Jis tarah se salam karna huzur ki sunnat hai usi tarah se musaafha karna bhi sunnat hai.Sahaba-e-Kiram ka is par amal bhi tha.Jaisa ki Hazrat-e-Qatadah bayan karte hain ki:Main ne Hazrat-e-Anas radhi allaho anho se puchha ki: Kya sahaba-e-kiraam ke darmiyan musaafha karne ka dastoor tha? To unho ne farmaya ki:Haan.(Sahi Bukhari,Hadis No.6263.Tirmizi,Hadis No.2729)
Hadis:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne bayan farmaya ki:Jab do musalman milte hain aur musaafha karte hain.To Allah Ta’ala un dono ke alag hone se pahle hi un ke gunaaho ko maaf farma deta hai. (Tirmizi,Hadis No.2727.Ibn-e-Majah,Hadis No.3703)
Rahi baat ki musaafha ek haath se karni chaahiye ya dono haath se? To Imam Bukhari is ko bayan karte hue farmate hain ki:Hazrat-e-Hammad bin Zaid ne Ibn-e-Mubarak se dono haath se musaafha kiya. Aur imam Bukhari ne dono haath se musaafha ka “Baab” baandh kar use huzur se saabit kiya.(Sahi Bukhari,Hadis No.6265)
Is ke elawah ummat ke bade bade ulma ka bhi isi par fatwa aur amal raha.Tafseel ke liye Fatawa Razawiya vol:22 Page No.269 dekhye.)
Gale milna:Ye bhi Huzur ki sunnat hai.Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha bayan karti hain ki:Jab Hazart-e-Zaid bin Haaresa radhi allaho anho Madina sharif aae.Us waqt Huzur mere ghar me the.Unhone aa kar darwaza khat khataya to Huzur Sallallaho alaihe wasallam tezi se begair chaadar udhe hue chal diye.Qasam khuda ki!Main ne huzur ko is se pahle kabhi kisi ke paas begair chaadar udhe hue jaate nahi dekha aur nahi kabhi is ke baad is tarah dekha.Huzur ne unhe gale lagaaya aur boosa diya.(Tirmizi,hadis No.2732)
Note:Gale milna aur boosa dena sirf usi waqt jaa’iz hai jab ki fitna ka dar aur shahwat ki koi baat na ho warna to ye jaa’iz nahi.Huzur Sallallaho alaihe wasallam se ek shakhs ne puchha ki:Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam!Ham me se jab koi apne bhai ya dost se mile to kya us ke liye jhuke? Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Nahi.Unhone arz kiya ki:Kiya us se gale mile aur usko boosa de? Aap ne farmaya ki:Nahi.Unhone phir puchha ki:Kya us ka haath pakde aur musaafha kare? Aap ne farmaya ki:Haan. (Tirmizi,Hadis No.2728)
Is hadis sharif me jo gale milne aur boosa yani chumne se mana kiya gaya.Ye usi surat me hai jab ki fitna ya shahwat ka dar ho.Nahi to us ke jaa’iz hone me koi shak nahi.Kyunki ye khud huzur se saabit hai.Aur bahut saare sahaba se bhi saabit hai.
Share.........
Khaana khaane ke Adaab Pani wagairah pine ke adaab Libaas ke ahkaam aur adaab Tel,Khushbu aur kanghi ke masaail-o-Adaab Ghar se nikalne aur daakhil hone ka tariqa Anguthi pahn-ne ke Masaail Sone chandi ke zewar ke Masaail Loha,Taamba,Pital aur dusre dhaat ke zewar ke ahkaam Mehandi,Kaanch ki churiyan aur sendoor wagairah ka sharyi hukm Bhau ke baal banwaane,Tatto karwane aur banawati baal lagaane ka mas'ala Safeed baalon ko rangne ka mas'ala Hajamat banwaane ke Masaail-o-Adaab Nakhun kaatne ke Masaail-o-Adaab Pakhaana aur peshab karne ke Masaail-o-Adaab Bimar ki eyaadat ke fazaail aur masaail Bachcho ki paidaaish ke baad ke kaam Jhaar phoonk aur dua ta'wiz ke Masaail Jute aur chappal pahn-ne ke Masaail-o-Adaab Chhink aur jemaahi ke Masaail-o-Adaab Ham-bistari ke Masaail-o-Adaab Peer ke andar kin baato ka hona zaruri hai? Sone,Baithne aur chalne ke Masaail-o-Adaab Dusre ke ghar me daakhil hone ke Masaail-o-Adaab Salam karne ke Masaail Maa baap ya kisi buzurg ka haath pair chumne aur unki taazim ke liye khade hone ka Mas'ala Mannat ke Ahkaam-o-Masaail Qasam ke Ahkam-o-Masaail Gibat,Chugli,Hasad aur jalan ke Ahkaam