Haj Aur Umrah Ki Fazilat



عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ قَالَ سُئِلَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَيُّ الْأَعْمَالِ أَفْضَلُ قَالَ إِيمَانٌ بِاللَّهِ وَرَسُولِهِ قِيلَ ثُمَّ مَاذَا قَالَ جِهَادٌ فِي سَبِيلِ اللَّهِ قِيلَ ثُمَّ مَاذَا قَالَ حَجٌّ مَبْرُورٌ

Tarjama: Hazrat-e-Abu Hurairah radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur ﷺ se puchha gaya ki kaunsa amal sab se afzal hai?To Aap ﷺ ne farmaya ki:Allah aur us ke Rasool par imaan laana.Puchha gaya phir kaunsa hai? To Aap ﷺ ne farmaya ki:Allah ke raaste me jihaad karna. Puchha gaya phir kaunsa hai? To Aap ﷺ ne farmaya ki:Haj karna.(Sahih Bukhari,Hadis No.1519)

عَنْ عَائِشَةَ بِنْتِ طَلْحَةَ عَنْ عَائِشَةَ أُمِّ الْمُؤْمِنِينَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا أَنَّهَا قَالَتْ يَا رَسُولَ اللَّهِ نَرَى الْجِهَادَ أَفْضَلَ الْعَمَلِ أَفَلَا نُجَاهِدُ قَالَ لَا لَكِنَّ أَفْضَلَ الْجِهَادِ حَجٌّ مَبْرُورٌ

Tarjama: Ummul Momenin Hazrat-e-Aaisha siddiqa radhi allaho anha bayan karti hain ki:Main ne Huzur ﷺ se arz kiya ki:Ya Rasoolallah ﷺ ! Aap jihaad ko afzal amal bataate hain.To kya ham jihaad nahi kare? To Aap ﷺ ne farmaya ki:Nahi.(Aurato ke liye) sab se afzal jihaad Maqbool haj karna hai.(Sahi Bukhari,Hadis No.1520)

حَدَّثَنَا آدَمُ حَدَّثَنَا شُعْبَةُ حَدَّثَنَا سَيَّارٌ أَبُو الْحَكَمِ قَالَ سَمِعْتُ أَبَا حَازِمٍ قَالَ سَمِعْتُ أَبَا هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ قَالَ سَمِعْتُ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ مَنْ حَجَّ لِلَّهِ فَلَمْ يَرْفُثْ وَلَمْ يَفْسُقْ رَجَعَ كَيَوْمِ وَلَدَتْهُ أُمُّهُ

Tarajama: Hazrat-e-Abu Hurairah radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki:Jis ne haj kiya aur haj ke darmiyan koi galat baat nahi bola aur nahi koi gunah ka kaam kiya to woh gunaho se aisa paak ho jaata hai jaise us din tha jis din uski maa ne use janam diya tha.(Sahi Bukhari,Hadis No.1521)

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ الْعُمْرَةُ إِلَى الْعُمْرَةِ كَفَّارَةٌ لِمَا بَيْنَهُمَا وَالْحَجُّ الْمَبْرُورُ لَيْسَ لَهُ جَزَاءٌ إِلَّا الْجَنَّةُ

Tarjama:Hazrat-e-Abu Hurairah radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki: Umrah se umrah tak un tamam gunaho ka kaffara hai jo us ke bich me hue.Aur maqbool haj ka sawab jannat hi hai.(Sahi Bukhari,Hadis No.1773)

عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ مَسْعُودٍ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- تَابِعُوا بَيْنَ الْحَجِّ وَالْعُمْرَةِ فَإِنَّهُمَا يَنْفِيَانِ الْفَقْرَ وَالذُّنُوبَ كَمَا يَنْفِى الْكِيرُ خَبَثَ الْحَدِيدِ وَالذَّهَبِ وَالْفِضَّةِ وَلَيْسَ لِلْحَجَّةِ الْمَبْرُورَةِ ثَوَابٌ إِلاَّ الْجَنَّةُ

Tarjama:Hazrat-e-Abdullah bin Masood radhi allaho anho bayan karte hain ki: Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki:Haj aur umrah muhtaaji aur gunaho ko aise khatam karta hai jaise aag ki bhatti lohe,sone aur chandi ke gandagi ko.(Tirmizi,Hadis No.810)

عن أبي ذر أن النبي صلى الله عليه و سلم قال إن داود النبي عليه السلام قال إلهي ما لعبادك عليك إذا هم زاروك في بيتك قال إن لكل زائر على المزور حقا يا داود إن لهم علي أن أعافيهم في الدنيا وأغفر لهم إذا لقيتهم

Tarjama:Hazrat-e-Abu Zar radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki:Hazrat-e-Dawood alaihissalam ne arz kiya:Aye Allah!Jab tere bande tere ghar ki ziyarat ke liye aaenge to tu unhe kya ata farmaega?To Allah Ta’ala ne farmaya ki:Har ziyarat karne wale ka us par haq hai jis ki woh ziyarat karne jaae. Mere un bando ka mujh par ye haq hai ki main unhe dunya mein aafiyat donga aur jab mujh se milenge to un ke gunaho ko maaf kar donga.(Al-Mujamul ausat Lil Tabrani,Hadis No.6037)

عَنْ أَبِي مُوسَى الأَشْعَرِيِّ ، رَفَعَهُ إِلَى رَسُولِ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ : الْحَاجُّ يَشْفَعُ فِي أَرْبَعِ مِئَةِ أَهْلِ بَيْتٍ ، أَوْ قَالَ مِنْ أَهْلِ بَيْتِهِ ، وَيَخْرُجُ مِنْ ذُنُوبِهِ كَيَوْمِ وَلَدَتْهُ أُمُّهُ

Tarjama: Hazrat-e-Abu Musa radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki:Haji apne ghar walo mein se 400 logo ki qayamat ke din shafa’at karega aur gunaho se aisa paak ho jaaega jaisa apne paida hone ke din tha.(Masnad-e-Bazzar,Masnade Abu Musa Ash’ari,Hadis No.3196)

عَنْ مُجَاهِدٍ ، قَالَ : قَالَ عُمَرُ : يُغْفَرُ لِلْحَاجِّ ، وَلِمَنَ اسْتَغْفَرَ لَهُ الْحَاجُّ

Tarjama:Hazrat-e-Umar radhi Allaho anho ne farmaya ki: Haaji ki magfirat ho jaati hai aur haaji jis ke liye istigfaar karta hai uski bhi.[Musannaf ibne abi shaiba,Hadees No.12800]

عَنْ مُجَاهِدٍ ؛ أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم قَالَ : اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِلْحَاجِّ ، وَلِمَنَ اسْتَغْفَرَ لَهُ الْحَاجُّ.

Tarjama:Huzur Nabi Kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Ya Allah! Haaji ki magfirat farma aur us shakhs ki magfirat farma jis ke liye haji magfirat ki dua kare.[Musannaf ibne abi shaiba,Hadees No.12801]

عن أبي هريرة قال: قال رسول الله صلى الله عليه و سلم : من خرج حاجا فمات كتب الله له أجر الحاج إلى يوم القيامة ومن خرج معتمرا فمات كتب الله له أجر المعتمر إلى يوم القيامة ومن خرج غازيا في سبيل الله فمات كتب الله له أجر الغازي إلى يوم القيامة

Tarjama:Hazrat-e-Abu Hurairah radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki:Jo haj karne ke liye nikla aur mar gaya to qayamat tak us ke liye haj karne ka sawab likha jaaega aur jo umrah karne ke liye nikla aur mar gaya to qayamat tak uske liye umrah karne ka sawab likha jaaega.(Masnade Abu Yala,Masnade Abu Hurairah radhi allaho anho,Hadis No.6327)
Share.........




Related Topics



Imaan Imaan ki Nishaaniya Allah ki Mohabbat Allah Ta'ala ke liye mohabbat ki fazilat Allah Ta'ala ke saath achchha guman rakhne ki fazilat Mohabbat-e-Rasool ﷺ Sachche Nabi ke Mo'jaze Tazim-e-Nabi ﷺ Nabi ﷺ ke Tabarrukaat Ahle Bait aur Sahaba ki Azmat Qabr me pesh aane wale halaat Qayamat ki nishaaniya Bando ke haq ilm-e-deen ki fazilat Quran Sharif ki azmat-o-fazilat Taalim-e-Quran ki fazilat Ilm-e-Gaib-e-Mustafa ﷺ Hayaat-e-Ambiya Ekhtiyar-e-Mustafa ﷺ Wasila Bid'at Isaal-e-Sawab Murde Bolte Sunte Hain Gustakhon ki pahchan Namaz ki fazilat Namaz chhorne ki muzammat Sunnat aur Nafil namazon ki ginti aur unki fazilat Rafa-e-Yadain Imaam ke pichhe tilawat Namaz-e-Taraweeh ki fazilat aur uski rik'aten Namaz-e-Vitr Do Namazo ko ek saath jama kar ke padhna Namaz-e-Janaza me Salam ek taraf ya dono taraf? Mukammal Namaz Hadees ki raushani me Mard aur aurat ki namaz me farq Namaz ke baad dua Ramzan Aur Roze Wagairah ki fazilat Roza na rakhne ka wabaal Haj na karne ki muzammat



Dawat-E-Quran