حدیث: عَنِ ابْنِ أَخِى الْحَارِثِ الأَعْوَرِ عَنِ الْحَارِثِ قَالَ مَرَرْتُ فِى الْمَسْجِدِ فَإِذَا النَّاسُ يَخُوضُونَ فِى الأَحَادِيثِ فَدَخَلْتُ عَلَى عَلِىٍّ فَقُلْتُ يَا أَمِيرَ الْمُؤْمِنِينَ أَلاَ تَرَى أَنَّ النَّاسَ قَدْ خَاضُوا فِى الأَحَادِيثِ. قَالَ وَقَدْ فَعَلُوهَا قُلْتُ نَعَمْ. قَالَ أَمَا إِنِّى قَدْ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- يَقُولُ « أَلاَ إِنَّهَا سَتَكُونُ فِتْنَةٌ ».فَقُلْتُ مَا الْمَخْرَجُ مِنْهَا يَا رَسُولَ اللَّهِ قَالَ « كِتَابُ اللَّهِ فِيهِ نَبَأُ مَا كَانَ قَبْلَكُمْ وَخَبَرُ مَا بَعْدَكُمْ وَحُكْمُ مَا بَيْنَكُمْ هُوَ الْفَصْلُ لَيْسَ بِالْهَزْلِ مَنْ تَرَكَهُ مِنْ جَبَّارٍ قَصَمَهُ اللَّهُ وَمَنِ ابْتَغَى الْهُدَى فِى غَيْرِهِ أَضَلَّهُ اللَّهُ وَهُوَ حَبْلُ اللَّهِ الْمَتِينُ وَهُوَ الذِّكْرُ الْحَكِيمُ وَهُوَ الصِّرَاطُ الْمُسْتَقِيمُ هُوَ الَّذِى لاَ تَزِيغُ بِهِ الأَهْوَاءُ وَلاَ تَلْتَبِسُ بِهِ الأَلْسِنَةُ وَلاَ يَشْبَعُ مِنْهُ الْعُلَمَاءُ وَلاَ يَخْلَقُ عَلَى كَثْرَةِ الرَّدِّ وَلاَ تَنْقَضِى عَجَائِبُهُ هُوَ الَّذِى لَمْ تَنْتَهِ الْجِنُّ إِذْ سَمِعَتْهُ حَتَّى قَالُوا (إِنَّا سَمِعْنَا قُرْآنًا عَجَبًا يَهْدِى إِلَى الرُّشْدِ) مَنْ قَالَ بِهِ صَدَقَ وَمَنْ عَمِلَ بِهِ أُجِرَ وَمَنْ حَكَمَ بِهِ عَدَلَ وَمَنْ دَعَا إِلَيْهِ هُدِىَ إِلَى صِرَاطٍ مُسْتَقِيمٍ ».
Tarjama: Hazrat Haaris Aawar kahte hain ki:Main Masjid me gaya,To dekha ki log gap shap aur qissa kahaniyo me masroof hain.Main Maula Ali radhi allaho anho ke paas gaya aur kaha ki:Amirul momenin! Kya Aap nahi dekh rahe hain ki log bekaar baato me lage hue hain.Unhone kaha ki : kya sach much woh aisa kar rahe hain? Main ne kaha :Haan, Tab unhone kaha ki:Suno! Main ne Allah ke Rasool Sallallahu alaihe wasallam ko farmaate hue suna hai ki: Anqreeb fitna hoga.Main ne kaha:Ya Rasoolallah Sallallahu alaihe wasallam! Us se bachne ki kya surat hogi? Aap Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya ki: Allah ki kitab (Quran Sharif) isme tum se pahle ke logo aur qaumo ki khabar hai aur baad ke logo ki bhi khabar hai aur tumhare darmiyan hone wale maamlaat ke liye bhi hukm aur faisala maujood hai.(Ye kitab) saaf saaf faisala karne wala hai,Ye hansi mazaaq ki chiz nahi hai.Jo ise sarkashi karte hue chhor dega,Allah use tor dega.Aur jo ise chhor kar hidaayat kahin aur talaash karega,Allah use gumraah kar dega.Ye (Quran)Allah ki mazboot rassi hai.Ye hikmat bhara zikr hai.Ye Sidha raasta hai.Ye woh kitab hai jis ki wajah se khaahishe idhar udhar nahi bhatak paati.Jis ki wajah se zubaane nahi lar-kharaati.Aur ulma (chaahe ise jitna padhe) kabhi dil nahi bharta.Aur ise baar baar padhne se puraana (be-maza) nahi hota.Aur iski anukhi aur qimati baate khatam nahi hoti.Aur Quran woh kitaab hai jise sun kar jinnat khaamosh nahi rah sake,Balki pukaar uthe. “Ham ne ek ajeeb Quran suna hai,Jo bhalaayi ka raasta dikhaata hai.to ham us par imaan le aaye.Jo iske mutabiq bolega aur amal karega use ajr-o-sawab diya jaaega.Jis ne uske mutaabiq faisla kiya usne insaaf kiya.Aur Jis ne uski taraf bulaaya,Usne sidhe raaste ki hidayat diya. (Hazrat Ali ne kaha) Aye Aawar! In baaton ka achchhi tarah khayal rakhna.[Tirmizi,Hadees No.3153]
حدیث: عَنْ أَبِي شُرَيْحٍ الْخُزَاعِيِّ قَالَ: خَرَجَ عَلَيْنَا رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقَالَ: " أَلَيْسَ تَشْهَدُونَ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ، وَأَنِّي رَسُولُ اللهِ ؟ " قُلْنَا: نَعَمْ - أَوْ بَلَى - قَالَ: " فَإِنَّ هَذَا الْقُرْآنَ سَبَبٌ طَرَفُهُ بَيْدِ اللهِ تَعَالَى، وَطَرَفُهُ بِأَيْدِيكُمْ فَتَمَسَّكُوا بِهِ، فَإِنَّكُمْ لَنْ تَضِلُّوا وَلَنْ تَهْلِكُوا بَعْدَهُ أَبَدًا.
Tarjama: Hazrat Abu shuraih khuzaayi radhi Allaho anho bayan karte hain ki:Rasool-e-Kareem Sallallahu alaihe wasallam ham logo ke paas tashrif laaye aur farmaya:Kya tum log gawaahi nahi dete ho ki Allah ke elawah koi ma’bood nahi aur beshak main Allah ka rasool hun? Ham logo ne kaha ki :Haan,(Ham logo gawahi dete hain) Phir Aap Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya ki:Beshak ye Quran ek rassi hai, Jiska ek kinaarah Allah ke haath me hai aur dusara kinarah tumhaare haatho me hai.To tum logo ise mazbuti se thaame raho,to tum log hargiz gumraah nahi hoge aur aisa karne ke baad tum kabhi halaak nahi hoge.[Sahih ibne Hibban,Hadees No.122]
حدیث: عَنْ عَامِرِ بْنِ وَاثِلَةَ أَبِي الطُّفَيْلِ ، أَنَّ نَافِعَ بْنَ عَبْدِ الْحَارِثِ ، لَقِيَ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ بِعُسْفَانَ ، وَكَانَ عُمَرُ اسْتَعْمَلَهُ عَلَى مَكَّةَ ، فَقَالَ عُمَرُ : مَنِ اسْتَخْلَفْتَ عَلَى أَهْلِ الْوَادِي ؟ قَالَ : اسْتَخْلَفْتُ عَلَيْهِمُ ابْنَ أَبْزَى ، قَالَ : وَمَنِ ابْنُ أَبْزَى ؟ قَالَ : رَجُلٌ مِنْ مَوَالِينَا ، قَالَ عُمَرُ : فَاسْتَخْلَفْتَ عَلَيْهِمْ مَوْلًى ؟ قَالَ : إِنَّهُ قَارِئٌ لِكِتَابِ اللهِ تَعَالَى ، عَالِمٌ بِالْفَرَائِضِ ، قَاضٍ ، قَالَ عُمَرُ : أَمَا إِنَّ نَبِيَّكُمْ صَلَّى الله عَليْهِ وسَلَّمَ قَالَ : إِنَّ اللَّهَ يَرْفَعُ بِهَذَا الْكِتَابِ أَقْوَامًا ، وَيَضَعُ بِهِ آخَرِينَ.
Tarajama: Hazrat Aamir bin Wasala kahte hain ki: Hazrat Naafe bin Abdul haaris ki mulaqaat Hazrat Umar radhi Allaho anhu se Maqaam-e-Usfaan me hui.Hazrat Umar ne unko makka ka Aamil (Wali,Zimmedar) bana rakha tha.Hazrat Umar ne puchha:Tum ne Makka walo par kisko apna naayeb bana kar aaye ho? Naafe ne kaha:Main ne un par Ibne Abza ko muqarrar kiya hai.Hazrat Umar ne kaha:Ibne Abza kaun hai? Naafe ne kaha:Hamare gulaamo me se ek hai.Hazrat Umar ne kaha:Tum ne un par ek gulam ko apna naayeb muqarrar kar diya? Naafe ne arz kiya:Ibne Abza Allah ki kitaab ka Qaari,Miraas ke masaail ka Aalim aur Qaazi hai.Hazrat Umar ne kaha ki:Agar ye baat hai to tumhaare Nabi Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya hai:Allah Ta’ala is kitab (Quran) ke zariye bahut se qaumo ko sar-buland karta hai.Aur bahut si qaumo ko past karta hai.[Sahih Muslim,Hadees No.817]
حدیث: عَنْ عَبْدِ اللهِ بْنِ عَمْرٍو رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا ، أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ : الصِّيَامُ وَالْقُرْآنُ يَشْفَعَانِ لِلْعَبْدِ ، يَقُولُ الصِّيَامُ : رَبِّ إِنِّي مَنَعْتُهُ الطَّعَامَ وَالشَّهَوَاتِ بِالنَّهَارِ فَشَفِّعْنِي فِيهِ ، وَيَقُولُ الْقُرْآنُ : مَنَعْتُهُ النَّوْمَ بِاللَّيْلِ فَيُشَفَّعَانِ .
Tarjama:Hazrat Abdullah bin Amar radhi Allahu anhu se riwayat hai ki:Rasool-e-Kareem Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Roza aur Quran bande ki shafa’at karenge.Roza kahega:Ya Allah!Main ne ise din ke waqt me khaane aur shahwat se roke rakha,To iske baare me meri shafa’at qabool farma.Aur Quran kahega:Main ne ise raat ke waqt sone se roke rakha.To dono ki shafa’at qabool ki jaaegi.[Al-Mustadrak lil Hakim, Hadees No.2036]
حدیث: عَنْ عَبْدِ اللهِ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ : إِنَّ هَذَا الْقُرْآنَ مَأْدُبَةُ اللهِ فَاقْبَلُوا مِنْ مَأْدُبَتِهِ مَا اسْتَطَعْتُمْ ، إِنَّ هَذَا الْقُرْآنَ حَبْلُ اللهِ ، وَالنُّورُ الْمُبِينُ ، وَالشِّفَاءُ النَّافِعُ عِصْمَةٌ لِمَنْ تَمَسَّكَ بِهِ ، وَنَجَاةٌ لِمَنْ تَبِعَهُ ، لاَ يَزِيغُ فَيُسْتَعْتَبَ ، وَلاَ يَعْوَجُّ فَيُقَوَّمُ ، وَلاَ تَنْقَضِي عَجَائِبُهُ ، وَلاَ يَخْلَقُ مِنْ كَثْرَةِ الرَّدِّ ، اتْلُوهُ فَإِنَّ اللَّهَ يَأْجُرُكُمْ عَلَى تِلاَوَتِهِ كُلَّ حَرْفٍ عَشْرَ حَسَنَاتٍ ، أَمَا إِنِّي لاَ أَقُولُ الم حَرْفٌ ، وَلَكِنْ أَلِفٌ وَلاَمٌ وَمِيمٌ .
Tarjama: Hazrat Abdullah radhi Allaho anho se riwayat hai ki: Huzur Nabi kareem Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Beshak ye Quran,Allah Ta’ala ka dastar-khaan hai,to tum jitna le sakte ho uski dastar-khaan se le lo.Beshak ye Quran Allah ki rassi,Raushan noor aur nafaa dene wala shifa hai, Hifazat karne wala hai uske liye jo iska daaman pakre.Aur nijaat hai uske liye jo iski pairwi kare.iski ajeeb baaten khatam nahi hoto aur baar baar padhne se puraana nahi hota.Tum iski tilawat kiya karo kyunki iske har harf ki tilawat par Allah Ta’ala 10 neki ata fermata hai.Suno! Main ye nahi kahta ki “Alif-laam-meem” ek harf hai,Balki Alif ek harf hai.Laam ek harf hai aur Meem ek harf hai.[Al-mustadrak Lil Hakim,Hadees No.2040]
حدیث: عَنْ أَنَسٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ ، قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : إِنَّ لِلَّهِ أَهْلِينَ مِنَ النَّاسِ قَالُوا : مَنْ هُمْ يَا رَسُولَ اللهِ ؟ قَالَ : أَهْلُ الْقُرْآنِ هُمْ أَهْلُ اللهِ وَخَاصَّتُهُ .
Tarjama:Hazrat Anas bin Malik radhi Allaho anho kahte hain ki:Rasoolullah Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Logo me kuchh Allah wale hain,Logo ne arz kiya:Ya Rasoolallah Sallallahu alaihe wasallam! Woh kaun log hain? Aap Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Woh Quran padhne aur padhaane wale hain,Jo Allah wale aur uske nazdik khaas log hain.[Ibn-e-Majah,Hadees No.215]
حدیث: عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم إِنَّ الَّذِى لَيْسَ فِى جَوْفِهِ شَىْءٌ مِنَ الْقُرْآنِ كَالْبَيْتِ الْخَرِبِ.
Tarjama: Hazrat Abdullah bin Abbas radhi Allahu anhuma kahte hain ki:Rasoolullah Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Woh shakhs jiske dil me Quran ka kuchh bhi hissa nah o (Yani jise Quran se kuchh bhi yaad na ho) woh veeraan ghar ki tarah hai.[Tirmizi,Hadees No.3161]
حدیث: عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَمْرٍو عَنِ النَّبِىِّ -صلى الله عليه وسلم- قَالَ : يُقَالُ لِصَاحِبِ الْقُرْآنِ اقْرَأْ وَارْتَقِ وَرَتِّلْ كَمَا كُنْتَ تُرَتِّلُ فِى الدُّنْيَا فَإِنَّ مَنْزِلَتَكَ عِنْدَ آخِرِ آيَةٍ تَقْرَأُ بِهَا.
Tarjama: Hazrat Abdullah bin Amar radhi Allaho anhu se riwayat hai ki:Huzur Nabi kareem Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya: (Qayamat ke din) Saahib-e-Quran se kaha jaaega, Quran padhta jaa aur (bulandi ki taraf) chadhta jaa.Aur waise hi thehar thehar kar padh jis tarah to dunya me thehar thehar kar tarteel ke saath padhta tha.To teri manzil woh hogi jahaan teri aakheri aayat ki tilawat khatam hogi.[Tirmizi,Hadeees No.3162]
حدیث: عَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ عَنِ النَّبِىِّ -صلى الله عليه وسلم- قَالَ : يَجِىءُ الْقُرْآنُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ فَيَقُولُ يَا رَبِّ حَلِّهِ فَيُلْبَسُ تَاجَ الْكَرَامَةِ ثُمَّ يَقُولُ يَا رَبِّ زِدْهُ فَيُلْبَسُ حُلَّةَ الْكَرَامَةِ ثُمَّ يَقُولُ يَا رَبِّ ارْضَ عَنْهُ فَيَرْضَى عَنْهُ فَيُقَالُ لَهُ اقْرَأْ وَارْقَ وَتُزَادُ بِكُلِّ آيَةٍ حَسَنَةً.
Tarjama: Hazrat Abu Huraira radhi Allaho anho se riwayat hai ki: Huzur Nabi kareem Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Quran qayamat ke din pesh hoga aur kahega:Aye mere Rab!Ise (Yani Saahib-e-Quran ko) Jora pahna,To use karaamat ka taaj pahnaaya jaaega.Phir woh kahega: Aye mere Rab! Ise aur de.To use karaamat ka jora pahnaaya jaaega.Woh phir kahega:Aye mere Rab! Is se raazi aur khush ho.To woh us se raazi aur khush ho jaaega.Phir us se kaha jaaega ki:Padhta jaa aur chadhta jaa,Tere liye har aayat ke saath ek neki ka izaafa kiya jaata rahega.[Tirmizi,Hadees No.3164]
Share.........
Imaan Imaan ki Nishaaniya Allah ki Mohabbat Allah Ta'ala ke liye mohabbat ki fazilat Allah Ta'ala ke saath achchha guman rakhne ki fazilat Mohabbat-e-Rasool ﷺ Sachche Nabi ke Mo'jaze Tazim-e-Nabi ﷺ Nabi ﷺ ke Tabarrukaat Ahle Bait aur Sahaba ki Azmat Qabr me pesh aane wale halaat Qayamat ki nishaaniya Bando ke haq ilm-e-deen ki fazilat Taalim-e-Quran ki fazilat Ilm-e-Gaib-e-Mustafa ﷺ Hayaat-e-Ambiya Ekhtiyar-e-Mustafa ﷺ Wasila Bid'at Isaal-e-Sawab Murde Bolte Sunte Hain Gustakhon ki pahchan Namaz ki fazilat Namaz chhorne ki muzammat Sunnat aur Nafil namazon ki ginti aur unki fazilat Rafa-e-Yadain Imaam ke pichhe tilawat Namaz-e-Taraweeh ki fazilat aur uski rik'aten Namaz-e-Vitr Do Namazo ko ek saath jama kar ke padhna Namaz-e-Janaza me Salam ek taraf ya dono taraf? Mukammal Namaz Hadees ki raushani me Mard aur aurat ki namaz me farq Namaz ke baad dua Ramzan Aur Roze Wagairah ki fazilat Roza na rakhne ka wabaal Haj aur Umrah ki fazilat Haj na karne ki muzammat