Baithne,Chalne Aur Sone Ka Tariqa



Baithne ka tariqa: Baithana har tariqe se ja'iz hai siwae ek tariqa ke woh ye hai ki admi apna baayan haath apni pith par rakh le aur daahine haath ki hathili par tek laga kar baithe.Huzur sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki is tarah se baithna un logon ka tariqa hai jin par Allah ta'ala ka gazab hua. [Abu'dawood,Hadith No.4848]
Mas'ala:Begair kisi zarurat ke sadkon ke kinare par baithna durust nahi hai kyunki huzur sallallaho alaihe wasallam ne is se mana farmaya aur irshad farmaya ki agar kisi wajah se baithna hi par jaaye to raaste ka haq ada karo.Sahaba ne puchha ki raaste ka kiya haq hai? To Aap sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki : Nigahon ko niche rakhna.Taklifon ko door karna.Salam ka jawab dena Aur achchhi baaton ka hukm dena aur buri baaton se rokna.[Sahi Bukhari hadith No.2465]
Mas'ala:pehle se baithe hue kisi shakhs ko utha kar uski jagah par baithna durust nahi hai.Isi tarah se pehle se baithe hue do shakhson ke bich me baith jaana bhi mana hai.(Abu Dawood,Hadis No.4844)
Mas'ala:Jab koi shakhs kahin par baitha huwa ho aur thodi der ke liye uth kar kahin jaaye to wapas aane ke baad us jagah ka haqdaar wahi shakhs hai.(Sahi Muslim,Hadis No.2179)
Mas'ala:Majlis me jab bahut saare log baithe hon aur aane wale ke liye jagah na ho to us surat me khasak kar jagah banana aur use jagah dena sunnat hai.(Bukhari,Muslim)
Hadis:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki agar koi shakhs dhoop me baitha ho phir wahan par saaya aaje aur us ka kuchh hissa dhoop me ho jaae aur kuchh saaya me to wahan se uth jaae.(Abu Dawood,Hadis No.4821)
Mas'ala:Kisi bhi majlis me baithne ke baad Allah ta'ala ki hamd karna sunnat hai aur begair hamd kiye hue us majlis se uth jaana sunnat ke khelaf hai.(Abu Dawood,Hadis No.4855-56)
Hadis:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Kuchh kalme hain.Jo shakhs kisi majlis se faarig ho kar un ko 3 martaba padh lega to Allah Ta’ala us ke gunah ko mita dega.Woh kalme ye hain. “Subhanakallahumma wa bihamdika,Laa ilaaha illa ant astagfiruka wa atuboo ilaika”.(Abu Dawood,Hadis No.4857)
Chalne ka tariqa:Chalne ka tariqa ye hai ki na bahut tezi ke saath chale aur nahi bahut aahista balki darmiyana chaal chale.
Mas'ala: Ghamand se itra itra kar chalna sakht gunaah aur Allah ta'ala ke azaab ka zari'ya hai.Allah Ta’ala ne irshad farmaya ki:Zameen me itra kar na chal.Beshak to nahi zameen ko chir paaega aur nahi bulandi me pahado ko pahuch jaaega.(Surah Bani isra’il,Aayat No.37)
Hadis:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Ek shakhs do chaadar udhe hue itra itra kar chal raha tha.To use zameen me dhasa diya gaya.Aur qayamat tak woh dhasta hi jaaega.(Sahi Muslim,Hadis No.2088)
Mas'ala:Do auraton ke bich me mardo ko chalne se Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne mana farmaya.(Abu Dawood)
Mas'ala:Raasta chhor kar kisi ki khaas zameen me chalna mana hai.Haan agar wahan par raasta na ho to chal sakta hai lekin agar malik mana karde to ab nahi chal sakta.
Sone ka Tariqa:Sone ka sunnat tariqa ye hai ki pehle kuchh der daheni karwat par daheni rukhsaar ke niche apna dahina haath rakh kar soye.Phir baa'e karwat par soye.[Shama'ile Tirmizi,Hadith No.238]
Mas'ala:Pet ke bal letna aur sona mana hai.Ek shakhs ko Huzur sallallaho alaihe wasallam ne pet ke bal lete hue dekha to mana kiya aur irshad farmaya ki:Ye jahannamiyon ke letne ka tariqa hai.Yani jahannamiyon ko jahannam me isi tarah letaya jaayega.[Ibn-e-Majah,Hadith No.3724]
Mas'ala:Chit letne ki haalat me ek pair ko khda kar ke dusre pair ko us par rakhna mana hai jab ki woh tehband ya koi aisa kapda pahna ho jis me satar ke khulne ka dar ho.(Muslim,Hadis No.2099)
Mas'ala:Begair rok wali chhat par sona mana hai.
Mas'ala:Asar ke baad aur isha ki namaz padhne se pehle sona makroh hai.Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha se riwayat hai ki agar koi shakhs asar ke baad soe aur uski aqal jaati rahe to woh apne aap hi par malamat kare.(Abu Dawood,Hadis No.4849)
Mas'ala: Behtar ye hai ke sote waqt agar wazu na ho to wazu kar le aur kalma,Istigfaar,Quran sharif ki kuchh suraten aur darood-e-paak wagairah padh kar soye kyunki jis haalat par insaan sota hai usi haalat par uthta hai aur jis haalat par marta hai qayamat ke din usi haalat par uthaya jaayega.
Hadis:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Jo shakhs wazu kar ke sota hai.Phir raat me jaag kar Allah Ta’ala se dunya aur aakherat ki jo bhi bhala’ee maangta hai.Allah Ta’ala use ata fermata hai.(Abu Dawood,Hadis No.5042)
Share.........




Related Topics



Khaana khaane ke Adaab Pani wagairah pine ke adaab Libaas ke ahkaam aur adaab Tel,Khushbu aur kanghi ke masaail-o-Adaab Ghar se nikalne aur daakhil hone ka tariqa Anguthi pahn-ne ke Masaail Sone chandi ke zewar ke Masaail Loha,Taamba,Pital aur dusre dhaat ke zewar ke ahkaam Mehandi,Kaanch ki churiyan aur sendoor wagairah ka sharyi hukm Bhau ke baal banwaane,Tatto karwane aur banawati baal lagaane ka mas'ala Safeed baalon ko rangne ka mas'ala Hajamat banwaane ke Masaail-o-Adaab Nakhun kaatne ke Masaail-o-Adaab Pakhaana aur peshab karne ke Masaail-o-Adaab Bimar ki eyaadat ke fazaail aur masaail Bachcho ki paidaaish ke baad ke kaam Jhaar phoonk aur dua ta'wiz ke Masaail Jute aur chappal pahn-ne ke Masaail-o-Adaab Chhink aur jemaahi ke Masaail-o-Adaab Ham-bistari ke Masaail-o-Adaab Peer ke andar kin baato ka hona zaruri hai? Dusre ke ghar me daakhil hone ke Masaail-o-Adaab Salam karne ke Masaail Musaafha karne,gale milne aur bosa lene ke Masaail Maa baap ya kisi buzurg ka haath pair chumne aur unki taazim ke liye khade hone ka Mas'ala Mannat ke Ahkaam-o-Masaail Qasam ke Ahkam-o-Masaail Gibat,Chugli,Hasad aur jalan ke Ahkaam



Dawat-E-Quran