Isaal-e-Sawab



عَنْ عَائِشَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا أَنَّ رَجُلًا قَالَ لِلنَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِنَّ أُمِّي افْتُلِتَتْ نَفْسُهَا وَأَظُنُّهَا لَوْ تَكَلَّمَتْ تَصَدَّقَتْ فَهَلْ لَهَا أَجْرٌ إِنْ تَصَدَّقْتُ عَنْهَا قَالَ نَعَمْ.

Tarjama:Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha bayan karti hai ki ek shakhs ne Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam se arz kiya: Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam!Meri maa achanak inteqal kar gayi hai.Mera khayal hai ki agar unhe apne aakheri waqt me kuchh bolne ka mauqa milta to woh sadqa karti.Ab agar main un ki taraf se sadqa karon to kya is ka sawab unhe pahuchega?Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Haan.(Sahih Bukhari,Hadis No.1322.Sahih Muslim,Hadis No.1004.Abu’dawood,Hadis No.2881)

عَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ أَنَّ رَجُلاً قَالَ لِلنَّبِىِّ -صلى الله عليه وسلم- إِنَّ أَبِى مَاتَ وَتَرَكَ مَالاً وَلَمْ يُوصِ فَهَلْ يُكَفِّرُ عَنْهُ أَنْ أَتَصَدَّقَ عَنْهُ قَالَ « نَعَمْ ».

Tarjama: Hazrat-e-Abu Huraira radhi allaho anho bayan karte hai ki:Ek shakhs ne Huzur Sallallaho alaihe wasallam se arz kiya: Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam!Mere walid ka inteqal hogaya hai aur unhone maal chhora hai,magar us ke baare me koi wasiyat nahi ki hai.Agar main un ki taraf se sadqa karun, to kya is sadqa karne ki wajah se un ke gunaah maaf honge?Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Haan.(Sahih Muslim,Hadis No.1630.Sunan Nasa’ee,Hadis No.3252.Ibn-e-Maja,Hadis No.2716.Masnad-e-Ahmad Hadis No.8828.Sahi Ibn-e-Khuzaima,Hadis No.2498)

عَنْ ابْنِ عَبَّاسٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا أَنَّ رَجُلًا قَالَ لِرَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِنَّ أُمَّهُ تُوُفِّيَتْ أَيَنْفَعُهَا إِنْ تَصَدَّقْتُ عَنْهَا قَالَ نَعَمْ قَالَ فَإِنَّ لِي مِخْرَافًا وَأُشْهِدُكَ أَنِّي قَدْ تَصَدَّقْتُ بِهِ عَنْهَا.

Tarajama: Hazrat Abdullah bin Abbas radhi Allaho anhuma se riwayat hai ki:Ek shakhs ne arz kiya:Ya Rasoolallah Sallallahu alaihe wasallam! Meri walida inteqaal kar chuki hai, Agar main unki taraf se sadqa dun to kya woh use faaida dega?Aap Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Haan,Usne kaha:Mere paas ek baag hai,Aap gawaah rahe main ne ye baag unki taraf se sadqa kar diya.[Sahih Bukhari,2770. Tirmizi,Hadees No.669. Abu Dawood,Hadees No.2882. Nisaayi,Hadees No.3655]

عَنْ سَعْدِ بْنِ عُبَادَةَ قَالَ قُلْتُ يَا رَسُولَ اللَّهِ إِنَّ أُمِّى مَاتَتْ أَفَأَتَصَدَّقُ عَنْهَا قَالَ « نَعَمْ ». قُلْتُ فَأَىُّ الصَّدَقَةِ أَفْضَلُ قَالَ : سَقْىُ الْمَاءِ ۔

Tarjama:Hazrat-e-Sa’ad bin Ubada radhi allaho anho se riwayat hai ki:Un ki walida ka inteqal hua to unhone Huzur Sallallaho alaihe wasallam se arz kiya: Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam! Meri walida inteqal kar gayi hai,To kya main un ki taraf se sadqa kar sakta hu?Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki Haan.unhone arz kiya:To kaunsa sadqa karna ziyadah behtar rahega?Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Paani.To Madina sharif me ye Sa’ad ki maa ke paani ki sabil hai.(Sunan Nasa’ee,Hadis No.3662.3666.Ibn-e-Maja,Hadis No.3684)

عَنْ ابْنِ عَبَّاسٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَاأَنَّ امْرَأَةً مِنْ جُهَيْنَةَ جَاءَتْ إِلَى النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقَالَتْ إِنَّ أُمِّي نَذَرَتْ أَنْ تَحُجَّ فَلَمْ تَحُجَّ حَتَّى مَاتَتْ أَفَأَحُجُّ عَنْهَا قَالَ نَعَمْ حُجِّي عَنْهَا أَرَأَيْتِ لَوْ كَانَ عَلَى أُمِّكِ دَيْنٌ أَكُنْتِ قَاضِيَةً اقْضُوا اللَّهَ فَاللَّهُ أَحَقُّ بِالْوَفَاءِ.

Tarjama: Hazrat Abdullah bin Abbaas radhi Allaho anhuma se riwayat hai ki:Qabila Juhniya ki ek aurat huzur nabi kareem Sallallahu alaihe wasallam ki bargaah me arz ki:Meri walida ne haj ki mannat maani thi lekin woh haj nahi kar saki yahan tak inteqaal kar gayi.Kya main uski taraf se haj karun? Farmaya:Haan,Tum uski taraf se haj karo.Bataao! Agar tumhaari walida par qarz hota to kya tum use ada karti? Allah Ta’ala ka haq ada kiya karo,Kyunki Allah Ta’ala ziyadah haq-daar hai ki us se wafa ki jaaye.[Sahih Bukhari,Hadees No.1852.Sunan Nisaayi,Hadees No.2632.Sahih ibn-e-khuzaima,Hadees No.3041]

عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ بُرَيْدَةَ عَنْ أَبِيهِ - رضى الله عنه - قَالَ بَيْنَا أَنَا جَالِسٌ عِنْدَ رَسُولِ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- إِذْ أَتَتْهُ امْرَأَةٌ فَقَالَتْ إِنِّى تَصَدَّقْتُ عَلَى أُمِّى بِجَارِيَةٍ وَإِنَّهَا مَاتَتْ - قَالَ - فَقَالَ « وَجَبَ أَجْرُكِ وَرَدَّهَا عَلَيْكِ الْمِيرَاثُ ». قَالَتْ يَا رَسُولَ اللَّهِ إِنَّهُ كَانَ عَلَيْهَا صَوْمُ شَهْرٍ أَفَأَصُومُ عَنْهَا قَالَ « صُومِى عَنْهَا ».قَالَتْ إِنَّهَا لَمْ تَحُجَّ قَطُّ أَفَأَحُجُّ عَنْهَا قَالَ « حُجِّى عَنْهَا ».

Tarjama:Hazrat-e-Abdullah bin Bureeda radhi allaho anho bayan karte hai ki main Huzur Sallallaho alaihe wasallam ki baargah me baitha hua tha.Ek aurat aayi aur arz ki:Main ne apni maa ko ek baandi sadqa me di thi aur ab meri ma aka inteqal hogaya hai.Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Tumhe sawab mil gaya aur warasat ne woh baandi tumhe lauta di.Us aurat ne arz kiya: Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam!Meri maa par ek mahine ke roze baaqi the, kya main un ki taraf se roze rakhon?Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Haan!us ki taraf se roze rakho.Us ne arz kiya:Meri maa ne haj kabhi nahi kiya tha kya main un ki taraf se haj ada karlon?Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Haan!us ki taraf se Haj bhi ada karlo.(Sahi Muslim,Hadis No.1149.Tirmizi,Hadis No.667)

عَنْ جَابِرِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ قَالَ شَهِدْتُ مَعَ النَّبِىِّ -صلى الله عليه وسلم- الأَضْحَى بِالْمُصَلَّى فَلَمَّا قَضَى خُطْبَتَهُ نَزَلَ عَنْ مِنْبَرِهِ فَأُتِىَ بِكَبْشٍ فَذَبَحَهُ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- بِيَدِهِ وَقَالَ « بِسْمِ اللَّهِ وَاللَّهُ أَكْبَرُ هَذَا عَنِّى وَعَمَّنْ لَمْ يُضَحِّ مِنْ أُمَّتِى ».

Tarjama: Hazrat Jaabir bin Abdullah radhi Allaho anho bayan karte hain ki:Main Eid-ul-Azha ki namaz me Huzur Sallallahu alaihe wasallam ke saath haazir tha,Jab Aap Sallallahu alaihe wasallam ne khutba mukammal kar liya to member se utre.Do mindha laaya gaya,Use Huzur Sallallahu alaihe wasallam ne apne haatho se zibah kiya aur kaha:Bismillahi wallahu Akbar,Ye meri taraf se hai aur meri ummat ke un logo ki taraf se hai jinhone qurbani nahi ki.[Tirmizi,Hadees No.1521]

عَنْ عَلِىٍّ أَنَّهُ كَانَ يُضَحِّى بِكَبْشَيْنِ أَحَدُهُمَا عَنِ النَّبِىِّ -صلى الله عليه وسلم- وَالآخَرُ عَنْ نَفْسِهِ فَقِيلَ لَهُ فَقَالَ أَمَرَنِى بِهِ يَعْنِى النَّبِىَّ -صلى الله عليه وسلم- - فَلاَ أَدَعُهُ أَبَدًا.

Tarjama:Hazrat Hansh riwayat karte hain ki:Hazrat Ali radhi Allaho anho do meendho ki Qurbani kiya karte the,Ek Nabi Sallallahu alaihe wasallam ki taraf se aur dusara apni taraf se.Jab un se iske baare me puchha gaya to unhone kaha:Iska hukm mujhe Huzur Nabi kareem Sallallahu alaihe wasallam ne diya,To main kabhi isko nahi chhorunga.[Tirmizi,Hadees No.1495]

عَبْدَ اللهِ بْنَ عُمَرَ سَمِعْتُ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ: " إِذَا مَاتَ أَحَدُكُمْ فَلَا تَحْبِسُوهُ وَأَسْرِعُوا بِهِ إِلَى قَبْرِهِ وَلْيُقْرَأْ عِنْدَ رَأْسِهِ فَاتِحَةُ الْكِتَابِ وَعِنْدَ رِجْلَيْهِ بِخَاتِمَةِ الْبَقَرَةِ فِي قَبْرِهِ.

Tarjama:Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anho bayan karte hai ki main Huzur Sallallaho alaihe wasallam ko ye farmate hue suna ki Jab tum me se kisi ka inteqal ho jaae to use rok kar nahi rakho,Use jald uski qabar tak pahuchao.(Aur dafan ke baad)Us ke sar ke paas Surah Baqra ki shuru wali aayatein aur us ke pair ki taraf Surah baqra ki aakheri wali aayatein padho.(Sho’abul Iman lil Baihaqi,Hadis No.8854)

عَنْ عَبْدِ اللهِ بْنِ عَيَّاشِ قَالَ قَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: " مَا الْمَيِّتُ فِي الْقَبْرِ إِلَّا كَالْغَرِيقِ الْمُتَغَوِّثِ يَنْتَظِرُ دَعْوَةً تَلْحَقُهُ مِنْ أَبٍ أَوْ أُمٍّ أَوْ أَخٍ أَوْ صَدِيقٍ فَإِذَا لَحِقَتْهُ كَانَ أَحَبُّ إِلَيْهِ مِنَ الدُّنْيَا وَمَا فِيهَا، وَإِنَّ اللهَ عَزَّ وَجَلَّ لَيُدْخِلُ عَلَى أَهْلِ الْقُبُورِ مِنْ دُعَاءِ أَهْلِ الْأَرْضِ أَمْثَالَ الْجِبَالِ وَإِنَّ هَدِيَّةَ الْأَحْيَاءِ إِلَى الْأَمْوَاتِ الِاسْتِغْفَارُ لَهُمْ ".

Tarjama:Hazrat Abdullah bin Ayyash se riwayat hai ki:Huzur Nabi kareem Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Mayyat qabr me samandar me dobte hue shakhs ki tarah hota hai,Woh intezaar karta rahta hai dua ka,Jo uske baap ya Maa ya bhai ya dost ki taraf se pahunche.To jab inki taraf se use pahunch jaata hai to ye use puri dunya aur jo kuchh usme hai,se ziyadah mahboob hota hai.Aur beshak Allah Ta’ala zameen walo ki dua ko murdoon par pahaar ki tarah bada kar ke daakhil karta hai.Aur beshak zindon ka tohfa murdon ke liye,unke liye istigfaar karna hai.[Sho’bul imaan Lil-baihaqi,Hadees No.8855]
Share.........




Related Topics



Imaan Imaan ki Nishaaniya Allah ki Mohabbat Allah Ta'ala ke liye mohabbat ki fazilat Allah Ta'ala ke saath achchha guman rakhne ki fazilat Mohabbat-e-Rasool ﷺ Sachche Nabi ke Mo'jaze Tazim-e-Nabi ﷺ Nabi ﷺ ke Tabarrukaat Ahle Bait aur Sahaba ki Azmat Qabr me pesh aane wale halaat Qayamat ki nishaaniya Bando ke haq ilm-e-deen ki fazilat Quran Sharif ki azmat-o-fazilat Taalim-e-Quran ki fazilat Ilm-e-Gaib-e-Mustafa ﷺ Hayaat-e-Ambiya Ekhtiyar-e-Mustafa ﷺ Wasila Bid'at Murde Bolte Sunte Hain Gustakhon ki pahchan Namaz ki fazilat Namaz chhorne ki muzammat Sunnat aur Nafil namazon ki ginti aur unki fazilat Rafa-e-Yadain Imaam ke pichhe tilawat Namaz-e-Taraweeh ki fazilat aur uski rik'aten Namaz-e-Vitr Do Namazo ko ek saath jama kar ke padhna Namaz-e-Janaza me Salam ek taraf ya dono taraf? Mukammal Namaz Hadees ki raushani me Mard aur aurat ki namaz me farq Namaz ke baad dua Ramzan Aur Roze Wagairah ki fazilat Roza na rakhne ka wabaal Haj aur Umrah ki fazilat Haj na karne ki muzammat



Dawat-E-Quran