Hadis: Hazrat-e-Abu Huraira radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Yahudi aur Isa’ee khizaab nahi lagaate.(Yani baalo ko nahi rangte)Tum un ki mukhalifat karo.(Yani rango) (Bukhari,Hadis No.5899.Muslim,Hadis No.2130)
Hadis:Hazrat-e-Jaabir radhi allaho anho bayan karte hain ki Fath-e-Makka ke saal Hazrat-e-Abu bakar ke walid Hazrat-e-Abu Qahafa Huzur ke paas aaye.Us waqt un ke sar aur daarhi ke baal bilkul safeed the.To Aap Sallallaho alaihe wasallam ne un ki aurato ko hukm diya ki un ki safeedi ko kisi chiz se badal do.(Sahi Muslim,Hadis No.2102)
In dono hadiso se maloom hua ki safeed baalo ko rangna sahi hai.Ab rahi baat ki kis rang ka khizaab durust hai aur kis rang ka nahi? To Sahi hadiso ke mutabiq laal aur zard rang ka khizaab lagaana dusrust hai.Jaisa ki Hazrat-e-Abdullah bin Abbas radhi allaho anhuma bayan karte hain ki:Ek shakhs mehandi ka khizaab lagae hue guzra to Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Ye kitna achhchha hai.Phir ek dusara shakhs mehandi aur katum ka khizaab lagaae hue guzra to Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Ye us se achhchha hai. (Katum ek tarah ka ghaas hai jis ko mehandi me milaane se mehandi ka laal rang dark brown me badal jaata hai.(Fatawa razawiya,vol:23,Page No.502) Raawi kahte hain ki:Ek tisara shakhs zard (pile)rang ka khizaab laga kar guzra to Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Ye sab se achhchha hai.(Abu Dawood,Hadis No.4211)
Ek Hadis me hai ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki: Jin chizo se safeed baalo ko ranga jaata hai.Un me sab se achhchhi chiz Mehandi aur Katum hai.(Tirmizi,Hadis No.1753)
Mas’ala:Kaale rang se baalo ko rangna sakht naja’iz aur haraam hai.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Aakheri zamaane me ek qaum hogi jo apne baalo ko kaale rang se rangegi.Woh log jannat ki khushbo bhi nahi paaenge.(Abu Dawood,Hadis No.4212)
Hadis:Hazrat-e-Abu Darda radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jo shakhs kaale rang se apne baalo ko rangega.Allah Ta’ala Qayamat ke din us ka munh kaala karega.(Al-Majmaul zawa’id,Vol:5,Page No.163)
Hadis:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jo kaala khizaab karta hai.Qayamat ke din Allah Ta’ala uski taraf rahmat ki nazar nahi farmaega.(Kanzul ummal,Hadis No.17331)
Share.........
Khaana khaane ke Adaab Pani wagairah pine ke adaab Libaas ke ahkaam aur adaab Tel,Khushbu aur kanghi ke masaail-o-Adaab Ghar se nikalne aur daakhil hone ka tariqa Anguthi pahn-ne ke Masaail Sone chandi ke zewar ke Masaail Loha,Taamba,Pital aur dusre dhaat ke zewar ke ahkaam Mehandi,Kaanch ki churiyan aur sendoor wagairah ka sharyi hukm Bhau ke baal banwaane,Tatto karwane aur banawati baal lagaane ka mas'ala Hajamat banwaane ke Masaail-o-Adaab Nakhun kaatne ke Masaail-o-Adaab Pakhaana aur peshab karne ke Masaail-o-Adaab Bimar ki eyaadat ke fazaail aur masaail Bachcho ki paidaaish ke baad ke kaam Jhaar phoonk aur dua ta'wiz ke Masaail Jute aur chappal pahn-ne ke Masaail-o-Adaab Chhink aur jemaahi ke Masaail-o-Adaab Ham-bistari ke Masaail-o-Adaab Peer ke andar kin baato ka hona zaruri hai? Sone,Baithne aur chalne ke Masaail-o-Adaab Dusre ke ghar me daakhil hone ke Masaail-o-Adaab Salam karne ke Masaail Musaafha karne,gale milne aur bosa lene ke Masaail Maa baap ya kisi buzurg ka haath pair chumne aur unki taazim ke liye khade hone ka Mas'ala Mannat ke Ahkaam-o-Masaail Qasam ke Ahkam-o-Masaail Gibat,Chugli,Hasad aur jalan ke Ahkaam