Nakhun kaatne ka tariqa aur us ke Masa’il



Mas'ala: Nakhun kaatna ambiya-e-Kiram ki sunnat hai.(Sahi Bukhari,Hadis No.5891)
Mas'ala: Juma ke din nakhun kaatna behtar hai.Jaisa ki hadis sharif me aaya hai ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam Juma ke din namaaz ke liye jaane se pahle munch chhota karte the aur apne nakhuno ko kaat te the.(Sharhu ssunah,Hadis No.3198)
Mas'ala: Agar nakhun ziyadah badh gaya ho to juma ka intezaar nahi kare kyunki naakhun ka badha hua hona achhchhi baat nahi.Ye rozi me tangi ka zariya hai.
Mas'ala: Naakhun kisi bhi din kaat sakte hain.Lekin ek za’eef hadis me hai ki Budh ke din naakhun kaatne se safeed daag ki bimari paida hoti hai.Ye hadis agarche zaeef hai.Lekin jab hadis me hai to is se bachne hi me bhala’ee hai.Kyunki bela wajah apne aap ko khatre me daalna aqalmandi nahi.
Naakhun kaatne ka tariqa:Ye hai ki sab se pahle daahene haath ke kalma ki ungli se shuru kare aur sab se chhoti ungli tak kaate. Phir baaye haath ki sab se chhoti ungli se shuru kare aur anguthe par khatam kare.Phir sab se baad me daahene haath ke anguthe ka naakhun kaate.
Pair me daahene paao ki sab se chhoti ungli se shuru kare aur angutha par khatam kare.Phir baae pair ke anguthe se shuru kar ke sab se chhoti ungli tak kaate.
Mas'ala:Daant se naakhun nahi kaatna chaahiye.Kyunki ye makruh hai aur aisa karne se safeed daag ki bimaari paida hone ka dar hai.
Note:Kuchh log saare nakhun kaat lete hain aur kisi ek naakhun ko chhor dete hain.Ye Huzur aur sahaba ka tariqa nahi hai.Is liye musalmano ke liye aisa karna munasib nahi hai.
Share.........




Related Topics



Khaana khaane ke Adaab Pani wagairah pine ke adaab Libaas ke ahkaam aur adaab Tel,Khushbu aur kanghi ke masaail-o-Adaab Ghar se nikalne aur daakhil hone ka tariqa Anguthi pahn-ne ke Masaail Sone chandi ke zewar ke Masaail Loha,Taamba,Pital aur dusre dhaat ke zewar ke ahkaam Mehandi,Kaanch ki churiyan aur sendoor wagairah ka sharyi hukm Bhau ke baal banwaane,Tatto karwane aur banawati baal lagaane ka mas'ala Safeed baalon ko rangne ka mas'ala Hajamat banwaane ke Masaail-o-Adaab Pakhaana aur peshab karne ke Masaail-o-Adaab Bimar ki eyaadat ke fazaail aur masaail Bachcho ki paidaaish ke baad ke kaam Jhaar phoonk aur dua ta'wiz ke Masaail Jute aur chappal pahn-ne ke Masaail-o-Adaab Chhink aur jemaahi ke Masaail-o-Adaab Ham-bistari ke Masaail-o-Adaab Peer ke andar kin baato ka hona zaruri hai? Sone,Baithne aur chalne ke Masaail-o-Adaab Dusre ke ghar me daakhil hone ke Masaail-o-Adaab Salam karne ke Masaail Musaafha karne,gale milne aur bosa lene ke Masaail Maa baap ya kisi buzurg ka haath pair chumne aur unki taazim ke liye khade hone ka Mas'ala Mannat ke Ahkaam-o-Masaail Qasam ke Ahkam-o-Masaail Gibat,Chugli,Hasad aur jalan ke Ahkaam



Dawat-E-Quran