Khaana khaane ki sunnaten



(1) Khaane se pahle dono haath gatto tak dhona.Hazrat-e-Salman faarsi radhi allaho anho bayan karte hain ki: Main ne Taureet me padha tha ki khaane ke baad haath dhona aur kulli karna barkat ka zariya hai.Is ko main ne Huzur Sallallaho alaihe wasallam se bataaya to Aap ne irshad farmaya ki:Khaane ki barkat khaane se pahle aur us ke baad haath dhona hai.(Tirmizi,Hadis No.1846)
(2) Bismillah padhna.Hazrat-e-Jaabir radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki Jab koi shakhs apne ghar me daakhil hote waqt aur khaana khaate waqt Bismillah padh leta hai to shaitaan apni aulado se kahta hai ki:Is ghar me na tumhen rahna milega aur nahi khaana. Aur agar daakhil hote waqt Bismillah nahi padhta hai to kahta hai ki: Ab tumhe rahne ki jagah mil gayi.Aur khaane ke waqt bhi Bismillah nahi padhta hai to kahta hai ki:Rahne ki jagah bhi mili aur khaana bhi mila.(Sahi Muslim,Hadis 2018) Ek dusari hadis me hai ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jis khaane par Bismillah nahi padhi jaati hai woh khaana shaitaan ke liye halaal ho jaata hai. (Sahi Muslim, Hadis No.2017)
Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha bayan karti hain ki:Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Jab tum me se koi khaana khaae to Bismillah padh le aur agar shuru me padhna bhol jaae to ye kah le.بِسمِ اللّٰہ فِی اَوَّلِہٖ وَآخِرِہٖ (Bismillahi fee auwwalehi wa aakherihi).(Tirmizi,Hadis No.1858)
(3) Daaheni haath se khaana.Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jab tum me se koi shakhs khaana khaae to daaheni haath se khaae,Aur jab tum me se koi kuchh piye to daaheni haath se piye kyunki baa’ein haath se shaitaan khaata pita hai.(Sahi Muslim,Hadis No.2020)
(4) Teen unguliyo se khaana aur khaane ke baad unguliyo ko chaat lena.Hazrat-e-Ka’ab bin Malik radhi allaho anho bayan karte hai ki Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam 3 unguliyo se khaana khaate the aur khaane ke baad unguliya chaat liya karte the.(Sahi Muslim, Hadis No.2032)
Hazrat-e-Jaabir radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne bartan aur unguliyo ko chaatne ka hukm diya aur farmaya ki:Tum nahi jaante ki kaun se daane me barkat hai.(Sahi Muslim,Hadis No.2033)
(5) Khaane ke baad Allah Ta’ala ki taarif karna.Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Allah Ta’ala us bande se khush hota hai jo kuchh khaata hai ya pita hai to us ke baad Allah Ta’ala ki hamd yani taarif karta hai.(Sahi Muslim,Hadis No.2724.Tirmizi,hadis No.1816)
Hazrat-e-Abu Sa’eed khudri radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam khaane ke baad ye dua padhte the.
اَلۡحَمۡدُلِلّٰہِ الَّذِی اَطعَمَنَاوَسَقَانَاوَجَعَلَنَامِنَ المُسلِمِین
(Alham do lillah hilla-Zee At Amana wa saquana waja 'alana minal Muslimeen.) Sab taarifen us Allah ke liye hai jis ne hame khilaaya aur pilaaya aur hame musalmano me se banaaya.(Abu Dawood,Hadis No.3850)
Share.........




Related Topics



Pani wagairah pine ke adaab Libaas ke ahkaam aur adaab Tel,Khushbu aur kanghi ke masaail-o-Adaab Ghar se nikalne aur daakhil hone ka tariqa Anguthi pahn-ne ke Masaail Sone chandi ke zewar ke Masaail Loha,Taamba,Pital aur dusre dhaat ke zewar ke ahkaam Mehandi,Kaanch ki churiyan aur sendoor wagairah ka sharyi hukm Bhau ke baal banwaane,Tatto karwane aur banawati baal lagaane ka mas'ala Safeed baalon ko rangne ka mas'ala Hajamat banwaane ke Masaail-o-Adaab Nakhun kaatne ke Masaail-o-Adaab Pakhaana aur peshab karne ke Masaail-o-Adaab Bimar ki eyaadat ke fazaail aur masaail Bachcho ki paidaaish ke baad ke kaam Jhaar phoonk aur dua ta'wiz ke Masaail Jute aur chappal pahn-ne ke Masaail-o-Adaab Chhink aur jemaahi ke Masaail-o-Adaab Ham-bistari ke Masaail-o-Adaab Peer ke andar kin baato ka hona zaruri hai? Sone,Baithne aur chalne ke Masaail-o-Adaab Dusre ke ghar me daakhil hone ke Masaail-o-Adaab Salam karne ke Masaail Musaafha karne,gale milne aur bosa lene ke Masaail Maa baap ya kisi buzurg ka haath pair chumne aur unki taazim ke liye khade hone ka Mas'ala Mannat ke Ahkaam-o-Masaail Qasam ke Ahkam-o-Masaail Gibat,Chugli,Hasad aur jalan ke Ahkaam



Dawat-E-Quran