Huzur Nabi kareem sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki beshak chhink Allah ta'ala ko pasand hai aur jamahi pasand nahi hai.Is liye jab kisi ko jamahi aaye to jahan tak ho sake us ko roke aur munh khol kar "haa,haa"na kare.Kyunki is se shaitan khush hota hai. (Kyunki ye gaflat aur susti ki dalil hai.)[Abu'dawood,Hadith No5028]
Mas'ala:Jab kisi ko chhink aaye to use chahiye ki who “Al-hamdulillahi ala kulli haal” kahe.Aur sun'ne wala us ke jawab me “Yarhamukallah” kahe.To phir chhinkne wala
“Yahdi kumullah wa yuslihu baalakum” kahe.[Sahi Bukhari,Hadith No. 6334]
Mas'ala:Agar chhinkne wala “Al-Hamdulillah” nahi kahe to use jawab nahi deni chaahiye.Kyunki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ki baargah me ek shakhs ne chhinka aur “Al-Hamdulillah” nahi kaha. To Aap Sallallaho alaihe wasallam ne “Yarhamukallah” kah kar jawab nahi diya aur farmaya ki:Beshak ye jawab us ke liye hai jo Allah ki hamd kare.(Sahi Bukhari,Hadis No.6221)
Mas'ala:Agar koi shakhs baar baar chhink raha ho to sirf pehli baar jawab de de.(Abu Dawood,Hadis No.5037)
Mas'ala:Jab jamahi aaye to munh par haath rakh lena chahiye.Huzur Nabi kareem sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki jab kisi ko jamahi aaye to munh par haath rakh le(Kyunki haath na rakhne ki wajah se) shaitan munh me ghus jaata hai.[Sahi Muslim,Hadith No.2995]
Share.........
Khaana khaane ke Adaab Pani wagairah pine ke adaab Libaas ke ahkaam aur adaab Tel,Khushbu aur kanghi ke masaail-o-Adaab Ghar se nikalne aur daakhil hone ka tariqa Anguthi pahn-ne ke Masaail Sone chandi ke zewar ke Masaail Loha,Taamba,Pital aur dusre dhaat ke zewar ke ahkaam Mehandi,Kaanch ki churiyan aur sendoor wagairah ka sharyi hukm Bhau ke baal banwaane,Tatto karwane aur banawati baal lagaane ka mas'ala Safeed baalon ko rangne ka mas'ala Hajamat banwaane ke Masaail-o-Adaab Nakhun kaatne ke Masaail-o-Adaab Pakhaana aur peshab karne ke Masaail-o-Adaab Bimar ki eyaadat ke fazaail aur masaail Bachcho ki paidaaish ke baad ke kaam Jhaar phoonk aur dua ta'wiz ke Masaail Jute aur chappal pahn-ne ke Masaail-o-Adaab Ham-bistari ke Masaail-o-Adaab Peer ke andar kin baato ka hona zaruri hai? Sone,Baithne aur chalne ke Masaail-o-Adaab Dusre ke ghar me daakhil hone ke Masaail-o-Adaab Salam karne ke Masaail Musaafha karne,gale milne aur bosa lene ke Masaail Maa baap ya kisi buzurg ka haath pair chumne aur unki taazim ke liye khade hone ka Mas'ala Mannat ke Ahkaam-o-Masaail Qasam ke Ahkam-o-Masaail Gibat,Chugli,Hasad aur jalan ke Ahkaam