Sar me Tel lagaane aur kanghi Karne ka bayan:
Hazrat-e-Anas bin Malik radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam apne sar e Mubarak me khoob teel daalte the aur apni daarhi me kangha karte the.(Sharhussunah,Hadis No.3164)
Hazrat-e-Abu Hurairah radhi allaho anho bayan karte hain ki: Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jis ke paas baal ho woh uski izzat kare.(Yani us me teel lagaae aur kangha kare.)(Abu Dawood, Hadis No.4163)
Ek hadis me hai ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne har din kanghi karne se mana farmaya.(Abu Dawood,Hadis No.4159) To is ka matlab ye nahi hai ki admi ke baal bikhre hue ho us ke baad bhi kanghi na kare aur majno ki tarah bana rahe.Kyunki Huzur sallallaho alaihe wasallam ne aise shakhs ko dekha to khud pasand nahi farmaya.Is farman ka maqsad ye hai ki mardo ko ziyadah bano singhar me mashgol nahi rahna chaahiye.
Khushboo lagaane ka bayan:Hazrat-e-Anas bin Malik radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke paas ek itar-daan tha,Us se Aap khushboo lagaya karte the.(Abu Dawood,Hadis No.4162)
Hazrat-e-Anas bin Malik radhi allaho anho bayan karte hain ki: Main ne kabhi aisa nahi dekha ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ko kisi ne khushbo pesh kiya aur Aap ne use qabool nahi kiya ho.(Tirmizi, Hadis No.2789)
Hazrat-e-Usman Nehdi radhi allaho anho bayan karte hain ki: Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jab tum me se kisi ko khushbo diya jaae to inkaar na kare.Kyunki woh jannat se nikla hai.(Tirmizi,Hadis No.2791)
Hazrat-e-Abu Hurairah radhi allaho anho bayan karte hain ki: Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Mardo ki khushboo woh hai jis ki khushboo tez aur rang chhupa ho.Aur aurato ki khushboo woh hai jis ka rang zaahir aur khushboo halki ho.(Tirmizi,Hadis No.2787)
Hazrat-e-Ashari radhi allaho anho bayan karte hain ki: Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Beshak woh aurat jis ne tez khushboo lagayi phir woh kisi qaum ke paas se guzri ki woh log uski khushboo mehsoos kare to woh zaaniya hai(Yani use zina karne ka gunaah hoga) (Sunan Nisa’ee , Hadis No.5126)
Surma lagaane ka bayan:Hazrat-e-Abdullah bin Abbas radhi allaho anho bayan karte hain ki: Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki: “ ISMID ” surma lagao kyunki woh nigaah ko tez karta hai aur baal ko ugaata hai.Aur unhone bayan kiya ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke paas ek surma-daani thi.Aap Sallallaho alaihe wasallam har raat ko us se teen martaba daaheni aankh me lagaate the aur teen martaba baa’ee aankh me.(Tirmizi,Hadis No.1757.Sharhussunah,Hadis No.3201)
Hazrat-e-Anas bin Malik radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam daaheni aankh mein 3 martaba aur baa’ee aankh me do martaba Ismid surma lagaate the.( Sharhussunah,Hadis No.3205)
Note:Huzur Sallallaho alaihe wasallam se surma lagaane ka do tariqa saabit hai.Ek ye ki dono aankh me 3/3 baar lagaae aur dusara ye ki daaheni aankh me 3 baar aur baa’ee aankh me 2 baar lagaae.Is liye ye dono hi tariqa sunnat hai.Isi tarah koi bhi surma lagaa sakte hain magar ziyadah achhchha “Ismid” surma hai kyunki khud Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Tum jo bhi surma lagaate ho un me sab se behtar surma “Ismid” Hai.(Sunan Nisa’ee,Hadis No.5113. Sharhussunah,Hadis No.3201)
Share.........
Khaana khaane ke Adaab Pani wagairah pine ke adaab Libaas ke ahkaam aur adaab Ghar se nikalne aur daakhil hone ka tariqa Anguthi pahn-ne ke Masaail Sone chandi ke zewar ke Masaail Loha,Taamba,Pital aur dusre dhaat ke zewar ke ahkaam Mehandi,Kaanch ki churiyan aur sendoor wagairah ka sharyi hukm Bhau ke baal banwaane,Tatto karwane aur banawati baal lagaane ka mas'ala Safeed baalon ko rangne ka mas'ala Hajamat banwaane ke Masaail-o-Adaab Nakhun kaatne ke Masaail-o-Adaab Pakhaana aur peshab karne ke Masaail-o-Adaab Bimar ki eyaadat ke fazaail aur masaail Bachcho ki paidaaish ke baad ke kaam Jhaar phoonk aur dua ta'wiz ke Masaail Jute aur chappal pahn-ne ke Masaail-o-Adaab Chhink aur jemaahi ke Masaail-o-Adaab Ham-bistari ke Masaail-o-Adaab Peer ke andar kin baato ka hona zaruri hai? Sone,Baithne aur chalne ke Masaail-o-Adaab Dusre ke ghar me daakhil hone ke Masaail-o-Adaab Salam karne ke Masaail Musaafha karne,gale milne aur bosa lene ke Masaail Maa baap ya kisi buzurg ka haath pair chumne aur unki taazim ke liye khade hone ka Mas'ala Mannat ke Ahkaam-o-Masaail Qasam ke Ahkam-o-Masaail Gibat,Chugli,Hasad aur jalan ke Ahkaam