حدیث: عَنْ زَيْدِ بْنِ أَرْقَمَ رَضِىَ اللَّهُ عَنْهُمَا قَالاَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- « إِنِّى تَارِكٌ فِيكُمْ مَا إِنْ تَمَسَّكْتُمْ بِهِ لَنْ تَضِلُّوا بَعْدِى أَحَدُهُمَا أَعْظَمُ مِنَ الآخَرِ كِتَابُ اللَّهِ حَبْلٌ مَمْدُودٌ مِنَ السَّمَاءِ إِلَى الأَرْضِ وَعِتْرَتِى أَهْلُ بَيْتِى وَلَنْ يَتَفَرَّقَا حَتَّى يَرِدَا عَلَىَّ الْحَوْضَ فَانْظُرُوا كَيْفَ تَخْلُفُونِى فِيهِمَا ».
Tarjama:Hazrat zaid bin Arqam radhi allahu anhuma se riwayat hai ki Rasoole Akram ﷺ ne irshad farmaya: Main tum me aisi cheez chhorne wala hun ke agar tum use mazbooti se pakde rahoge to tum mere baad hargiz gumrah nahi hoge. Unme se ek dusre se badi hai, Ek Allah ki kitaab hai. Goya ki woh ek rassi hai jo aasmaan se zameen tak latki hui hai. Aur dusri meri itrat yani ahle bait hain ye dono hargiz juda na honge, yahan tak ke ye dono hauze kausar par mere paas aaenge. To tum log dekhlo ki in dono ke silsile me tum log meri kaisi jaanasheeni karte ho. [Tirmizi, Kitabul Munaqib, Hadees: 3788]
حدیث: عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- « أَحِبُّوا اللَّهَ لِمَا يَغْذُوكُمْ مِنْ نِعَمِهِ وَأَحِبُّونِى بِحُبِّ اللَّهِ وَأَحِبُّوا أَهْلَ بَيْتِى لِحُبِّى ».
Tarjama: Hazrat ibne Abbas radhi allahu anhuma se riwayat hai ke Rasoole Akram ﷺ ne irshad farmaya: Allah se mohabbat karo kyunki woh apni nematon se tumhari parwarish fermata hai, aur mujhse mohabbat karo Allah ki mohabbat ki wajah se aur mere ahle bait se mohabbat karo meri mohabbat ki wajah se. [Tirmizi, Kitabul Manabiq, Hadees: 3789]
حدیث: عَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ عَنِ النَّبِىِّ -صلى الله عليه وسلم- قَالَ « مَنْ سَرَّهُ أَنْ يَكْتَالَ بِالْمِكْيَالِ الأَوْفَى إِذَا صَلَّى عَلَيْنَا أَهْلَ الْبَيْتِ فَلْيَقُلِ اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ النَّبِىِّ وَأَزْوَاجِهِ أُمَّهَاتِ الْمُؤْمِنِينَ وَذُرِّيَّتِهِ وَأَهْلِ بَيْتِهِ كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ ».
Tarajama: Hazrat Abu Huraira radhi allahu anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi Kareem ﷺ ne farmaya: Jise is baat se khushi ho ke use pura paimana bhar ke sawab diya jaae to woh ham ahle bait par jab darood bheje to is tarah kahe “Ya Allah darood bhej (hamare) nabi Muhammad ﷺ par aur unki azwaaj momino ki maaon par aur unki aulaadon par aur unke sabhi ghar waalon par jaisa ki tune rehmat nazil kiya Hazrat Ibraheem ke aal par beshak tu bada layaqe hamd aur azmat wala hai. [Sunan Abu Dawood, Hadees: 984]
حدیث: عَنْ أَبِي سَعِيدٍ الْخُدْرِيِّ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ ، قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : وَالَّذِي نَفْسِي بِيَدِهِ لاَ يَبْغَضُنَا أَهْلَ الْبَيْتِ أَحَدٌ إِلاَّ أَدْخَلَهُ اللَّهُ النَّارَ.
Tarjama:Hazrat Abu Saeed Khudri radhi allahu anhu se riwayat hai ki Huzur Nabi Kareem ﷺ ne farmaya: Qasam hai us zaat ki jiske qabza-e- qudrat me meri jaan hai, ham ahle bait se jo bhi bughz aur dushmani rakhega, Allah taala usko jahannum me dakhil karega. [Al Mustadrak lil Hakim, Hadees: 4717]
حدیث: عَنْ حَنَشٍ الْكِنَانِيِّ قَالَ : سَمِعْتُ أَبَا ذَرٍّ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ يَقُولُ : وَهُوَ آخِذٌ بِبَابِ الْكَعْبَةِ مَنْ عَرَفَنِي فَأَنَا مَنْ عَرَفَنِي ، وَمَنْ أَنْكَرَنِي فَأَنَا أَبُو ذَرٍّ سَمِعْتُ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ : أَلاَ إِنَّ مَثَلَ أَهْلِ بَيْتِي فِيكُمْ مَثَلُ سَفِينَةِ نُوحٍ مِنْ قَوْمِهِ ، مَنْ رَكِبَهَا نَجَا ، وَمَنْ تَخَلَّفَ عَنْهَا غَرِقَ.
Tarjama: Hazrat Hanash Kanani bayan karte hain ki Hazrat Abu Zar radhi allahu anhu ko maine kehte hue suna, is haal me ke Kaaba sharif ke darwaze ko pakde hue the. Jo mujhe jaanta hai to main wahi hun aur jo mujhe nahi jaanta to main Abu Zar hun. Maine Nabi ﷺ ko ye farmate hue suna ke: Logo ghaur se suno! Beshak mere ahle bait ki misaal tumhare darmiyan aisi hi hai jaise Nooh alaihissalam ki kashti unke qaum ke darmiyaan. Jo isme sawaar ho gaya wo nijat paagaya aur jo isse peechhe reh gaya woh doob gaya. [Al Mustadrak lil Haakim, Hadees: 4720]
حدیث: عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ مُغَفَّلٍ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- « اللَّهَ اللَّهَ فِى أَصْحَابِى اللَّهَ اللَّهَ فِى أَصْحَابِى لاَ تَتَّخِذُوهُمْ غَرَضًا بَعْدِى فَمَنْ أَحَبَّهُمْ فَبِحُبِّى أَحَبَّهُمْ وَمَنْ أَبْغَضَهُمْ فَبِبُغْضِى أَبْغَضَهُمْ وَمَنْ آذَاهُمْ فَقَدْ آذَانِى وَمَنْ آذَانِى فَقَدْ آذَى اللَّهَ وَمَنْ آذَى اللَّهَ فَيُوشِكُ أَنْ يَأْخُذَهُ ».
Tarjama:Hazrat Abdullah bin Mughaffal radhi allahu anhu se riwayat hai ki Huzoor Nabi Kreem ﷺ ne farmaya: Allah se daro, Allah se daro, mere sahaba ke mamle me, Allah se daro, Allah se daro. Mere baad unhe apni malamat ka nishana na banana. Jo unse mohabbat karega woh mujh se mohabbat karne ki wajah se unse mohabbat karega aur jo unse bugz rakhega woh mujhse bugz rakhne ki wajah se unse bugz rakhega. Jisne unko takleef pahuchaya usne mujhe takleef pahuchayi aur jisne mujhe takleef pahuchayi usne Allah ko takleef di aur jisne Allah ko takleef di to qareeb hai ke Allah use apne azaab me giraftar karde. [Tirmizi, Kitabul Manaqib, Haadees: 3862]
حدیث: عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ بُرَيْدَةَ عَنْ أَبِيهِ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- « مَا مِنْ أَحَدٍ مِنْ أَصْحَابِى يَمُوتُ بِأَرْضٍ إِلاَّ بُعِثَ قَائِدًا وَنُورًا لَهُمْ يَوْمَ الْقِيَامَةِ ».
Tarjama: Hazrat Abdullah bin Buraida radhi allahu anhu se riwayat hai ki Huzoor Nabi Kareem ﷺ ne farmaya: Mere sahaba me se jo bhi kisi sarzameen par inteqal karega to woh qayamat ke din waha ke logon ka peshwa aur unke liye noor banakar uthaya jaaega. [tirmizi, Kitabul Munaqib, Hadees: 3865]
حدیث: عَنْ طَلْحَةَ بْنَ خِرَاشٍ يَقُولُ سَمِعْتُ جَابِرَ بْنَ عَبْدِ اللَّهِ يَقُولُ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- يَقُولُ « لاَ تَمَسُّ النَّارُ مُسْلِمًا رَآنِى أَوْ رَأَى مَنْ رَآنِى ». قَالَ طَلْحَةُ فَقَدْ رَأَيْتُ جَابِرَ بْنَ عَبْدِ اللَّهِ. وَقَالَ مُوسَى وَقَدْ رَأَيْتُ طَلْحَةَ. قَالَ يَحْيَى وَقَالَ لِى مُوسَى وَقَدْ رَأَيْتَنِى وَنَحْنُ نَرْجُو اللَّهَ.
Tarjama:Hazrat Jabir bin Abdullah radhi allahu anhuma bayan karte hain ki maine Nabi Kareem ﷺ ko ye farmate hue suna ki: Us musalman ko jahannum ki aag nahi chhuegi jisne mujhe dekha ya mere dekhne wale (sahaba) ko dekha. Talha bin Kharash, raawi kehta hain maine hazrat Jabir bin Abdullah radhi allahu anhu ko dekha aur Musa kehte hain maine Talha ko dekha hai aur Yahya ne kaha ke mujhse Musa ne kaha ki: aur tumne mujhe dekha hai aur ham sab Allah se nijat ke ummidwar hain. [Tirmizi, Kitabul Munaqib, Hadees: 3858]
حدیث: عَنِ ابْنِ عُمَرَ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم « إِذَا رَأَيْتُمُ الَّذِينَ يَسُبُّونَ أَصْحَابِى فَقُولُوا لَعْنَةُ اللَّهِ عَلَى شَرِّكُمْ » .
Tarjama:Hazrat Abdullah bin Umar radhi allahu anhuma bayan karte hain ke Huzur Nabi Kareem ﷺ ne farmaya: Jab tum aise logo ko dekho jo mere sahaba ko bura bhala kehte hon to tum kaho “Allah ki laanat ho tum logo ki shararat par”. [Tirmizi, Kitabul Munaqib, Hadees: 3866]
Share.........
Imaan Imaan ki Nishaaniya Allah ki Mohabbat Allah Ta'ala ke liye mohabbat ki fazilat Allah Ta'ala ke saath achchha guman rakhne ki fazilat Mohabbat-e-Rasool ﷺ Sachche Nabi ke Mo'jaze Tazim-e-Nabi ﷺ Nabi ﷺ ke Tabarrukaat Qabr me pesh aane wale halaat Qayamat ki nishaaniya Bando ke haq ilm-e-deen ki fazilat Quran Sharif ki azmat-o-fazilat Taalim-e-Quran ki fazilat Ilm-e-Gaib-e-Mustafa ﷺ Hayaat-e-Ambiya Ekhtiyar-e-Mustafa ﷺ Wasila Bid'at Isaal-e-Sawab Murde Bolte Sunte Hain Gustakhon ki pahchan Namaz ki fazilat Namaz chhorne ki muzammat Sunnat aur Nafil namazon ki ginti aur unki fazilat Rafa-e-Yadain Imaam ke pichhe tilawat Namaz-e-Taraweeh ki fazilat aur uski rik'aten Namaz-e-Vitr Do Namazo ko ek saath jama kar ke padhna Namaz-e-Janaza me Salam ek taraf ya dono taraf? Mukammal Namaz Hadees ki raushani me Mard aur aurat ki namaz me farq Namaz ke baad dua Ramzan Aur Roze Wagairah ki fazilat Roza na rakhne ka wabaal Haj aur Umrah ki fazilat Haj na karne ki muzammat