi Muslim,hadis 91)
Mas’ala:Kurta,Jubba aur dusare kapde wagairah daaheni taraf se pahn-na chahiye.Hazrat-e-Abu Hurairah radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam jab Qamis pahante to daaheni taraf se shuru karte.(Tirmizi,Hadis No.1766)
Mas’ala:Takabbur se takhne ke niche paajama wagairah latkana sakht mana hai. Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki kapde ka woh hissa jo takhne se niche hoga woh jahannam me hoga.(Sahi Bukhari Hadis No.5787)
Mas’ala:Kapda pahan ne ke baad Allah Ta’ala ki hamd karna sunnat hai. Huzur Nabi kareem sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Jo shakhs kapda pahan kar ye dua padh leta hai.
“Al-Hamdulillahil lazi kasaani haaza-ssauba wa razaqnihi min gairi haulin minni wa laa quwwatin.”
To Allah ta'ala us ke agle aur pichhle gunahon ko bakhsh deta hai. [Abu'dawood,Hadith No.4023]
Safeed kapdo ki fazilat: Hazrat-e-Abdullah bin Abbas radhi allaho anho bayan karte hain ki: Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Tumhare kapdo me behtarin safeed rang ka kapda hai.To tum use pahno aur us me apne murdo ko kafan do.(Ibn-e-Maja, Hadis No.3566)
Note:Safeed rang ke elawah aur bhi dusare rang ke kapde huzur sallallaho alaihe wasallam ne pahna, is liye har rang ke kapde pahan na sahi hai.Magar mukammal laal rang ke kapde ko Huzur ne mardo ke liye pasand nahi farmaya is liye mardo ko mukammal laal rang ka kapda jis me aur koi rang nahi ho, pahan nahi chaahiye.
Mas’ala: Mardo ke liye resham ke kapde pahan na jaa’iz nahi hai.Jab ki aurato ke liye jaaiz hai.Jaisa ki Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Resham aur sona meri ummat ke mardo ke liye haraam kiya gaya aur aurato ke liye halaal.(Tirmizi,Hadis No.1720)
Mas’ala: Aurato ke liye mardo jaisa libaas aur mardo ke liye aurato jaisa libaas pahan na sakht mana hai. Hazrat Abu Hurairah radhiallaho anho bayan karte hain ki : Nabi karim ﷺ ne Un mardon par laanat farmayi jo auraton ke libaas pehnte hain aur un auraton par laanat farmayi jo mardon ki tarah libaas pahanti hain.(Sahi Bukhari, hadis No.5885.Abu Dawood,Hadis No.4097-4098)
Mas’ala: patle aur chust kapde pahnna jis se badan ka utaar charhao zaahir ho sakht najaiz o gunah aur azaab e ilaahi ka zariya hai. Hazrat Ayesha siddiqa radhiallaho anha bayan karti hain ki Nabi karim ﷺ ki bargah me Hazrat e Aasma bareek kapde pehne hue aayi to Huzur ﷺ ne apna chehra pher liya aur irshaad farmaya : Aye Aasma ! jab aurat baalig ho jaaye to uske badan ka koi hissa dikhaayi nahi dena chahiye siwae munh aur hatheli ke (Abu Dawood,Hadis No.4104) Aur chust kapda pehnne wali auraton ke baare me Aap ﷺ ne farmaya ke : woh kapde pahan ke bhi nangi hain aur aisi auraton ke baare me irshad farmaya ke woh Haq raaste se hati hui hain aur dusron ko bhi Haq raaste se hataane wali hain, aisi auraten jannat me nahi daakhil hongi balke uski khusbu bhi nahi paaengi jab ki jannat ki khusbu 500 saal ki doori tak jaayegi.(Sahi Muslim,hadis No. 2128)
Share.........




Related Topics



Khaana khaane ke Adaab Pani wagairah pine ke adaab Tel,Khushbu aur kanghi ke masaail-o-Adaab Ghar se nikalne aur daakhil hone ka tariqa Anguthi pahn-ne ke Masaail Sone chandi ke zewar ke Masaail Loha,Taamba,Pital aur dusre dhaat ke zewar ke ahkaam Mehandi,Kaanch ki churiyan aur sendoor wagairah ka sharyi hukm Bhau ke baal banwaane,Tatto karwane aur banawati baal lagaane ka mas'ala Safeed baalon ko rangne ka mas'ala Hajamat banwaane ke Masaail-o-Adaab Nakhun kaatne ke Masaail-o-Adaab Pakhaana aur peshab karne ke Masaail-o-Adaab Bimar ki eyaadat ke fazaail aur masaail Bachcho ki paidaaish ke baad ke kaam Jhaar phoonk aur dua ta'wiz ke Masaail Jute aur chappal pahn-ne ke Masaail-o-Adaab Chhink aur jemaahi ke Masaail-o-Adaab Ham-bistari ke Masaail-o-Adaab Peer ke andar kin baato ka hona zaruri hai? Sone,Baithne aur chalne ke Masaail-o-Adaab Dusre ke ghar me daakhil hone ke Masaail-o-Adaab Salam karne ke Masaail Musaafha karne,gale milne aur bosa lene ke Masaail Maa baap ya kisi buzurg ka haath pair chumne aur unki taazim ke liye khade hone ka Mas'ala Mannat ke Ahkaam-o-Masaail Qasam ke Ahkam-o-Masaail Gibat,Chugli,Hasad aur jalan ke Ahkaam



Dawat-E-Quran