عَنْ أَوْسِ بْنِ أَوْسٍ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- إِنَّ مِنْ أَفْضَلِ أَيَّامِكُمْ يَوْمَ الْجُمُعَةِ فِيهِ خُلِقَ آدَمُ وَفِيهِ قُبِضَ وَفِيهِ النَّفْخَةُ وَفِيهِ الصَّعْقَةُ فَأَكْثِرُوا عَلَىَّ مِنَ الصَّلاَةِ فِيهِ فَإِنَّ صَلاَتَكُمْ مَعْرُوضَةٌ عَلَىَّ ۔ قَالَ قَالُوا يَا رَسُولَ اللَّهِ وَكَيْفَ تُعْرَضُ صَلاَتُنَا عَلَيْكَ وَقَدْ أَرِمْتَ يَقُولُونَ بَلِيتَ. فَقَالَ : إِنَّ اللَّهَ عَزَّ وَجَلَّ حَرَّمَ عَلَى الأَرْضِ أَجْسَادَ الأَنْبِيَاءِ ۔
Tarjama:Hazrat-e-Aus bin Aus radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki:Tumhare behtarin dino me se juma ka din hai.Isi din Hazrat-e-Aadm alaihissalam ki takhliq hui.Isi din un ki rooh qabz ki gayi,Isi din soor phonka jaaega aur isi din log be-hosh honge.Is liye is din mujh par khoob darood bheja karo kyunki tumhara darood mujh par pesh kiya jaata hai.Sahaba ne arz kiya:Ya Rasoolallah ﷺ ! Us waqt aap par hamara darood kis tarah pesh hoga jab ki aap mitti ho gae honge?To Huzur ne farmaya ki Allah Ta’ala ne zameen par haraam kar diya hai ki woh nabiyo ke jismo ko khaae. (Abu-dawood,hadis No.1047.Ibn-e-Maajah,Hadis No.1085)
عَنْ أَبِي الدَّرْدَاءِ ، قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى الله عَليْهِ وسَلَّمَ : أَكْثِرُوا الصَّلاَةَ عَلَيَّ يَوْمَ الْجُمُعَةِ ؛ فَإِنَّهُ مَشْهُودٌ ، تَشْهَدُهُ الْمَلاَئِكَةُ ، وَإِنَّ أَحَدًا لَنْ يُصَلِّيَ عَلَيَّ ، إِلاَّ عُرِضَتْ عَلَيَّ صَلاَتُهُ ، حَتَّى يَفْرُغَ مِنْهَا , قَالَ : قُلْتُ : وَبَعْدَ الْمَوْتِ ؟ قَالَ : وَبَعْدَ الْمَوْتِ ، إِنَّ اللَّهَ حَرَّمَ عَلَى الأَرْضِ أَنْ تَأْكُلَ أَجْسَادَ الأَنْبِيَاءِ ، فَنَبِيُّ اللهِ حَيٌّ يُرْزَقُ.
Tarjama:Hazrat-e-Abu Darda radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki:Juma ke din mujh par kasrat se darood bheja karo,Kyunki ye yaume mash-hood hai,Is din farishte haazir hote hain.Koi shakhs jab bhi mujh par darood bhejta hai to uska darood mujh par pesh kiya jaata hai.yahan tak ki woh us se faarig ho jaata hai.Hazrat-e-Abu Darda radhi Allaho anho kahte hain:Main ne arz kiya:Aur wafaat ke baad? Aap Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Haan,Wafaat ke baad bhi.Aap Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Beshak Allah Ta’ala ne zameen par haraam kar diya hai ki woh nabiyo ke jismo ko khaae.To Allah ke nabi zinda hote hain aur unhe rizq diya jaata hai.(Ibn-e-Maajah,Hadis No.1637)
عَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- « لَقَدْ رَأَيْتُنِى فِى الْحِجْرِ وَقُرَيْشٌ تَسْأَلُنِى عَنْ مَسْرَاىَ فَسَأَلَتْنِى عَنْ أَشْيَاءَ مِنْ بَيْتِ الْمَقْدِسِ لَمْ أُثْبِتْهَا. فَكُرِبْتُ كُرْبَةً مَا كُرِبْتُ مِثْلَهُ قَطُّ قَالَ فَرَفَعَهُ اللَّهُ لِى أَنْظُرُ إِلَيْهِ مَا يَسْأَلُونِى عَنْ شَىْءٍ إِلاَّ أَنْبَأْتُهُمْ بِهِ وَقَدْ رَأَيْتُنِى فِى جَمَاعَةٍ مِنَ الأَنْبِيَاءِ فَإِذَا مُوسَى قَائِمٌ يُصَلِّى فَإِذَا رَجُلٌ ضَرْبٌ جَعْدٌ كَأَنَّهُ مِنْ رِجَالِ شَنُوءَةَ وَإِذَا عِيسَى ابْنُ مَرْيَمَ - عَلَيْهِ السَّلاَمُ - قَائِمٌ يُصَلِّى أَقْرَبُ النَّاسِ بِهِ شَبَهًا عُرْوَةُ بْنُ مَسْعُودٍ الثَّقَفِىُّ وَإِذَا إِبْرَاهِيمُ - عَلَيْهِ السَّلاَمُ - قَائِمٌ يُصَلِّى أَشْبَهُ النَّاسِ بِهِ صَاحِبُكُمْ - يَعْنِى نَفْسَهُ - فَحَانَتِ الصَّلاَةُ فَأَمَمْتُهُمْ فَلَمَّا فَرَغْتُ مِنَ الصَّلاَةِ قَالَ قَائِلٌ يَا مُحَمَّدُ هَذَا مَالِكٌ صَاحِبُ النَّارِ فَسَلِّمْ عَلَيْهِ. فَالْتَفَتُّ إِلَيْهِ فَبَدَأَنِى بِالسَّلاَمِ ».
Tarajama: Hazrat-e-Abu Huraira radhi allaho anho bayan karte hain ki: Huzur ﷺ ne irshad farmaya:Main Hatim e Ka’aba me khada tha aur Quraish ke log mujh se mere Safar-e-Meraj ke baare me sawalaat kar rahe the.Un hone mujh se Baitul Muqaddas ke baare mein kuchh aisi chizein puchhein jin ko main ne mahfuz nahi rakha tha jis ki wajah se main itna parishan hua ki us se pahle itna kabhi nahi huwa tha.Tab Allah Ta’ala ne Baitul Muqaddas ko utha kar mere saamne rakh diya,Woh mujh se Baitul Muqaddas ke baare me puchhte rahe aur main unhe bata-ta raha.(Meraj ka waqiya bata-te hue Huzur ne isi hadis me bayan farmaya ki)Main ne dekha ki Hazrat-e-Mosa alaihissalam khade hue namaaz padh rahe the.Aur woh Qabila Shanowah ke logo ki tarah ghunghriyale baalo wale the.Hazrat-e-Isa ibn-e-Maryam khade hue namaaz padh rahe the aur Urwa bin Masood Saqafi un se bahut mushabeh haim.Hazrat-e-Ibrahim alaihissalam bhi khade namaaz padh rahe the aur tumhare paigambar un se sab se zyada mushabeh hain.Phir jab namaaz ka waqt aaya to main ne un sab ambiya-e-Kiraam ki imaamat kiya.Jab main namaaz se faarig hua to ek kahne wale ne mujh se kaha:Ye Malik,Jahannam ke daaroga hain.In ko salaam kijiye.Main un ki taraf dekha to unho ne pahle mujhe salaam kiya.(Sahi Muslim,hadis No.172)
عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- قَالَ : أَتَيْتُ - وَفِى رِوَايَةِ هَدَّابٍ مَرَرْتُ - عَلَى مُوسَى لَيْلَةَ أُسْرِىَ بِى عِنْدَ الْكَثِيبِ الأَحْمَرِ وَهُوَ قَائِمٌ يُصَلِّى فِى قَبْرِهِ
Tarjama:Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki Main meraaj ki raat Hazrat-e-Musa alaihissalam ki qabar ke paas se guzra to dekha ki woh apni qabar me khade ho kar namaaz padh rahe the.(Sahi Muslim,Hadis No.2375.Sunna Nasaee,hadis No.1633)
حَدَّثَتْنِى سَلْمَى قَالَتْ دَخَلْتُ عَلَى أُمِّ سَلَمَةَ وَهِىَ تَبْكِى فَقُلْتُ مَا يُبْكِيكِ قَالَتْ رَأَيْتُ رَسُولَ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- - تَعْنِى فِى الْمَنَامِ - وَعَلَى رَأْسِهِ وَلِحْيَتِهِ التُّرَابُ فَقُلْتُ مَا لَكَ يَا رَسُولَ اللَّهِ. قَالَ « شَهِدْتُ قَتْلَ الْحُسَيْنِ آنِفًا ».
Tarjama: Hazrat Salma radhi Allaho anha bayan karti hain ki:Main Ummul momenin Hazrat Umme Salma radhi Allaho anha ki khidmat me haazir hui,(Us waqt)Woh ro rahi thi.Main ne puchha:Aap kyun ro rahi hain? Unhone farmaya:Main ne Huzur Nabi kareem Sallallahu alaihe wasallam ko khaab me dekha.Aap Sallallahu alaihe wasallam ki daarhi Mubarak aur sar Mubarak gard-o-gubaar se aalud the.Main ne arz kiya: Ya Rasoolallah Sallallahu alaihe wasallam! Kya baat hai? Aap Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Main abhi Husain ki qatal-gaah me haazir hua.[Tirmizi,Hadees No.3771]
عَنْ أَنَسٍ ، رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ ، قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : " الأَنْبِيَاءُ أَحْيَاءٌ فِي قُبُورِهِمْ يُصَلُّونَ "
Tarjama:Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki: Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki:Ambiya-e-Kiraam zinda hote hain aur apni Qabron me namaaz padhte hain.(Hayatul Ambiya,written by:Imam Baihaqi,Page No.70,Hadis No.1)
عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ ، خَادِمِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، قَالَ : قَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : " إِنَّ أَقْرَبَكُمْ مِنِّي يَوْمَ الْقِيَامَةِ فِي كُلِّ مَوْطِنٍ أَكْثَرُكُمْ عَلَيَّ صَلاةً فِي الدُّنْيَا ، مَنْ صَلَّى عَلَيَّ مِائَةَ مَرَّةٍ فِي يَوْمِ الْجُمُعَةِ وَلَيْلَةِ الْجُمُعَةِقَضَى اللَّهُ لَهُ مِائَةَ حَاجَةٍ ، سَبْعِينَ مِنْ حَوَائِجِ الآخِرَةِ وَثَلاثِينَ مِنْ حَوَائِجِ الدُّنْيَا ، ثُمَّ يُوَكِّلُ اللَّهُ بِذَلِكَ مَلَكًا يُدْخِلُهُ فِي قَبْرِي كَمَا يُدْخِلُ عَلَيْكُمُ الْهَدَايَا ، يُخْبِرُنِي مَنْ صَلَّى عَلَيَّ بِاسْمِهِ وَنَسَبِهِ إِلَى عَشِيرَتِهِ ، فَأُثْبِتُهُ عِنْدِي فِي صَحِيفَةٍ بَيْضَاءَ "
Tarjama: Hazrat Anas radhi Allaho anho se riwayat hai ki Huzur Nabi kareem Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Beshak Qayamat ke din tum me mujh se sab se ziyadah qareeb woh shakhs hoga jo dunya me mujh par sab se ziyadah darood padhega.Aur Jo shakhs mujh par juma ke din ya raat me 100 martabah darood padhega,Allah Ta’ala uski 100 haajate puri farmaayega.70 aakhirat ki haajate aur 30 dunyawi haajat.Phir Allah Ta’ala us par ek farishte ko muqarrar farmaayega,Woh farishta use le kar meri qabar me aise hi daakhil hoga,Jaise koi shakhs tumhaare paas tohfe le kar aata hai.Woh mujhe darood padhne wale ka naam aur uska nasab bataayega,To use main apne paas ek safeed sahife me mahfooz kar lunga.[Hayatul Ambiya,Lil-Baihaqi,Hadees No.13]
Share.........
Imaan Imaan ki Nishaaniya Allah ki Mohabbat Allah Ta'ala ke liye mohabbat ki fazilat Allah Ta'ala ke saath achchha guman rakhne ki fazilat Mohabbat-e-Rasool ﷺ Sachche Nabi ke Mo'jaze Tazim-e-Nabi ﷺ Nabi ﷺ ke Tabarrukaat Ahle Bait aur Sahaba ki Azmat Qabr me pesh aane wale halaat Qayamat ki nishaaniya Bando ke haq ilm-e-deen ki fazilat Quran Sharif ki azmat-o-fazilat Taalim-e-Quran ki fazilat Ilm-e-Gaib-e-Mustafa ﷺ Ekhtiyar-e-Mustafa ﷺ Wasila Bid'at Isaal-e-Sawab Murde Bolte Sunte Hain Gustakhon ki pahchan Namaz ki fazilat Namaz chhorne ki muzammat Sunnat aur Nafil namazon ki ginti aur unki fazilat Rafa-e-Yadain Imaam ke pichhe tilawat Namaz-e-Taraweeh ki fazilat aur uski rik'aten Namaz-e-Vitr Do Namazo ko ek saath jama kar ke padhna Namaz-e-Janaza me Salam ek taraf ya dono taraf? Mukammal Namaz Hadees ki raushani me Mard aur aurat ki namaz me farq Namaz ke baad dua Ramzan Aur Roze Wagairah ki fazilat Roza na rakhne ka wabaal Haj aur Umrah ki fazilat Haj na karne ki muzammat