حدیث : عَنْ ابْنِ عُمَرَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَاقَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ بُنِيَ الْإِسْلَامُ عَلَى خَمْسٍ شَهَادَةِ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَأَنَّ مُحَمَّدًا رَسُولُ اللَّهِ وَإِقَامِ الصَّلَاةِ وَإِيتَاءِ الزَّكَاةِ وَالْحَجِّ وَصَوْمِ رَمَضَانَ.
Tarjama: Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anhuma bayan karte hai ki:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Islam ki bunyad 5 chizo par rakhi gayi hai. (1)Is baat ki gawahi dena ki Allah ke elawah koi ibaadat ke laa’iq nahi hai.Aur beshak Muhammad Allah ke Rasool hai. (2)Namaaz qayam karna.(3)Zakaat ada karna.(4)Haj karna. (5)Ramzaan ke mahine ka roza rakhna. (Sahih Bukhari, Hadis No.7)
حدیث:حَدَّثَنِى أَبِى عُمَرُ بْنُ الْخَطَّابِ قَالَ بَيْنَمَا نَحْنُ عِنْدَ رَسُولِ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- ذَاتَ يَوْمٍ إِذْ طَلَعَ عَلَيْنَا رَجُلٌ شَدِيدُ بَيَاضِ الثِّيَابِ شَدِيدُ سَوَادِ الشَّعَرِ لاَ يُرَى عَلَيْهِ أَثَرُ السَّفَرِ وَلاَ يَعْرِفُهُ مِنَّا أَحَدٌ حَتَّى جَلَسَ إِلَى النَّبِىِّ -صلى الله عليه وسلم- فَأَسْنَدَ رُكْبَتَيْهِ إِلَى رُكْبَتَيْهِ وَوَضَعَ كَفَّيْهِ عَلَى فَخِذَيْهِ وَقَالَ يَا مُحَمَّدُ أَخْبِرْنِى عَنِ الإِسْلاَمِ. فَقَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- « الإِسْلاَمُ أَنْ تَشْهَدَ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَنَّ مُحَمَّدًا رَسُولُ اللَّهِ وَتُقِيمَ الصَّلاَةَ وَتُؤْتِىَ الزَّكَاةَ وَتَصُومَ رَمَضَانَ وَتَحُجَّ الْبَيْتَ إِنِ اسْتَطَعْتَ إِلَيْهِ سَبِيلاً. قَالَ صَدَقْتَ. قَالَ فَعَجِبْنَا لَهُ يَسْأَلُهُ وَيُصَدِّقُهُ. قَالَ فَأَخْبِرْنِى عَنِ الإِيمَانِ. قَالَ « أَنْ تُؤْمِنَ بِاللَّهِ وَمَلاَئِكَتِهِ وَكُتُبِهِ وَرُسُلِهِ وَالْيَوْمِ الآخِرِ وَتُؤْمِنَ بِالْقَدَرِ خَيْرِهِ وَشَرِّهِ ». قَالَ صَدَقْتَ. قَالَ فَأَخْبِرْنِى عَنِ الإِحْسَانِ. قَالَ « أَنْ تَعْبُدَ اللَّهَ كَأَنَّكَ تَرَاهُ فَإِنْ لَمْ تَكُنْ تَرَاهُ فَإِنَّهُ يَرَاكَ ». قَالَ فَأَخْبِرْنِى عَنِ السَّاعَةِ. قَالَ « مَا الْمَسْئُولُ عَنْهَا بِأَعْلَمَ مِنَ السَّائِلِ ». قَالَ فَأَخْبِرْنِى عَنْ أَمَارَتِهَا. قَالَ « أَنْ تَلِدَ الأَمَةُ رَبَّتَهَا وَأَنْ تَرَى الْحُفَاةَ الْعُرَاةَ الْعَالَةَ رِعَاءَ الشَّاءِ يَتَطَاوَلُونَ فِى الْبُنْيَانِ ». قَالَ ثُمَّ انْطَلَقَ فَلَبِثْتُ مَلِيًّا ثُمَّ قَالَ لِى « يَا عُمَرُ أَتَدْرِى مَنِ السَّائِلُ ». قُلْتُ اللَّهُ وَرَسُولُهُ أَعْلَمُ. قَالَ « فَإِنَّهُ جِبْرِيلُ أَتَاكُمْ يُعَلِّمُكُمْ دِينَكُمْ ».
Tarjama: Hazrat Umar radhi Allaho anho bayan karte hain ki:Ek din ham log Allah ke Rasool Sallallaho alaihe wasallam ke paas baithe the ki achaanak ek shakhs zaahir hue,Nihaayat safeed kapde aur intehaayi kaale baal wale,Un par safar ka koi asar nahi dekhaayi de raha tha,Aur ham me se koi unhe jaanta bhi nahi tha,Aakhir kaar woh Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ke paas baith gaye aur apne ghutne ko Huzur ke ghutne se mila diya aur apna haath Huzur ke jaangh Mubarak par rakh diya aur arz kiya:Ya Mohammad!Mujhe Islam ke baare me bataaiye.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Islam ye hai ki tum is baat ki gawaahi do ki Allah ke siwa koi ibaadat ka haq-daar nahi hai aur ye ki Mohammad Allah ke Rasool hain.Aur namaz qaayam karo,Zakat ada karo,Ramzan ke roze rakho,Aur agar taaqat ho to Allah ke ghar ka haj karo. Us shakhs ne kaha:Aap ne sach kaha.Hazrate Umar kahte hain ki ham logo ko ta’ajjub hua ki khud hi sawal karta hai aur khud hi tasdeeq karta hai.Us ke baad aane wale shakhs ne kaha:Mujhe iman ke baare me bataiye. Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Iman ye hai ki tum Allah par,Uske farishto par,Uski kitabo par,Uske rasoolo par aur aakhirat ke din par yaqeen karo aur taqdeer ki achchhayi aur buraayi ka yaqeen karo.Us shakhs ne kaha ki Aap ne sach farmaya. Phir arz kiya ki:Mujhe ehsaan ke baare me bataaiye.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Ehsaan ye hai ki tum Allah Ta’ala ki ibaadat is kaifiyat ke saath karo ki tum use dekh rahe ho aur agar ye martabah haasil nah o to itna yaqeen rakho ki woh tumhe dekh raha hai. Us shakhs ne arz kiya:Mujhe qayamat ke baare me bataaiye.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki: Jis se sawal kiya gaya hai woh puchhne wale se ziyadah nahi jaanta. Us shakhs ne kaha:Achchha, to uski nishaaniyo ke baare me bataaiye.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Qayamat ki nishaaniyo me se ye hai ki londi apne maalkin ko janegi aur tum dekhoge ki nange badan aur nange pair wale tangdast log badi badi imaarato (buildings) par fakhr karenge. Hazrat Umar kahte hain:Phir woh shakhs chale gaye,Aur main kuchh der tak ruka raha,To mujh se Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne puchha:Aye umar! Kya tum jaante ho ki sawal karne wala kaun tha? Main ne arz kiya :Allah aur uske Rasool behtar jaante hain.Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Ye Jibreel the,Jo tumhe tumhara deen sikhaane aaye the.[Sahih Muslim,Hadees No:8]
حدیث : عَنْ عَلِيٍّ ، قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى الله عَليْهِ وسَلَّمَ : لاَ يُؤْمِنُ عَبْدٌ حَتَّى يُؤْمِنَ بِأَرْبَعٍ : بِاللَّهِ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ ، وَأَنِّي رَسُولُ اللهِ ، وَالْبَعْثِ بَعْدَ الْمَوْتِ ، وَالْقَدَرِ.
Tarajama: Hazrat Maula Ali radhi Allaho anho se riwayat hai ki Rsool-e-Kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Koi banda us waqt tak momin nahi ho sakta jab tak woh 4 baato pat imaan na le aaye.1:Pahli baat ye ki Allah ek hai,Uska koi shareek nahi.2: Aur beshak main Allah ka rasool hun.3:Marne ke baad dobaarah zinda hona haq hai.4: Taqdeer haq hai.[Ibne Majah,Hadees No:81]
حدیث : عَنْ جَابِرِ بْنِ عَبْدِ اللهِ ، قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى الله عَليْهِ وسَلَّمَ : إِنَّ مَجُوسَ هَذِهِ الأُمَّةِ الْمُكَذِّبُونَ بِأَقْدَارِ اللهِ ، إِنْ مَرِضُوا فَلاَ تَعُودُوهُمْ ، وَإِنْ مَاتُوا فَلاَ تَشْهَدُوهُمْ ، وَإِنْ لَقِيتُمُوهُمْ فَلاَ تُسَلِّمُوا عَلَيْهِمْ.
Tarjama:Hazrat Jaabir bin Abdullah radhi Allaho anho se riwayat hai ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Beshak is ummat ke majusi Allah ki taqdeer ko jhutlaane wale log hain.Agar woh bimar ho jaaye to unki iyaadat nahi karo,Aur agar woh mar jaaye to unke janaza me nahi jaao,Aur agar un se mulaqaat ho jaaye to un se salam na karo. [Ibne Majah,Hadees No:92]
حدیث: عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ ، قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى الله عَليْهِ وسَلَّمَ : صِنْفَانِ مِنْ هَذِهِ الأُمَّةِ لَيْسَ لَهُمَا فِي الإِسْلاَمِ نَصِيبٌ الْمُرْجِئَةُ , وَالْقَدَرِيَّةُ.
Tarjama: Hazrat ibne Abbas radhi allaho anho se riwayat hai ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Is ummat ke do girooh aise hain jinka islam me koi hissa nahi hai.Pahla Murjiya hai aur dusara Qadriya hai.[Ibne Majah,Hadees No:73]
(Murjiya firqe ka aqeeda hai ki imaan laane ke baad koi bhi gunaah karne se koi nuqsaan nahi hota. Aur qadriya ,Taqdeer ke inkaar karne wale ko kaha jaata hai.)
حدیث: عَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ عَنْ رَسُولِ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- أَنَّهُ قَالَ « وَالَّذِى نَفْسُ مُحَمَّدٍ بِيَدِهِ لاَ يَسْمَعُ بِى أَحَدٌ مِنْ هَذِهِ الأُمَّةِ يَهُودِىٌّ وَلاَ نَصْرَانِىٌّ ثُمَّ يَمُوتُ وَلَمْ يُؤْمِنْ بِالَّذِى أُرْسِلْتُ بِهِ إِلاَّ كَانَ مِنْ أَصْحَابِ النَّارِ ».
Tarjama:Hazrat Abu Huraira radhi Allaho anho se riwayat hai ki Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Qasam hai us zaat ki qabze me meri jaan hai! Is ummat ka koi bhi yahudi aur isaayi jo meri baat sune jis ke saath main bheja gaya hun (Yani Deen-e-Islam) Aur woh us par imaan nahi laaye to uska thikaana jahannam walo me se hoga.[Sahih Muslim,Hadess No:153]
حدیث: حَدَّثَنَا عُبَادَةُ بْنُ الصَّامِتِ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- « مَنْ قَالَ أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ وَأَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ وَأَنَّ عِيسَى عَبْدُ اللَّهِ وَابْنُ أَمَتِهِ وَكَلِمَتُهُ أَلْقَاهَا إِلَى مَرْيَمَ وَرُوحٌ مِنْهُ وَأَنَّ الْجَنَّةَ حَقٌّ وَأَنَّ النَّارَ حَقٌّ أَدْخَلَهُ اللَّهُ مِنْ أَىِّ أَبْوَابِ الْجَنَّةِ الثَّمَانِيَةِ شَاءَ ».
Tarjama: Hazrat Ubaadah bin Saamit radhi Allaho anho se riwayat hai ki:Huzur Nabi Kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Jo shakhs is baat par imaan le aaye ki, Allah ke siwa koi ma’bood nahi,Uska koi shareek nahi,Aur Mohammad(Sallallaho alaihe wasallam) uske bande aur Rasool hain.Aur Hazrat Isa alaihissalam Allah ke bande aur uske nabi hain,Woh hazrat Maryam ke bête aur Kalimatullah hain jo usne hazrat Maryam ki taraf ilqa kiya tha aur Roohullah hain.Aur ye ki jannat haq hai aur dozakh haq hai,To woh jannat ke aatho darwazo me se jis se chaahe jannat me daakhil ho jaaye.[Sahih Muslim,Hadees No:28]
حدیث: عَنْ مُعَاذِ بْنِ جَبَلٍ - قَالَ أَبُو بَكْرٍ رُبَّمَا قَالَ وَكِيعٌ عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ أَنَّ مُعَاذًا - قَالَ بَعَثَنِى رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- قَالَ « إِنَّكَ تَأْتِى قَوْمًا مِنْ أَهْلِ الْكِتَابِ. فَادْعُهُمْ إِلَى شَهَادَةِ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَنِّى رَسُولُ اللَّهِ فَإِنْ هُمْ أَطَاعُوا لِذَلِكَ فَأَعْلِمْهُمْ أَنَّ اللَّهَ افْتَرَضَ عَلَيْهِمْ خَمْسَ صَلَوَاتٍ فِى كُلِّ يَوْمٍ وَلَيْلَةٍ فَإِنْ هُمْ أَطَاعُوا لِذَلِكَ فَأَعْلِمْهُمْ أَنَّ اللَّهَ افْتَرَضَ عَلَيْهِمْ صَدَقَةً تُؤْخَذُ مِنْ أَغْنِيَائِهِمْ فَتُرَدُّ فِى فُقَرَائِهِمْ فَإِنْ هُمْ أَطَاعُوا لِذَلِكَ فَإِيَّاكَ وَكَرَائِمَ أَمْوَالِهِمْ وَاتَّقِ دَعْوَةَ الْمَظْلُومِ فَإِنَّهُ لَيْسَ بَيْنَهَا وَبَيْنَ اللَّهِ حِجَابٌ ».
Tarjama: Hazrat Ma’az bin Jabal radhi Allaho anho bayan karte hain ki:Mujhe Allah ke rasool Sallallaho alaihe wasallam ne (Yaman ki taraf) bheja to Aap Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya:Beshak tum Ahl-e-kitab ke kuchh logo ke paas jaa rahe ho,Pahle tum unhe is baat ki dawat dena ki woh gawahi de ki Allah ke siwa koi ma’bood nahi hai aur beshak main Allah ka rasool hun.Agar woh isko maan le to unko bataao ki Allah Ta’ala ne din raat me 5 namaaze un par farz farmaya hai.Agar woh isko bhi maan le to unko bataana ki Allah Ta’ala ne un par zakat farz farmaya hai jo daulat mando se le kar unhi ke gareeb logo me taqseem ki jaayegi,Ab agar woh isko bhi maan le to tum unka behtareen maal hargiz nahi lena aur mazloom ki bad-dua se bachna kyunki mazloom ki bad-dua Aur Allah ke darmiyan koi parda nahi hota. [Sahih Muslim.Hadees No.19]
حدیث: عَنْ مُعَاذِ بْنِ جَبَلٍ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- « يَا مُعَاذُ أَتَدْرِى مَا حَقُّ اللَّهِ عَلَى الْعِبَادِ ». قَالَ اللَّهُ وَرَسُولُهُ أَعْلَمُ. قَالَ « أَنْ يُعْبَدَ اللَّهُ وَلاَ يُشْرَكَ بِهِ شَىْءٌ - قَالَ - أَتَدْرِى مَا حَقُّهُمْ عَلَيْهِ إِذَا فَعَلُوا ذَلِكَ ». فَقَالَ اللَّهُ وَرَسُولُهُ أَعْلَمُ.قَالَ « أَنْ لاَ يُعَذِّبَهُمْ »
Tarjama: Hazrat Ma’az bin Jabal radhi Allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne mujh se farmaya: Aye Ma’az! Kya tum jaante ho ki Allah ka bando par kya haq hai?Main ne arz kiya:Allah aur uske rasool hi behtar jaante hain.Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Woh ye hai ki Allah ki ibaadat ki jaaye aur uske saath kisi ko shareek nahi kiya jaaye.Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Kya to jaanta hai ki:Bando ka haq Allah Ta’ala par kya hai? Jab woh aisa kare. Main ne kaha:Allah Aur uske Rasool hi behtar jaante hain.Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Ye hai ki Allah unko azaab na de.[Sahih Muslim,Hadees No.30]
حدیث:عَنْ أَبِى ذَرٍّ - رضى الله عنه - قَالَ خَرَجْتُ لَيْلَةً مِنَ اللَّيَالِى فَإِذَا رَسُولُ اللَّهِ - صلى الله عليه وسلم - يَمْشِى وَحْدَهُ ، وَلَيْسَ مَعَهُ إِنْسَانٌ - قَالَ - فَظَنَنْتُ أَنَّهُ يَكْرَهُ أَنْ يَمْشِىَ مَعَهُ أَحَدٌ - قَالَ - فَجَعَلْتُ أَمْشِى فِى ظِلِّ الْقَمَرِ فَالْتَفَتَ فَرَآنِى فَقَالَ « مَنْ هَذَا » . قُلْتُ أَبُو ذَرٍّ جَعَلَنِى اللَّهُ فِدَاءَكَ . قَالَ « يَا أَبَا ذَرٍّ تَعَالَهْ » . قَالَ فَمَشَيْتُ مَعَهُ سَاعَةً فَقَالَ « إِنَّ الْمُكْثِرِينَ هُمُ الْمُقِلُّونَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ ، إِلاَّ مَنْ أَعْطَاهُ اللَّهُ خَيْرًا ، فَنَفَحَ فِيهِ يَمِينَهُ وَشِمَالَهُ وَبَيْنَ يَدَيْهِ وَوَرَاءَهُ ، وَعَمِلَ فِيهِ خَيْرًا » . قَالَ فَمَشَيْتُ مَعَهُ سَاعَةً فَقَالَ لِى « اجْلِسْ هَا هُنَا » . قَالَ فَأَجْلَسَنِى فِى قَاعٍ حَوْلَهُ حِجَارَةٌ فَقَالَ لِى « اجْلِسْ هَا هُنَا حَتَّى أَرْجِعَ إِلَيْكَ » . قَالَ فَانْطَلَقَ فِى الْحَرَّةِ حَتَّى لاَ أَرَاهُ فَلَبِثَ عَنِّى فَأَطَالَ اللُّبْثَ ، ثُمَّ إِنِّى سَمِعْتُهُ وَهْوَ مُقْبِلٌ وَهْوَ يَقُولُ « وَإِنْ سَرَقَ وَإِنْ زَنَى » . قَالَ فَلَمَّا جَاءَ لَمْ أَصْبِرْ حَتَّى قُلْتُ يَا نَبِىَّ اللَّهِ جَعَلَنِى اللَّهُ فِدَاءَكَ مَنْ تُكَلِّمُ فِى جَانِبِ الْحَرَّةِ مَا سَمِعْتُ أَحَدًا يَرْجِعُ إِلَيْكَ شَيْئًا . قَالَ « ذَلِكَ جِبْرِيلُ - عَلَيْهِ السَّلاَمُ - عَرَضَ لِى فِى جَانِبِ الْحَرَّةِ ، قَالَ بَشِّرْ أُمَّتَكَ أَنَّهُ مَنْ مَاتَ لاَ يُشْرِكُ بِاللَّهِ شَيْئًا دَخَلَ الْجَنَّةَ ، قُلْتُ يَا جِبْرِيلُ وَإِنْ سَرَقَ وَإِنْ زَنَى قَالَ نَعَمْ . قَالَ قُلْتُ وَإِنْ سَرَقَ وَإِنْ زَنَى قَالَ نَعَمْ ، وَإِنْ شَرِبَ الْخَمْرَ » .
Tarjama: Hazrat Abu Zar radhi allaho anho bayan karte hain ke: Main ek raat bahar nikla to dekha ke Rasoolullah ﷺ akele chale jaa rahe hain. Aap ke saath koi bhi nahi hai. Main samjha shayad ke aap ﷺko achha na lagta ho ke koi aap ke saath chale. Main chaand ke saae me chalne laga. Aap ﷺ ne meri taraf dekha to farmaya: Kaun ho? Main ne kaha: Mujhe Allah taala Aap par qurbaan kare, main Abu Zar hun. Aap ﷺ ne farmaya: Abu Zar aa-jaao. Main kuchh der aap ke saath chala to Aapﷺ ne farmaya: Ziyadah jama karne waale qayamat ke din sabse kam maal waale honge siwaae uske jise Allah taala maal ata kare. To wo use daaen baaen aage peechhe kharch kare aur uske saath bhalaai ke kaam kare. Phir main kuchh der aapke saath chalta raha aap ne mujhe ek narm zameen par baithaya jiske ird gird patthar pade hue the. Aap ne mujhse farmaya: Yahan baithe raho jab tak main wapas na aa-jaaun. Aap ﷺ Hira (naami waadi) me chalte hue aankhon se ojhal ho gaye. Phir maine kaafi der baad aap ﷺ ko ye kahte hue aate suna ke “Agarche wo chori kare ya zina kare”. Jab Aap aae to mujhse sabar na ho saka, main ne arz kiya: Ay Allah ke Nabi ﷺ! Allah taala mujhe aap par qurbaan kare, Hira ki taraf kis shakhs se baat ki jaa rahi thi? Main ne kisi shakhs ko jawaab dete hue nahi suna. Aap ﷺ ne farmaya: Wo Jibrael the jo Hira ki jaanib mujhse mile aur kahne lage apni ummat ko khush-khabri de dijiye ke jo shakhs is haal me dunya se gaya ke usne Allah ke saath kisi ko shareek nahi thehraya wo Jannat me daakhil hoga. Main ne kaha: Ay Jibrael agarche usne chori ki ho aur zina kiya ho? Jibrael ne kaha: Haan, Agarche usne sharaab bhi kyu na pee ho. (Is Hadees sharif ka khulasa ye hai ke gunaah-e-kabeera karne se koi momin Islam se khaarij nahi hota) [Sahi Bukhari, Kitaab ur riqaq, Hadees: 5962]
حدیث: عَنْ زَيْدِ بْنِ خَالِدٍ الْجُهَنِىِّ قَالَ صَلَّى بِنَا رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- صَلاَةَ الصُّبْحِ بِالْحُدَيْبِيَةِ فِى إِثْرِ السَّمَاءِ كَانَتْ مِنَ اللَّيْلِ فَلَمَّا انْصَرَفَ أَقْبَلَ عَلَى النَّاسِ فَقَالَ « هَلْ تَدْرُونَ مَاذَا قَالَ رَبُّكُمْ ». قَالُوا اللَّهُ وَرَسُولُهُ أَعْلَمُ. قَالَ « قَالَ أَصْبَحَ مِنْ عِبَادِى مُؤْمِنٌ بِى وَكَافِرٌ فَأَمَّا مَنْ قَالَ مُطِرْنَا بِفَضْلِ اللَّهِ وَرَحْمَتِهِ.فَذَلِكَ مُؤْمِنٌ بِى وَكَافِرٌ بِالْكَوْكَبِ وَأَمَّا مَنْ قَالَ مُطِرْنَا بِنَوْءِ كَذَا وَكَذَا. فَذَلِكَ كَافِرٌ بِى مُؤْمِنٌ بِالْكَوْكَبِ ».
Tarjama: Hazrat Zaid bin Khalid Juhni radhi allaho anho bayan karte hain ke: Hudaibiya me Rasoolullah ﷺ ne hum logon ko subah ki namaz padhayi, us waqt raat ki baarish ka asar baaqi tha. Namaz se faarigh ho kar aap ﷺ ne logon ki taraf mutawajjeh ho kar farmaya: Kya tum jaante ho ke tumhare Rab ne kya farmaya hai? Sahaba kiraam ne arz kiya: Allah aur uske Rasool hi behtar jaante hain. Aap ﷺ ne farmaya ke Allah taala ne farmaya ke mere kuchh bande subah imaan par aur kuchh kufr par karte hain. Jisne kaha ke hum par Allah ke fazal aur uski rehmat se baarish hoti hai to ye mujh par Imaan laane waale hain aur sitaaron ka inkaar karne waale hain aur jisne kaha ke falaan sitaare ki wajah se hum par baarish hoti hai to wo mera inkaar karne waale aur sitaaron par imaan laane waale hain. [Sahih Muslim, Kitaabul Imaan, Hadees: 71]
حدیث :عَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- « لاَ يَزَالُ النَّاسُ يَتَسَاءَلُونَ حَتَّى يُقَالَ هَذَا خَلَقَ اللَّهُ الْخَلْقَ فَمَنْ خَلَقَ اللَّهَ فَمَنْ وَجَدَ مِنْ ذَلِكَ شَيْئًا فَلْيَقُلْ آمَنْتُ بِاللَّهِ ».
Tarjama:Hazrat Abu Huraira radhi allaho anho se riwayat hai ke Rasool-e-Akram ﷺ ne irshad farmaya: Log hamesha ek doosre se sawal karte rahenge yahan tak ke ye kaha jaaega ke makhlooq ko Allah ne paida kiya to Allah ko kisne paida kiya? To jo aadmi apne dil me is tarah ka koi waswasa paae to wo bas ye kahe ke main Allah par imaan laaya. [Sahi Muslim, Kitaabul Imaan, Hadees: 134]
حدیث :عَنْ ابْنِ عُمَرَ قَالَ ذَكَرُوا الشُّؤْمَ عِنْدَ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِنْ كَانَ الشُّؤْمُ فِي شَيْءٍ فَفِي الدَّارِ وَالْمَرْأَةِ وَالْفَرَسِ.
Tarjama:Hazrat Abdullah bin Umar radhi allaho anhuma bayan karte hain ke Huzur Nabi Kareem ﷺ ke paas logon ne nahusat ka tazkira kiya to aap ﷺ ne farmaya: Agar Nahusat kisi cheez me hoti to ghar, aurat aur ghode me hoti. [Sahi Bukhari, Kitabun Nikah, Hadees: 5094]
حدیث :عَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ أَنَّ النَّبِىَّ -صلى الله عليه وسلم- قَالَ « الرَّجُلُ عَلَى دِينِ خَلِيلِهِ فَلْيَنْظُرْ أَحَدُكُمْ مَنْ يُخَالِلُ ».
Tarjama: Hazrat Abu Huraira radhi allaho anho se riwayat hai ke Rasool-e-Akram ﷺ ne irshad farmaya ke aadmi apne dost ke deen par hota hai, to har shakhs ko dekh lena chahiye ke wo kisse dosti kar raha hai. [Sunan Abi Dawood, Hadees 4833]
حدیث : عَنْ عَبْدِ اللَّهِ ابْنَ عُمَرَ يَقُولُ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَيُّمَا امْرِئٍ قَالَ لِأَخِيهِ يَا كَافِرُ فَقَدْ بَاءَ بِهَا أَحَدُهُمَا إِنْ كَانَ كَمَا قَالَ وَإِلَّا رَجَعَتْ عَلَيْهِ ۔
Tarjama:Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anhuma bayan karte hai ki:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Jab koi shakhs apne bhai ko kahta hai “Aye kaafir!” To woh zarur un dono me se kisi ek ki taraf laut-ta hai. Jise kaha gaya agar woh haqiqat me kaafir hai to thik.Nahi to kahne wale ki taraf laut jaata hai.[Sahi Muslim,Hadis No.81]
حدیث :عَنْ عَبْدِ اللهِ بْنِ عَمْرِو بْنِ الْعَاصِ ، قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : إِنَّ الإِيمَانَ لَيَخْلَقُ فِي جَوْفِ أَحَدِكُمْ كَمَا يَخْلَقُ الثَّوْبُ الْخَلِقُ ، فَاسْأَلُوا اللَّهَ أَنْ يُجَدِّدَ الإِيمَانَ فِي قُلُوبِكُمْ .
Tarjama:Hazrat Abdullah bin Amar bin Aas radhi allaho anho bayan karte hain ke Huzur Nabi Kareem ﷺ ne farmaya ke beshak imaan tumhare seeno me isi tarah kharaab hota rehta hai jis tarah kapda bosida aur purana ho jata hai, to tum Allah taala se dua kiya karo ke wo tumhare imaan ko taaza karta rahe. [Al Mustadrak, Kitabul Imaan, Hadees: 5]
حدیث : عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ بَدَأَ الْإِسْلَامُ غَرِيبًا وَسَيَعُودُ كَمَا بَدَأَ غَرِيبًا فَطُوبَى لِلْغُرَبَاءِ ۔
Tarjama:Hazrat-e-Abu Huraira radhi allaho anho bayan karte hai ki:Rasool-e-Akram Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Islam garibo se shuru hua aur qarib hai ki garibo hi ki taraf palat aaega.To garibo ke liye khush-khabri ho.[Sahih Muslim,Hadis No.208]
Share.........
Imaan ki Nishaaniya Allah ki Mohabbat Allah Ta'ala ke liye mohabbat ki fazilat Allah Ta'ala ke saath achchha guman rakhne ki fazilat Mohabbat-e-Rasool ﷺ Sachche Nabi ke Mo'jaze Tazim-e-Nabi ﷺ Nabi ﷺ ke Tabarrukaat Ahle Bait aur Sahaba ki Azmat Qabr me pesh aane wale halaat Qayamat ki nishaaniya Bando ke haq ilm-e-deen ki fazilat Quran Sharif ki azmat-o-fazilat Taalim-e-Quran ki fazilat Ilm-e-Gaib-e-Mustafa ﷺ Hayaat-e-Ambiya Ekhtiyar-e-Mustafa ﷺ Wasila Bid'at Isaal-e-Sawab Murde Bolte Sunte Hain Gustakhon ki pahchan Namaz ki fazilat Namaz chhorne ki muzammat Sunnat aur Nafil namazon ki ginti aur unki fazilat Rafa-e-Yadain Imaam ke pichhe tilawat Namaz-e-Taraweeh ki fazilat aur uski rik'aten Namaz-e-Vitr Do Namazo ko ek saath jama kar ke padhna Namaz-e-Janaza me Salam ek taraf ya dono taraf? Mukammal Namaz Hadees ki raushani me Mard aur aurat ki namaz me farq Namaz ke baad dua Ramzan Aur Roze Wagairah ki fazilat Roza na rakhne ka wabaal Haj aur Umrah ki fazilat Haj na karne ki muzammat