عَنِ الْمِقْدَامِ بْنِ معْدِي كَرِبَ الْكِنْدِيِّ ، أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى الله عَليْهِ وسَلَّمَ قَالَ : يُوشِكُ الرَّجُلُ مُتَّكِئًا عَلَى أَرِيكَتِهِ ، يُحَدَّثُ بِحَدِيثٍ مِنْ حَدِيثِي ، فَيَقُولُ : بَيْنَنَا وَبَيْنَكُمْ كِتَابُ اللهِ عَزَّ وَجَلَّ ، فَمَا وَجَدْنَا فِيهِ مِنْ حَلاَلٍ اسْتَحْلَلْنَاهُ ، وَمَا وَجَدْنَا فِيهِ مِنْ حَرَامٍ حَرَّمْنَاهُ ، أَلا وَإِنَّ مَا حَرَّمَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى الله عَليْهِ وسَلَّمَ مِثْلُ مَا حَرَّمَ اللَّهُ.
Tarjama:Hazrat-e-Miqdaam bin Ma’adi Karab kandi radhi allaho anho bayan karte hain ki Nabi kareem ﷺ ne irshad faramaya:Qarib hai ki ek shakhs apne takye par tek lagaye baitha hoga,aur us ke saamne meri hadiso mein se koi hadis bayan ki jaaegi,To woh ye kahega ki hamare aur tumhare darmiyan Allah Ta’ala ki kitaab kaafi hai.Ham jo us mein halaal paaenge use halaal maanenge aur jo haram paaenge use haram maanenge.(Aap ﷺ ne irshad farmaya:) Suno! Beshak woh chizein jise Allah ke Rasool ne haram qaraar diya hai woh aise hi haram hain, jise Allah ne haram qaraar diya.(Ibn-e-Maajah,Hadis No.12)
عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- قَامَ فَقَالَ « إِنَّ اللَّهَ تَعَالَى كَتَبَ عَلَيْكُمُ الْحَجَّ ». فَقَالَ الأَقْرَعُ بْنُ حَابِسٍ التَّمِيمِىُّ كُلُّ عَامٍ يَا رَسُولَ اللَّهِ فَسَكَتَ فَقَالَ : لَوْ قُلْتُ نَعَمْ لَوَجَبَتْ.
Tarjama: Hazrat-e-Abu’Hurairah radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur ﷺ ne logo ko khutba diya to irshad farmaya ki: Beshak Allah Ta’ala ne tum par Haj karna farz qaraar diya hai.To Hazrat-e-Aqra bin Haabis Taimi radhi allaho anho ne kaha:Ya Rasoolallah ﷺ! Kiya har saal?To Aap ﷺ khamosh rahe.Un ke teen baar sawal karne ke baad, Aap ﷺ farmaya: Agar main “haan” kah deta to har saal zaruri ho jaata. (Tirmizi,Hadis No.814.Ibn-e-Maajah,Hadis No.2884)
عَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ عَنِ النَّبِىِّ -صلى الله عليه وسلم- قَالَ « لَوْلاَ أَنْ أَشُقَّ عَلَى الْمُؤْمِنِينَ - وَفِى حَدِيثِ زُهَيْرٍ عَلَى أُمَّتِى - لأَمَرْتُهُمْ بِالسِّوَاكِ عِنْدَ كُلِّ صَلاَةٍ ».[وفی روایۃ ابی امامۃ] وَلَوْلاَ أَنِّي أَخَافُ أَنْ أَشُقَّ عَلَى أُمَّتِي ، لَفَرَضْتُهُ لَهُمْ .
Tarajama: Hazrat-e-AbuHuraira radhi allaho anho bayan karte hain ki: Nabi kareem ﷺ ne irshad faramaya:Agar mujhe meri ummat ki pareshani ka khayal nahi hota to main un par har namaaz ke waqt miswak karne ko un ke liye farz qaraar de deta.(Sahi Muslim,Hadis No.252,Ibn-e-Maajah,Hadis No.289)
عَنْ عَلِىٍّ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- « قَدْ عَفَوْتُ عَنْ صَدَقَةِ الْخَيْلِ وَالرَّقِيقِ فَهَاتُوا صَدَقَةَ الرِّقَةِ مِنْ كُلِّ أَرْبَعِينَ دِرْهَمًا دِرْهَمًا وَلَيْسَ فِى تِسْعِينَ وَمِائَةٍ شَىْءٌ فَإِذَا بَلَغَتْ مِائَتَيْنِ فَفِيهَا خَمْسَةُ الدَّرَاهِمِ ».
Tarjama:Hazrat-e-Ali radhi allaho anho bayan karte hain ki: Nabi kareem ﷺ ne irshad faramaya:Ghuron aur gulaamo ki zakat to main ne maaf kar diya.To rupiyon ki zakat ada karo,Har 40 dirham me se ek dirham.(Tirmizi,Hadis No.620)
عَنْ الْبَرَاءِ قَالَ صَلَّى رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ذَاتَ يَوْمٍ فَقَالَ مَنْ صَلَّى صَلَاتَنَا وَاسْتَقْبَلَ قِبْلَتَنَا فَلَا يَذْبَحْ حَتَّى يَنْصَرِفَ فَقَامَ أَبُو بُرْدَةَ بْنُ نِيَارٍ فَقَالَ يَا رَسُولَ اللَّهِ فَعَلْتُ فَقَالَ هُوَ شَيْءٌ عَجَّلْتَهُ قَالَ فَإِنَّ عِنْدِي جَذَعَةً هِيَ خَيْرٌ مِنْ مُسِنَّتَيْنِ آذْبَحُهَا قَالَ نَعَمْ ثُمَّ لَا تَجْزِي عَنْ أَحَدٍ بَعْدَكَ .
Tarjama: Hazrat-e-Bara bin Aazib radhi allaho bayan karte hain ki: Ek martaba Huzur ﷺ ne Eid ul Azha ki namaaz se faarig hone ke baad irshad farmaya ki:Jo hamari tarah namaaz padhta hai aur hamare qible ki taraf rukh karta hai woh Eid ul Azha ki namaaz se pahle Qurbani nahi kare.Is par hazrat-e-Abu Burda bin Niyar khade hue aur arz kiya ki:Ya Rasoolallah ﷺ !Main to pahle hi qurbani kar chukka hon.Aap ﷺ ne farmaya ki tum ne jald baazi kiya.Unhone arz kiya Ya Rasoolallah ﷺ !Mere paas bakri ka 6 mahina ka bachcha hai.Kiya main uski qurbani kar lun? Aap ﷺ ne farmaya ki:Haan!Uski jagah par qurbani kar lo.Magar tumhare baad hargiz itni umar ki bakri ki qurbani kisi ke liye jaa’iz nahi hogi.(Sahi Bukhari,Hadis No.5563. Sahi Muslim,Hadis No.1961)
عَنْ جَابِرٍ قَالَ قَالَ النَّبِىُّ -صلى الله عليه وسلم- « إِنَّ إِبْرَاهِيمَ حَرَّمَ مَكَّةَ وَإِنِّى حَرَّمْتُ الْمَدِينَةَ مَا بَيْنَ لاَبَتَيْهَا لاَ يُقْطَعُ عِضَاهُهَا وَلاَ يُصَادُ صَيْدُهَا ».
Tarjama:Hazrat-e-Jaabir radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki:Beshak Hazrat-e-Ibrahim alaihissalam ne Makka ko haram banaya aur main ne Madina tayyaba ko haram kiya to us ke kaante daar darakhto ko nahi kata jaae aur uske jangali jaanwaro ka shikaar nahi kiya jaae.(Sahi Bukhari,Hadis No.1867.Sahi Muslim,Hadis No.1362.Abu Dawood,Hadis No.2034)
عَنْ عُمَارَةَ بْنِ خُزَيْمَةَ أَنَّ عَمَّهُ حَدَّثَهُ وَهُوَ مِنْ أَصْحَابِ النَّبِىِّ -صلى الله عليه وسلم- أَنَّ النَّبِىَّ -صلى الله عليه وسلم- ابْتَاعَ فَرَسًا مِنْ أَعْرَابِىٍّ فَاسْتَتْبَعَهُ النَّبِىُّ -صلى الله عليه وسلم- لِيَقْضِيَهُ ثَمَنَ فَرَسِهِ فَأَسْرَعَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- الْمَشْىَ وَأَبْطَأَ الأَعْرَابِىُّ فَطَفِقَ رِجَالٌ يَعْتَرِضُونَ الأَعْرَابِىَّ فَيُسَاوِمُونَهُ بِالْفَرَسِ وَلاَ يَشْعُرُونَ أَنَّ النَّبِىَّ -صلى الله عليه وسلم- ابْتَاعَهُ فَنَادَى الأَعْرَابِىُّ رَسُولَ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- فَقَالَ إِنْ كُنْتَ مُبْتَاعًا هَذَا الْفَرَسَ وَإِلاَّ بِعْتُهُ. فَقَامَ النَّبِىُّ -صلى الله عليه وسلم- حِينَ سَمِعَ نِدَاءَ الأَعْرَابِىِّ فَقَالَ « أَوَلَيْسَ قَدِ ابْتَعْتُهُ مِنْكَ ». فَقَالَ الأَعْرَابِىُّ لاَ وَاللَّهِ مَا بِعْتُكَهُ. فَقَالَ النَّبِىُّ -صلى الله عليه وسلم- « بَلَى قَدِ ابْتَعْتُهُ مِنْكَ ». فَطَفِقَ الأَعْرَابِىُّ يَقُولُ هَلُمَّ شَهِيدًا. فَقَالَ خُزَيْمَةُ بْنُ ثَابِتٍ أَنَا أَشْهَدُ أَنَّكَ قَدْ بَايَعْتَهُ.فَأَقْبَلَ النَّبِىُّ -صلى الله عليه وسلم- عَلَى خُزَيْمَةَ فَقَالَ « بِمَ تَشْهَدُ ». فَقَالَ بِتَصْدِيقِكَ يَا رَسُولَ اللَّهِ. فَجَعَلَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- شَهَادَةَ خُزَيْمَةَ بِشَهَادَةِ رَجُلَيْنِ.
Tarjama: Hazrat-e-Umara bin Khuzaima radhi allaho anho bayan karte hain ki:Mere chacha sahabi-e-Rasool ﷺ ne bayan kiya ki:Huzur ﷺ ne ek dehaati shakhs se ghoda kharida,Phir Huzur us ko apne saath le chale taaki ghode ki qimat ada kare.Huzur to tezi se chal rahe the magar dehaati dheere dheere chal raha tha.Raaste mein kuchh logo ne us dehaati se us ke ghode ki qimat ke baare mein daam karne lage kyunki un logo ko maloom nahi tha ki huzur ne is ke ghode ko kharid liya hai.Dehaati ne wahi se awaaz lagaaya ki Aap (ﷺ ) ghoda lena chaahte hain to kharidye nahi to main ghoda bech donga.Huzur ﷺ ne jab dehaati ki awaaz suni to aap ruk gaye aur farmaya ki:Kiya main ne tujh se ye ghoda kharid nahi liya hai?Dehaati bola.Nahi,Allah ki qasam main ne aap se nahi becha hai.Huzur ne farmaya ki.Kyun nahi,Beshak tune mujh se sauda kar liya hai.Dehaati kahne laga koi gawaah pesh kijiye.Us waqt hazrat-e-Khuzaima radhi allaho anho ne kaha ki main gawaahi deta honk i Aap ﷺ ne is se ghoda kharid liya hai.Huzur ﷺ Hazrat-e-Khuzaima ki taraf apna rukh kar ke farmaya ki tum kaise gawaahi de rahe ho (Jab ki tum mere sauda karte waqt maujood nahi the.)Unhone arz kiya Ya Rasoolallah ﷺ ! Main is maamle mein Aap ke kahne ki wajah se gawahi de raha hon(Jis tarah aap ke kahne se ye gawaahi deta honk i Allah ek hai aur aap Rasool hain) To ﷺ ne Hazrat-e-Khuzaima ki gawaahi ko do mardo ki gawaahi ke barabar qaraar diya.(Abu Dawood,Hadis No.3607)
حَدَّثَنِى رَبِيعَةُ بْنُ كَعْبٍ الأَسْلَمِىُّ قَالَ كُنْتُ أَبِيتُ مَعَ رَسُولِ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- فَأَتَيْتُهُ بِوَضُوئِهِ وَحَاجَتِهِ فَقَالَ لِى : سَلْ. فَقُلْتُ أَسْأَلُكَ مُرَافَقَتَكَ فِى الْجَنَّةِ. قَالَ « أَوَغَيْرَ ذَلِكَ ». قُلْتُ هُوَ ذَاكَ. قَالَ « فَأَعِنِّى عَلَى نَفْسِكَ بِكَثْرَةِ السُّجُودِ ».
Tarjama:Hazrat-e-Rabia bin ka’ab Aslami radhi allaho anho bayan karte hain ki : Ek martabah main ne Huzur ﷺ ke saath raat guzaara to main ne Aap ﷺ ke wazu aur zarurat ke liye paani laaya. Huzur ne mujh se farmaya ki:Aye Rabi’a!Mujh se mango.To main ne arz kiya Ya Rasollallah ﷺ!Main aap se ye maangta honk i main jannat mein aap ke saath rahon.To Huzur ne farmaya ki aur kuchh?To main ne kaha ki nahi,meri muraad to sirf yahi hai.(Sahi Muslim,Hadis No.489,Abu-dawood,Hadis No.1320)
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ قَالَ جَاءَ رَجُلٌ إِلَى رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقَالَ هَلَكْتُ فَقَالَ وَمَا ذَاكَ قَالَ وَقَعْتُ بِأَهْلِي فِي رَمَضَانَ قَالَ تَجِدُ رَقَبَةً قَالَ لَا قَالَ هَلْ تَسْتَطِيعُ أَنْ تَصُومَ شَهْرَيْنِ مُتَتَابِعَيْنِ قَالَ لَا قَالَ فَتَسْتَطِيعُ أَنْ تُطْعِمَ سِتِّينَ مِسْكِينًا قَالَ لَا قَالَ فَجَاءَ رَجُلٌ مِنْ الْأَنْصَارِ بِعَرَقٍ وَالْعَرَقُ الْمِكْتَلُ فِيهِ تَمْرٌ فَقَالَ اذْهَبْ بِهَذَا فَتَصَدَّقْ بِهِ قَالَ أَعَلَى أَحْوَجَ مِنَّا يَا رَسُولَ اللَّهِ وَالَّذِي بَعَثَكَ بِالْحَقِّ مَا بَيْنَ لَابَتَيْهَا أَهْلُ بَيْتٍ أَحْوَجُ مِنَّا ثُمَّ قَالَ اذْهَبْ فَأَطْعِمْهُ أَهْلَكَ.
Tarjama: Hazrat Abu Huraira radhi Allaho anho ne bayan kiya ki:Ek Shakhs Rasoolullah Sallallahu alaihe wasallam ki khidmat me haazir hue aur arz ki,Main to tabaah ho gaya. Nabi Sallallahu alaihe wasallam ne puchha:Kya baat hai? Unhone kaha ki main ne Ramzan me apni biwi se suhbat kar li.Nabi kareem Sallallahu alaihe wasallam ne puchha ki:Tumhare paas koi gulaam hai? Unhone kaha ki:Nahi,Aap Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Musalsal do mahine roze rakh sakte ho? Unhone kaha ki nahi.Aap Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:60 miskino ko khaana khila sakte ho? Unhone kaha ki nahi.Rawi ne bayan kiya ki:(Isi darmiyan)Ek ansaari sahaabi kahjoor ki tokri le kar aaye.To Nabi Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya ki ise le jaao aur sadqa kar do. Unhone puchha ki:Ya Rasoolallah Sallallahu alaihe wasallam! Kya main ise apne se ziyadah zarurat-mand par sadqa karun? Us zaat ki qasam jis ne Aap ko haq ke saath bheja hai.In dono maidaano ke darmiyan koi aisa gharaana nahi hai jo ham se ziyadah mohtaaj ho.Phir Nabi Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya ki jaa apne ghar walo hi ko khilaa do.[Sahih Bukhari,Hadees No.6216]
عَنْ ثَوْبَانَ ، مَوْلَى رَسُولِ اللهِ صَلَّى الله عَليْهِ وسَلَّمَ ، أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى الله عَليْهِ وسَلَّمَ ، قَالَ : زُوِيَتْ لِي الأَرْضُ حَتَّى رَأَيْتُ مَشَارِقَهَا ، وَمَغَارِبَهَا ، وَأُعْطِيتُ الْكَنْزَيْنِ ، الأَصْفَرَ أَوِ الأَحْمَرَ ، وَالأَبْيَضَ ، يَعْنِي الذَّهَبَ وَالْفِضَّةَ ، وَقِيلَ لِي : إِنَّ مُلْكَكَ إِلَى حَيْثُ زُوِيَ لَكَ
Tarjama: Hazrat-e-Saubaan radhi allaho anho bayan karte hain ki: Nabi kareem ﷺ ne irshad faramaya:Mere liye puri zameen ko sameet diya gaya yahan tak ki main ne pachhim aur purab ke aakheri kinaaron ko dekh liya.Aur mujhe do khazaane zard ya surkh aur safeed (yani) sona aur chaandi diya gaya.Phir mujh se kaha gaya ki aap wahaan tak ke maalik hain jahan tak ke aap ke liye zameen ko sameta gaya hai.(Ibn-e-Maajah,Hadis No.3952)
عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ الْحَارِثِ بْنِ نَوْفَلٍ عَنِ الْعَبَّاسِ بْنِ عَبْدِ الْمُطَّلِبِ أَنَّهُ قَالَ يَا رَسُولَ اللَّهِ هَلْ نَفَعْتَ أَبَا طَالِبٍ بِشَىْءٍ فَإِنَّهُ كَانَ يَحُوطُكَ وَيَغْضَبُ لَكَ قَالَ « نَعَمْ هُوَ فِى ضَحْضَاحٍ مِنْ نَارٍ وَلَوْلاَ أَنَا لَكَانَ فِى الدَّرْكِ الأَسْفَلِ مِنَ النَّارِ ».
Tarjama:Hazrat-e-Abdullah bin Haaris bayan karte hain ki:Hazrat-e-Abbas radhi allaho anho ne Huzur ﷺ se arz kiya:Ya Rasoolallah ﷺ!Beshak Abu Taalib aap ki bahut himayat aur aap ki badi madad karte the to kiya unhein is ka kuchh faa’ida mila?To Huzur ﷺ ne farmaya ki:Haan!Main ne unhein jahannam ke gahre aag mein paaya to unhein main ne wahan se nikaal kar halke phulke aag mein le aaya.(Sahi Muslim,Hadis No.209)(in shamila:531)
Imaan Imaan ki Nishaaniya Allah ki Mohabbat Allah Ta'ala ke liye mohabbat ki fazilat Allah Ta'ala ke saath achchha guman rakhne ki fazilat Mohabbat-e-Rasool ﷺ Sachche Nabi ke Mo'jaze Tazim-e-Nabi ﷺ Nabi ﷺ ke Tabarrukaat Ahle Bait aur Sahaba ki Azmat Qabr me pesh aane wale halaat Qayamat ki nishaaniya Bando ke haq ilm-e-deen ki fazilat Quran Sharif ki azmat-o-fazilat Taalim-e-Quran ki fazilat Ilm-e-Gaib-e-Mustafa ﷺ Hayaat-e-Ambiya Wasila Bid'at Isaal-e-Sawab Murde Bolte Sunte Hain Gustakhon ki pahchan Namaz ki fazilat Namaz chhorne ki muzammat Sunnat aur Nafil namazon ki ginti aur unki fazilat Rafa-e-Yadain Imaam ke pichhe tilawat Namaz-e-Taraweeh ki fazilat aur uski rik'aten Namaz-e-Vitr Do Namazo ko ek saath jama kar ke padhna Namaz-e-Janaza me Salam ek taraf ya dono taraf? Mukammal Namaz Hadees ki raushani me Mard aur aurat ki namaz me farq Namaz ke baad dua Ramzan Aur Roze Wagairah ki fazilat Roza na rakhne ka wabaal Haj aur Umrah ki fazilat Haj na karne ki muzammat