Allah Ke Liye Mohabbat Karne Ki Fazilat



حدیث: عَنْ أَبِى ذَرٍّ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- « أَفْضَلُ الأَعْمَالِ الْحُبُّ فِى اللَّهِ وَالْبُغْضُ فِى اللَّهِ ».

Tarjama: Hazrat Abu Zar radhi allaho anho bayan karte hain ke Huzur Nabi Kareem ﷺ ne farmaya ke sabse afzal amal Allah ke liye mohabbat karna aur Allah hi ke liye dushmani karna hai. [Sunan Abu Dawood, Hadees: 4601]

حدیث: عَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- « إِنَّ اللَّهَ يَقُولُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ أَيْنَ الْمُتَحَابُّونَ بِجَلاَلِى الْيَوْمَ أُظِلُّهُمْ فِى ظِلِّى يَوْمَ لاَ ظِلَّ إِلاَّ ظِلِّى ».

Tarjama: Hazrat Abu Huraira radhi allaho anho bayan karte hain ke Huzur Nabi Kareem ﷺ ne farmaya ki: Beshak Allah taala qayamat ke din irshad farmaaega “Meri azmat ki khatir aapas me mohabbat karne waale log kahan hain? Aaj main unhe apne saae me rakhunga jabke aaj mere saae ke elawah koi saaya nahi hai. [Sahih Muslim, Hadees: 6713]

حدیث: عَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ عَنِ النَّبِىِّ -صلى الله عليه وسلم- « أَنَّ رَجُلاً زَارَ أَخًا لَهُ فِى قَرْيَةٍ أُخْرَى فَأَرْصَدَ اللَّهُ لَهُ عَلَى مَدْرَجَتِهِ مَلَكًا فَلَمَّا أَتَى عَلَيْهِ قَالَ أَيْنَ تُرِيدُ قَالَ أُرِيدُ أَخًا لِى فِى هَذِهِ الْقَرْيَةِ. قَالَ هَلْ لَكَ عَلَيْهِ مِنْ نِعْمَةٍ تَرُبُّهَا قَالَ لاَ غَيْرَ أَنِّى أَحْبَبْتُهُ فِى اللَّهِ عَزَّ وَجَلَّ. قَالَ فَإِنِّى رَسُولُ اللَّهِ إِلَيْكَ بِأَنَّ اللَّهَ قَدْ أَحَبَّكَ كَمَا أَحْبَبْتَهُ فِيهِ ».

Tarajama: Hazrat Abu Huraira radhi allaho anho bayan karte hain ki: Huzur Nabi Kareem ﷺ ne farmaya ki: Ek shakhs apne ek bhai se milne ek doosre gaaon me gaya, to Allah taala ne ek farishte ko uske raaste me bhej diya. Jab us shakhs ka unke paas se guzar hua to farishte ne kaha: Kahan jaane ka irada hai? Us shakhs ne kaha us gaaon me mera ek bhai hai main usse milna chahta hun. Farsihte ne kaha: Kya usne tere upar koi ehsaan kiya hai jiska tu badla dena chahta hai? Us shakhs ne kaha: Nahi, baat sirf ye hai ke main usse Allah ke liye mohabbat karta hun. Farishte ne kaha: Main teri taraf Allah taala ka paigham lekar aaya hun ki Allah taala bhi tujh se isi tarah mohabbat farmata hai jis tarah tu apne bhai se karta hai. [Muslim, Hadees: 6714]

حدیث : عَنْ أَبِى زُرْعَةَ بْنِ عَمْرِو بْنِ جَرِيرٍ أَنَّ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ قَالَ قَالَ النَّبِىُّ -صلى الله عليه وسلم- « إِنَّ مِنْ عِبَادِ اللَّهِ لأُنَاسًا مَا هُمْ بِأَنْبِيَاءَ وَلاَ شُهَدَاءَ يَغْبِطُهُمُ الأَنْبِيَاءُ وَالشُّهَدَاءُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ بِمَكَانِهِمْ مِنَ اللَّهِ تَعَالَى ».قَالُوا يَا رَسُولَ اللَّهِ تُخْبِرُنَا مَنْ هُمْ. قَالَ « هُمْ قَوْمٌ تَحَابُّوا بِرُوحِ اللَّهِ عَلَى غَيْرِ أَرْحَامٍ بَيْنَهُمْ وَلاَ أَمْوَالٍ يَتَعَاطَوْنَهَا فَوَاللَّهِ إِنَّ وُجُوهَهُمْ لَنُورٌ وَإِنَّهُمْ عَلَى نُورٍ لاَ يَخَافُونَ إِذَا خَافَ النَّاسُ وَلاَ يَحْزَنُونَ إِذَا حَزِنَ النَّاسُ ». وَقَرَأَ هَذِهِ الآيَةَ (أَلاَ إِنَّ أَوْلِيَاءَ اللَّهِ لاَخَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلاَ هُمْ يَحْزَنُونَ).

Tarjama:Hazrat Umar bin Khattab radhi allaho anho bayan karte hain ki: Huzur Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya ki: Allah ke bando me se kuchh aise log honge jo ambiyaa aur shuhadaa me se nahi honge lekin qayamat ke din Allah taala ki taraf se jo martaba unhe milega us par ambiyaa aur shuhadaa bhi rashk karenge. Logon ne arz kiya: Ya rasoolallah ﷺ! Hume bataiye ke wo kon log honge? Aap ﷺ ne farmaya: Wo aise log honge jinke darmiyaan aapsi rishtedaari nahi hogi aur nahi maali len den ka maamla hoga lekin wo Allah ki khaatir ek doosre se mohabbat rakhte honge. Qasam Allah ki unke chehre noor honge, wo khud nor par honge unhe koi dar nahi hoga jab log dar rahe honge. Aur na unhe koi ranj o gham hoga jabke log ranjeeda aur ghamgeen honge. Aur aap ﷺ ne aayat tilawat farmaai: “Sunlo! Beshak Allah ke doston ko na koi dar hai aur nahi wo ghamgeen honge”. [Surah Yunus: 62]. [Abu Dawood, Hadees: 3537]

حدیث: عَنْ أَبِي إِدْرِيسَ الْخَوْلاَنِيِّ قَالَ : دَخَلْتُ مَسْجِدَ دِمَشْقَ فَإِذَا فَتًى بَرَّاقُ الثَّنَايَا وَإِذَا النَّاسُ مَعَهُ إِذَا اخْتَلَفُوا فِي شَيْءٍ أَسْنَدُوا إِلَيْهِ وَصَدَرُوا عَنْ رَأْيِهِ فَسَأَلْتُ عَنْهُ فَقِيلَ : هَذَا مُعَاذُ بْنُ جَبَلٍ ، رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ ، فَلَمَّا كَانَ مِنَ الْغَدِ هَجَّرْتُ فَوَجَدْتُهُ قَدْ سَبَقَنِي وَوَجَدْتُهُ يُصَلِّي قَالَ : فَانْتَظَرْتُهُ حَتَّى قَضَى صَلاَتَهُ ثُمَّ جِئْتُهُ مِنْ قِبَلِ وَجْهِهِ فَسَلَّمْتُ عَلَيْهِ وَقُلْتُ : وَاللَّهِ إِنِّي لاَحِبُّكَ فِي اللهِ فَقَالَ : آللَّهُ ؟ فَقُلْتُ : آللَّهُ ؟ فَقَالَ : آللَّهُ فَقُلْتُ : آللَّهُ قَالَ : فَأَخَذَ بِحُبْوَةِ رِدَائِي وَجَذَبَنِي إِلَيْهِ وَقَالَ : أَبْشِرْ فَإِنِّي سَمِعْتُ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ : قَالَ اللَّهُ عَزَّ وَجَلَّ : وَجَبَتْ مَحَبَّتِي لِلْمُتَحَابِّينَ فِيَّ وَالْمُتَجَالِسِينَ فِيَّ وَالْمُتَبَاذِلِينَ فِيَّ وَالْمُتَزَاوِرِينَ فِيَّ. ِ

Tarjama:Hazrat Idrees khaulani kahte hain ki main Damishq ki masjid me daakhil hua to main ne ek jawan ko dekha jin ke daant bade chamakdaar the,Aur log unke saath the,Jab bhi log kisi chiz ke baare me ekhtilaf karte to unki taraf ruju karte aur unki raaye ko sabhi log maante.Main ne unke baare me puchha to bataya gaya ki ye (Huzur ke sahabi)Hazrat Ma’az bin Jabal radhi Allaho anho hain.Agle din main aaya to dekha ki woh mujh se pahle masjid me pahunche hue hain aur namaz me masroof hain,Main ne intezar kiya yahan tak ki unhone apni namaz mukammal kar liya .Phir main un ke saamne ki taraf se aaya aur salam kiya aur kaha ki:Qasam Allah ki! Main Aap se Allah ke liye mohabbat karta hun.Unhone kaha:Allah ke liye?Main ne kaha:Haan, Allah ke liye.Unhone kaha ki:Allah ke liye? Main ne phir kaha ki:Haan,Allah ke liye.To unhone meri chaadar pakar kar apni taraf khincha aur kaha ki:Khush ho jaao, Kyunki main ne Allah ke Rasool Sallallaho alaihe wasallam ko ye farmaate hue suna hai ki:Allah Ta’ala farmata hai:Meri mohabbat un logo ke liye wajib hai jo meri wajah se ek dusre se mohabbat karte hain,Meri wajah se aapas me baithte hain, Aur meri wajah se kharch karte hain aur meri wajah se ek dusre ki ziyarat karte hain. [Al-mustadrak,Lil-haakim,Hadees No.7314]

حدیث : عَنْ سَهْلِ بْنِ مُعَاذِ بْنِ أَنَسٍ الْجُهَنِىِّ عَنْ أَبِيهِ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- قَالَ « مَنْ أَعْطَى لِلَّهِ وَمَنَعَ لِلَّهِ وَأَحَبَّ لِلَّهِ وَأَبْغَضَ لِلَّهِ وَأَنْكَحَ لِلَّهِ فَقَدِ اسْتَكْمَلَ إِيمَانَهُ ».

Tarjama:Hazrat Sahal bin Muaaz bin Anas Juhni apne waalid se riwayat karte hain ke Huzur Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya: Jisne Allah ke liye diya aur Allah hi ke liye dene se ruk gaya. Aur Allah ke liye mohabbat kiya aur Allah hi ke liye dushmani kiya aur Allah hi ke liye nikah kiya to usme apna imaan mukammal kar liya. [Tirmizi,Hadees No:2521]
Share.........




Related Topics



Imaan Imaan ki Nishaaniya Allah ki Mohabbat Allah Ta'ala ke saath achchha guman rakhne ki fazilat Mohabbat-e-Rasool ﷺ Sachche Nabi ke Mo'jaze Tazim-e-Nabi ﷺ Nabi ﷺ ke Tabarrukaat Ahle Bait aur Sahaba ki Azmat Qabr me pesh aane wale halaat Qayamat ki nishaaniya Bando ke haq ilm-e-deen ki fazilat Quran Sharif ki azmat-o-fazilat Taalim-e-Quran ki fazilat Ilm-e-Gaib-e-Mustafa ﷺ Hayaat-e-Ambiya Ekhtiyar-e-Mustafa ﷺ Wasila Bid'at Isaal-e-Sawab Murde Bolte Sunte Hain Gustakhon ki pahchan Namaz ki fazilat Namaz chhorne ki muzammat Sunnat aur Nafil namazon ki ginti aur unki fazilat Rafa-e-Yadain Imaam ke pichhe tilawat Namaz-e-Taraweeh ki fazilat aur uski rik'aten Namaz-e-Vitr Do Namazo ko ek saath jama kar ke padhna Namaz-e-Janaza me Salam ek taraf ya dono taraf? Mukammal Namaz Hadees ki raushani me Mard aur aurat ki namaz me farq Namaz ke baad dua Ramzan Aur Roze Wagairah ki fazilat Roza na rakhne ka wabaal Haj aur Umrah ki fazilat Haj na karne ki muzammat



Dawat-E-Quran