Quran sharif ki aayato aur hadis sharif me bayan ki gayi duao ke zariye jhaad phonk is aqeede ke saath ki haqiqat me shifa dene wala to Allah hi hai.Aur ye sab shifayab hone ke zariye hain.Jise dawa aur injection wagairah.To ye beshak jaa’iz aur durust hai.Aur Huzur Sallallaho alaihe wasallam se saabit hai.Jaisa ki Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha bayan karti hain ki:Jab Aap Sallallaho alaihe wasallam ke ghar walo me se koi bimar par jaata to Aap Sallallaho alaihe wasallam “Qul a’uzu birabbil falaq aur Qul a’uzu bi-rabbin naas” padh kar us par dam farmate.Aur Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha bayan karti hain ki:Jab Aap Sallallaho alaihe wasallam apni zindagi ke aakhir-e-waqt me bimar hue to main aap par dam karti aur aap Sallallaho alaihe wasallam ke haath Mubarak ko aap par pherti kyunki aap Sallallaho alaihe wasallam ke haath me mere haath se ziyadah barkat thi.(Sahi Muslim,Hadis No.2192)
Hadis:Hazrat-e-Auf bin Malik radhi allaho anho bayan karte hain ki: Ham jaaheliyat ke zamaane me jhaar phonk karte the.(Islam laane ke baad) Ham ne Huzur Sallallaho alaihe wasallam se arz kiya:Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam! Aap is ke baare me kiya farmate hain? To Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jhaar phonk karne me koi harj nahi hai jab tak ki shirk na ho.(Yani us jhaar phonk me koi aisa kalma na padha jaae jis me shirk ho.) (Sahi Muslim,Hadis No.2200.Abu Dawood,Hadis No.3886)
Hadis:Hazrat-e-Amar bin shu’aib bayan karte hain ki:Beshak Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam ne ham logo ko kuchh kalme sikhaya tha jin ko ham log ghabrahat se bachne ke liye sote waqt padhte the.Woh kalme ye hain.
(3)Achhchha naam rakhna:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Qayamat ke din tum ko tumhare aur tumhare baapo ke naam se bulaya jaaega.Is liye achhchhe naam rakho.(Abu Dawood, Hadis No.4948)
بسم اللہ اعوذ بکلمات اللہ التامات من غضبہ و شر عبادہ و من ھمزات الشیاطین وان یحضرون ۔
Raawi kahte hain ki:Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anhuma apne baalig bachcho ko ye dua padhne ki taakid karte the aur apne kam umar bachcho ke gale me is dua ko likh kar is ka taawiz pahnaate the.(Abu Dawood,Hadis No.3893)
Upar me bayan ki gayi hadiso ke elawah aur bhi bahut saari hadisen hain jin se saaf taur par saabit hota hai ki jhaar phonk aur dua taawiz bilkul jaa’iz aur durust hai.Haan!Kuchh hadiso me jo is se mana kiya gaya hai.us se muraad woh jhaar phonk hai jo galat mantaro aur kufriya jumlo wagairah ke zariye ki jaati hain.Isi tarah ek hadis me jo kaha gaya ki “Jis ne taawiz latkaaya us ne shirk kiya” to is hadis ka matlab ye hai ki:Jis ne taawiz hi ko haqiqat me shifa dene wala samajh kar pahna to us ne shirk kiya.Is ka ye matlab nahi ki jo bhi taawiz latkaaya us ne shirk kiya.Kyunki agar aisa hota to sahabi-e-Rasool Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anhuma kabhi apne bachcho ko taawiz nahi pahnaate.
kuchh log jehaalat ya apni bad’maashi ki wajah se har tarah ke dua taawiz aur jhaar phonk ko haraam balki kufr aur shirk kah dete hain aur hadis ko samjhe begair musalmano ki aksariyat par kufr aur shirk ka fatwa laga dete hain.Jab ki is ka anjaam khud kaafir ho jaana hai.
Allah Ta’ala ham sab ko Siraat-e-Mustaqeem par qaayam farmae.
………………………Ameen
Share.........
Khaana khaane ke Adaab Pani wagairah pine ke adaab Libaas ke ahkaam aur adaab Tel,Khushbu aur kanghi ke masaail-o-Adaab Ghar se nikalne aur daakhil hone ka tariqa Anguthi pahn-ne ke Masaail Sone chandi ke zewar ke Masaail Loha,Taamba,Pital aur dusre dhaat ke zewar ke ahkaam Mehandi,Kaanch ki churiyan aur sendoor wagairah ka sharyi hukm Bhau ke baal banwaane,Tatto karwane aur banawati baal lagaane ka mas'ala Safeed baalon ko rangne ka mas'ala Hajamat banwaane ke Masaail-o-Adaab Nakhun kaatne ke Masaail-o-Adaab Pakhaana aur peshab karne ke Masaail-o-Adaab Bimar ki eyaadat ke fazaail aur masaail Bachcho ki paidaaish ke baad ke kaam Jute aur chappal pahn-ne ke Masaail-o-Adaab Chhink aur jemaahi ke Masaail-o-Adaab Ham-bistari ke Masaail-o-Adaab Peer ke andar kin baato ka hona zaruri hai? Sone,Baithne aur chalne ke Masaail-o-Adaab Dusre ke ghar me daakhil hone ke Masaail-o-Adaab Salam karne ke Masaail Musaafha karne,gale milne aur bosa lene ke Masaail Maa baap ya kisi buzurg ka haath pair chumne aur unki taazim ke liye khade hone ka Mas'ala Mannat ke Ahkaam-o-Masaail Qasam ke Ahkam-o-Masaail Gibat,Chugli,Hasad aur jalan ke Ahkaam