عَنْ عَبْدِ اللَّهِ قَالَ سَأَلْتُ النَّبِىَّ - صلى الله عليه وسلم - أَىُّ الْعَمَلِ أَحَبُّ إِلَى اللَّهِ قَالَ « الصَّلاَةُ عَلَى وَقْتِهَا » . قَالَ ثُمَّ أَىُّ قَالَ « ثُمَّ بِرُّ الْوَالِدَيْنِ » . قَالَ ثُمَّ أَىُّ قَالَ : الْجِهَادُ فِى سَبِيلِ اللَّهِ .
Tarjama: Hazrat Abdullah bin Mas’ood radhi Allaho anho bayan karte hain ki: Main ne huzur nabi kareem ﷺ se puchha: Konsa amal Allah ke nazdeek sabse ziyadah mehboob hai? Aap ﷺ ne farmaya: Waqt par namaz padhna, maine kaha phir konsa? Farmaya: Phir waledain ke saath nek sulook karna, maine kaha phir konsa? Farmaya: Allah ke raaste me jihad karna. (Bukhari, Hadees: 527)
عَنْ عُبَادَةَ بْنِ الصَّامِتِ قَالَ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- يَقُولُ : خَمْسُ صَلَوَاتٍ كَتَبَهُنَّ اللَّهُ عَلَى الْعِبَادِ مَنْ جَاءَ بِهِنَّ لَمْ يُضَيِّعْ مِنْهُنَّ شَيْئًا اسْتِخْفَافًا بِحَقِّهِنَّ كَانَ لَهُ عِنْدَ اللَّهِ عَهْدٌ أَنْ يُدْخِلَهُ الْجَنَّةَ وَمَنْ لَمْ يَأْتِ بِهِنَّ فَلَيْسَ لَهُ عِنْدَ اللَّهِ عَهْدٌ إِنْ شَاءَ عَذَّبَهُ وَإِنْ شَاءَ أَدْخَلَهُ الْجَنَّةَ .
Tarjama: Hazrat Ubada bin Saamit radhi allahu anhu se marwi hai ki: Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya: paanch namazen hain jo Allah taala ne bando par farz ki hain, jo aadmi unhe ada kare, unme se kisi ko unki haisyat halki samajh kar zaae na kare to Allah taala ke yahan uske liye wada ho chuka hai ke wo use jannat me dakhil farmayega. Aur jo shakhs unko ada na kare to Allah taala ke yahan uske liye koi ahad nahi, chaahe use azaab de chaahe jannat me dakhil kare. [Sunan Nisaai, Hadees: 461]
عَنْ حُرَيْثِ بْنِ قَبِيصَةَ قَالَ قَدِمْتُ الْمَدِينَةَ قَالَ قُلْتُ اللَّهُمَّ يَسِّرْ لِى جَلِيسًا صَالِحًا فَجَلَسْتُ إِلَى أَبِى هُرَيْرَةَ - رضى الله عنه - قَالَ فَقُلْتُ إِنِّى دَعَوْتُ اللَّهَ عَزَّ وَجَلَّ أَنْ يُيَسِّرَ لِى جَلِيسًا صَالِحًا فَحَدِّثْنِى بِحَدِيثٍ سَمِعْتَهُ مِنْ رَسُولِ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- لَعَلَّ اللَّهَ أَنْ يَنْفَعَنِى بِهِ. قَالَ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ « إِنَّ أَوَّلَ مَا يُحَاسَبُ بِهِ الْعَبْدُ بِصَلاَتِهِ فَإِنْ صَلَحَتْ فَقَدْ أَفْلَحَ وَأَنْجَحَ وَإِنْ فَسَدَتْ فَقَدْ خَابَ وَخَسِرَ ».
Tarajama: Hazrat Hurais bin Qabisa bayan karte hain ki main Madina sharif aaya to maine dua kiya “Ya Allah, mujhe nek hamnasheen ata farma, to main Hazrat Abu Huraira radhi allahu anhu ke paas baitha aur maine unse kaha ki maine Allah Ta’ala se dua maangi ki woh mujhe nek humnasheen ata farmaye to mujhse aap koi aisi hadees bayan Karen jo aap ne Allah ke Rasool ﷺ se suni, shayad Allah taala mujhe us se faaida pahunchaae. To unhone farmaya ki: Qayamat ke din sabse pehle namaz ka hisaab hoga, agar wo sahi raha (yani sharaait, arkaan aur waqt ke mutabiq ada kiya hoga) to woh shakhs zarur kaamyab hoga aur nijaat paaega. Aur agar uska mamla kharab raha to woh nakaam aur na-muraad hoga. [Sunan Nisaai, Hadees 465]
عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ قَالَ فُرِضَتْ عَلَى النَّبِىِّ -صلى الله عليه وسلم- لَيْلَةَ أُسْرِىَ بِهِ الصَّلَوَاتُ خَمْسِينَ ثُمَّ نُقِصَتْ حَتَّى جُعِلَتْ خَمْسًا ثُمَّ نُودِىَ يَا مُحَمَّدُ إِنَّهُ لاَ يُبَدَّلُ الْقَوْلُ لَدَىَّ وَإِنَّ لَكَ بِهَذِهِ الْخَمْسِ خَمْسِينَ.
Tarjama:Hazrat Anas bin Malik radhi allahu anhu se riwayat hai ki: Huzur Nabi Kareem ﷺ par Meraaj ki raat 50 waqt ki namaz farz ki gayi phir awaaz di gayi “ Ya Muhammad ﷺ beshak meri baaten badli nahi jaati, aur beshak in paanch me aapke liye pachaas(50) waqt ki namaz ka sawaab hai. [Tirmizi, Hadees:213]
عَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ أَنَّهُ سَمِعَ رَسُولَ اللَّهِ - صلى الله عليه وسلم - يَقُولُ « أَرَأَيْتُمْ لَوْ أَنَّ نَهَرًا بِبَابِ أَحَدِكُمْ ، يَغْتَسِلُ فِيهِ كُلَّ يَوْمٍ خَمْسًا ، مَا تَقُولُ ذَلِكَ يُبْقِى مِنْ دَرَنِهِ » . قَالُوا لاَ يُبْقِى مِنْ دَرَنِهِ شَيْئًا . قَالَ « فَذَلِكَ مِثْلُ الصَّلَوَاتِ الْخَمْسِ ، يَمْحُو اللَّهُ بِهَا الْخَطَايَا » .
Tarjama: Hazrat Abu Huraira radhi allahu anhu bayan karte hain ki: Allah ke pyaare Rasool ﷺ ne farmaya: Bataao! Agar tum me se kisi ke darwaaze ke paas nahar ho aur woh usme har din paanch baar gusal kare, to tum kya kehte ho, kya uske jism par kuchh bhi mail baaqi rahega? Sahaba kiram ne arz kiya: Uske jism par kuchh bhi mail baaqi nahi rahega. Aaqa Kareem ﷺ ne farmaya: Yahi misaal hai paancho namazon ki, Allah taala uske zariye gunahon ko mita deta hai. [Bukhari, Hadees: 528]
عَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- قَالَ : الصَّلَوَاتُ الْخَمْسُ وَالْجُمُعَةُ إِلَى الْجُمُعَةِ كَفَّارَاتٌ لِمَا بَيْنَهُنَّ مَا لَمْ تُغْشَ الْكَبَائِرُ .
Tarjama:Hazrat Abu Huraira radhi allahu anhu bayan karte hain ki: Allah ke pyaare Rasool ﷺ ne farmaya: Paancho waqt ki namaz aur juma dusre jume tak un gunahon ke liye kaffara ho jaate hain jo unke darmiyan ho, jabki woh kabira gunah na kare. [Tirmizi, Hadees: 214]
حَدَّثَنَا أَبُو عُقَيْلٍ، أَنَّهُ سَمِعَ الْحَارِثَ، مَوْلَى عُثْمَانَ بْنِ عَفَّانَ، قَالَ: جَلَسَ عُثْمَانُ بْنُ عَفَّانَ رَضِيَ اللهُ عَنْهُ وَجَلَسْنَا مَعَهُ، فَجَاءَ الْمُؤَذِّنُ، فَدَعَا عُثْمَانُ بِمَاءٍ أَظُنُّهُ سَيَكُونُ مُدٌّ فَتَوَضَّأَ، ثُمَّ قَالَ: رَأَيْتُ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَتَوَضَّأُ ثُمَّ قَالَ: " مَنْ تَوَضَّأَ مِثْلَ وُضُوئِي هَذَا، ثُمَّ قَامَ فَصَلَّى صَلَاةَ الظُّهْرِ، غُفِرَ لَهُ مَا بَيْنَهَا وَبَيْنَ الصُّبْحِ، ثُمَّ صَلَّى الْعَصْرَ، غُفِرَ لَهُ مَا بَيْنَهَا وَبَيْنَ الظُّهْرِ، ثُمَّ صَلَّى الْمَغْرِبَ غُفِرَ لَهُ مَا بَيْنَهَا وَبَيْنَ الْعَصْرِ، ثُمَّ صَلَّى الْعِشَاءَ غُفِرَ لَهُ مَا بَيْنَهَا وَبَيْنَ الْمَغْرِبِ، ثُمَّ لَعَلَّهُ يَبِيتُ يَتَمَرَّغُ لَيْلَتَهُ، فَإِنْ قَامَ فَتَوَضَّأَ وَصَلَّى الصُّبْحَ غُفِرَ لَهُ مَا بَيْنَها وَبَيْنَ صَلَاةِ الْعِشَاءِ، وَهِيَ الْحَسَنَاتُ يُذْهِبْنَ السَّيِّئَاتِ "، قَالُوا: هَذِهِ الْحَسَنَاتُ فَمَا الْبَاقِيَاتُ الصَّالِحَاتُ يَا عُثْمَانُ ؟ قَالَ: " لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ، وَسُبْحَانَ اللهِ، وَالْحَمْدُ لِلَّهِ، وَلَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ، وَاللهُ أَكْبَرُ، وَلَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللهِ الْعَلِيِّ الْعَظِيمِ "
Tarjama:Abu Aqeel bayan karte hain ki unhone Haris se suna jo Hazrat Usman bin Affan ke azaad kiye hue gulam hain: Haris kehte hain Hazrat Usman Ghani baithe, main bhi unke saath baitha, to mo’azzin aaya, phir hazrat Usman Ghani ne wazu ke liye paani mangaya aur main gumaan karta hun ki paani ek mud raha hoga. [mud ek miqdar hai, jadid wazan ke hisaab se 600 gram ko ek mud kehte hain]. Phir Hazrat Usman Ghani ne farmaya ki maine Allah ke Rasool ﷺ ko wazu karte hue dekha aur aap ﷺ ne farmaya ki: Jisne meri is wazu karne ki tarah wazu kiya aur zohar ki namaz ada kiya to subah se us waqt ke darmiyan me jo gunah hue bakhsh diya jaaega. Phir asar padha to zohar se asar ke darmiyani waqt me jo gunah hue bakhsh diya jaaega. Phir maghrib padha to asar aur maghrib ke darmiyan jo gunah hue bakhsh diya jaaega. Phir isha padha to maghrib aur isha ke darmiyan jo gunah hue bakhsh diya jaaega. Phir woh shayad apni raat sokar ya oonghte hue guzare phir agar woh bedaar hojaae aur wazu karke fajar ki namaz ada kare to isha aur fajar ke damiyan jo gunah hue bakhsh diya jaaega. Yahi nekiyan hain jo buraaiyon ko door kardeti hain. [Jiska zikr Quran Majeed me aya hai]. Logo ne kaha: Ya Usman, ye hasanaat yani nekiyan hain to baaqiyat salehaat [jiska zikr Quran me kiya gaya hai] woh kya hain? Hazrat Usman Ghani radhi allahu anhu ne farmaya woh “La ilaaha illallah,Subhanallah,Al-hamdulillah,La ilaaha illallahu Wallahu akbar, Aur la haula wala quwwata illa-billahil aliyal azeem” Hai.
[Sho’bul Imaan, Hadees: 256]
عَنْ ثَوْبَانَ ، قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى الله عَليْهِ وسَلَّمَ : اسْتَقِيمُوا ، وَلَنْ تُحْصُوا ، وَاعْلَمُوا أَنَّ خَيْرَ أَعْمَالِكُمُ الصَّلاَةُ ، وَلاَ يُحَافِظُ عَلَى الْوُضُوءِ إِلاَّ مُؤْمِنٌ.
Tarjama:Hazrat Saubaan radhi allahu anhu bayan karte hain ki: Allah ke pyare Rasool ﷺ ne farmaya: Seedhe raaste par qayam raho, aur tum hargiz (us tarah se jaisa ki uska haq hai) qayam nahi rah sakte aur jaan lo ke tumhare amaal me sabse behtar amal namaz hai aur wazu ki hifazat (paabandi) momin hi karta hai. [Ibne Maja, Hadees: 277]
عَنْ أَبِي ذَرٍّ رضی الله عنه أَنَّ النَّبِيَّ صلی الله عليه وآله وسلم خَرَجَ زَمَنَ الشِّتَاءِ وَالْوَرَقُ يَتَهَافَتُ فَاَخَذَ بِغُصْنَيْنِ مِنْ شَجَرَةٍ، قَالَ : فَجَعَلَ ذَلِکَ الْوَرَقُ يَتَهَافَتُ، قَالَ : فَقَالَ : يَا أَبَا ذَرٍّ قُلْتُ : لَبَّيْکَ يَا رَسُوْلَ اﷲِ، قَالَ : إِنَّ الْعَبْدَ الْمُسْلِمَ لَيُصَلِّ الصَّلَاةَ يُرِيْدُ بِهَا وَجْهَ اﷲِ فَتَهَافَتُ عَنْهُ ذُنُوْبُهُ کَمَا يَتَهَافَتُ هَذَا الْوَرَقُ عَنْ هَذِهِ الشَّجَرَةِ.
Tarjama: Hazrat Abu Zar radhi allahu anhu se riwayat hai ki Huzur Nabi-e-Akram ﷺ thandi ke mausam me jab patte (darakhton se) gir rahe the baahar nikle, aap ﷺ ne ek darakht ki do tehniyo ko pakad liya, Hazrat Abu Zar radhi allahu anhu farmate hain: tehni se patte girne lage. Raawi kehtre hain ki Huzur ﷺ ne pukara: Aye Abu Zar! Maine arz kiya: Labbaik ya Rasoolallah ﷺ! Huzur ﷺ ne farmaya: Musalman banda jab namaz is maqsad se padhta hai ki use Allah taala ki riza haasil ho jaae to uske gunaah isi tarah jhadte hain jis tarah ye patte is darakht se jhad rahe hain.[Masnad Ahmad bin Hambal, Hadees: 21596]
عن سهل بن سعد قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: "ساعتان تفتح فيهما أبواب السماء عند حضور الصلاة وعند الصف في سبيل الله
Tarjama:Hazrat Sahal bin Saad radhi allahu anhu bayan karte hain ki: Allah ke pyare Rasool ﷺ ne farmaya: Do waqt aasmaan ke darwaaze khole jaate hain, namaz ke waqt aur Allah ke raaste me jang ke liye saff-bandi karne ke waqt. [Sahih ibne Hibban, Hadees: 277]
Share.........
Imaan Imaan ki Nishaaniya Allah ki Mohabbat Allah Ta'ala ke liye mohabbat ki fazilat Allah Ta'ala ke saath achchha guman rakhne ki fazilat Mohabbat-e-Rasool ﷺ Sachche Nabi ke Mo'jaze Tazim-e-Nabi ﷺ Nabi ﷺ ke Tabarrukaat Ahle Bait aur Sahaba ki Azmat Qabr me pesh aane wale halaat Qayamat ki nishaaniya Bando ke haq ilm-e-deen ki fazilat Quran Sharif ki azmat-o-fazilat Taalim-e-Quran ki fazilat Ilm-e-Gaib-e-Mustafa ﷺ Hayaat-e-Ambiya Ekhtiyar-e-Mustafa ﷺ Wasila Bid'at Isaal-e-Sawab Murde Bolte Sunte Hain Gustakhon ki pahchan Namaz chhorne ki muzammat Sunnat aur Nafil namazon ki ginti aur unki fazilat Rafa-e-Yadain Imaam ke pichhe tilawat Namaz-e-Taraweeh ki fazilat aur uski rik'aten Namaz-e-Vitr Do Namazo ko ek saath jama kar ke padhna Namaz-e-Janaza me Salam ek taraf ya dono taraf? Mukammal Namaz Hadees ki raushani me Mard aur aurat ki namaz me farq Namaz ke baad dua Ramzan Aur Roze Wagairah ki fazilat Roza na rakhne ka wabaal Haj aur Umrah ki fazilat Haj na karne ki muzammat