حدیث : عَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- « لِكُلِّ نَبِىٍّ دَعْوَةٌ مُسْتَجَابَةٌ فَتَعَجَّلَ كُلُّ نَبِىٍّ دَعْوَتَهُ وَإِنِّى اخْتَبَأْتُ دَعْوَتِى شَفَاعَةً لأُمَّتِى يَوْمَ الْقِيَامَةِ فَهِىَ نَائِلَةٌ إِنْ شَاءَ اللَّهُ مَنْ مَاتَ مِنْ أُمَّتِى لاَ يُشْرِكُ بِاللَّهِ شَيْئًا ».
Tarjama: Hazrat Abu Huraira radhi allaho anho se riwayat hai ke Rasool-e-Akram ﷺ ne irshad farmaya: Har Nabi ke liye ek dua hoti hai (ummat ke liye) jo zarur qubool ki jaati hai to har Nabi ne jaldi ki aur us dua ko maang liya hai aur maine apni dua ko qayamat ke din apni ummat ki shafa’at ke liye sambhaal kar rakha hai. To in Sha Allah, meri shafa’at meri ummat ke har us aadmi ke liye hogi jo is haal me mara ke Allah ke saath kisi cheez ko shareek na thehrata ho. [Muslim, Kitabul Imaan, Hadees: 512]
حدیث : عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَمْرِو بْنِ الْعَاصِ أَنَّ النَّبِىَّ -صلى الله عليه وسلم- تَلاَ قَوْلَ اللَّهِ عَزَّ وَجَلَّ فِى إِبْرَاهِيمَ ( رَبِّ إِنَّهُنَّ أَضْلَلْنَ كَثِيرًا مِنَ النَّاسِ فَمَنْ تَبِعَنِى فَإِنَّهُ مِنِّى) وَقَالَ عِيسَى عَلَيْهِ السَّلاَمُ ( إِنْ تُعَذِّبْهُمْ فَإِنَّهُمْ عِبَادُكَ وَإِنْ تَغْفِرْ لَهُمْ فَإِنَّكَ أَنْتَ الْعَزِيزُ الْحَكِيمُ) فَرَفَعَ يَدَيْهِ وَقَالَ « اللَّهُمَّ أُمَّتِى أُمَّتِى ». وَبَكَى فَقَالَ اللَّهُ عَزَّ وَجَلَّ يَا جِبْرِيلُ اذْهَبْ إِلَى مُحَمَّدٍ وَرَبُّكَ أَعْلَمُ فَسَلْهُ مَا يُبْكِيكَ فَأَتَاهُ جِبْرِيلُ - عَلَيْهِ الصَّلاَةُ وَالسَّلاَمُ - فَسَأَلَهُ فَأَخْبَرَهُ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- بِمَا قَالَ. وَهُوَ أَعْلَمُ. فَقَالَ اللَّهُ يَا جِبْرِيلُ اذْهَبْ إِلَى مُحَمَّدٍ فَقُلْ إِنَّا سَنُرْضِيكَ فِى أُمَّتِكَ وَلاَ نَسُوءُكَ.
Tarjama: Hazrat Abdullah bin Amar bin Aas radhi allaho anho se riwayat hai ke Rasool-e-Akram ﷺ ne Allah taala ka farmaan jo Hazrat Ibrahim Alaihis salam ke baare me hai, tilawat farmaya (unhone apni ummat ke liye dua karte hue Allah paak ki bargah me arz kiya, jo Quran me hai). “Ae mere Rab! Jhoote maboodon ne bahut se logon ko gumrah kar diya hai to jisne meri pairwi ki to wo mujhse hai aur jisne nafarmaani kiya to tu beshak bada bakhshne wala raham karne wala hai”. Aur us aayat ki tilawat ki jisme Isa Alaihis salam ki dua ka zikr hai jo unhone apni ummat ke liye farmaya. (Unhone dua karte hue kaha) “Agar tu unhe azaab de to beshak ye tere bande hain aur agar tu unhe bakhsh de to tu ghaalib hikmat wala hai”. (In aayaton ki tilawat karne ke baad) Allah ke Rasool ﷺ ne dua ke liye haath uthaya aur kahne lage “Ya Allah! meri ummat, Ya Allah! meri ummat aur aap ﷺ rone lage. To Allah taala ne farmaya: Aye Jibraeel! Mohammad (ﷺ) ke paas jaao, aur tera Rab khoob jaanta hai,(lekin) unse poochho ki Aap ﷺ kyun ro rahe hain? Hazrat Jibraeel Alaihis salam Rasool-e-Kareem ﷺ ki khidmat me aae, phir jo aap ﷺ ne bataya Allah taala ko uski khabar di jab ki Allah taala sabse ziyadah jaanne wala hai. To Allah taala ne farmaya Aye Jibraeel! Mohammad (ﷺ) ki taraf jaao aur unse kah do ke hum aap ﷺ ki ummat ke bare me khush kardenge aur hum aapko naakhush nahi hone denge. [Muslim, Kitabul Imaan: Hadees 512]
حدیث : عَنْ أَبِي مُوسَى الأَشْعَرِيِّ ، قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى الله عَليْهِ وسَلَّمَ : خُيِّرْتُ بَيْنَ الشَّفَاعَةِ ، وَبَيْنَ أَنْ يَدْخُلَ نِصْفُ أُمَّتِي الْجَنَّةَ ، فَاخْتَرْتُ الشَّفَاعَةَ ، لأَنَّهَا أَعَمُّ وَأَكْفَى ، أَتُرَوْنَهَا لِلْمُتَّقِينَ ؟ لاَ ، وَلَكِنَّهَا لِلْمُذْنِبِينَ ، الْخَطَّائِينَ الْمُتَلَوِّثِينَ.
Tarajama: Hazrat Abu Musa Ash’ari radhi allaho anho se riwayat hai ke Rasool-e-Akram ﷺ ne farmaya: Mujhe shafa’at aur aadhi ummat ko Jannat me daakhil karane ke darmiyan ekhtiyaar diya gaya, to maine shafa’at ko ekhtiyaar kiya kyunki wo (sirf aadhi ummat ke liye nahi balki sabhi ke liye) aam hogi. Kya tum log smjhte ho ki ye shafa’at parhezgaaron ke liye hai? Nahi, balki ye gunahgaaro aur ghaltiyon me doobe hue logon ke liye hogi. [Ibne Maajah, Hadees: 4311]
حدیث : عَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ عَنِ النَّبِىِّ -صلى الله عليه وسلم- قَالَ « وَالَّذِى نَفْسُ مُحَمَّدٍ بِيَدِهِ إِنْ عَلَى الأَرْضِ مِنْ مُؤْمِنٍ إِلاَّ أَنَا أَوْلَى النَّاسِ بِهِ فَأَيُّكُمْ مَا تَرَكَ دَيْنًا أَوْ ضَيَاعًا فَأَنَا مَوْلاَهُ وَأَيُّكُمْ تَرَكَ مَالاً فَإِلَى الْعَصَبَةِ مَنْ كَانَ ».
Tarjama:Hazrat Abu Huraira radhi allaho anho se riwayat hai ki Rasool-e-Akram ﷺ ne farmaya: Us zaat ki qasam jiske daste qudrat me meri jaan hai! Zameen par koi aisa momin nahi magar main tamaam logon se ziyadah uske qareeb hun. Is liye tum me se jo qarz ya bache chhor kar inteqal kar jaae to main uska madadgaar hun aur jo maal chhor kar jaae to wo uske ke waarison me job hi ho uska hai. [Muslim, Kitabul Faraiz, Hadees 4244]
حدیث : عَنْ ابْنَ عَبَّاسٍ يُحَدِّثُ أَنَّهُ سَمِعَ رَسُولَ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- يَقُولُ « مَنْ كَانَ لَهُ فَرَطَانِ مِنْ أُمَّتِى أَدْخَلَهُ اللَّهُ بِهِمَا الْجَنَّةَ ».فَقَالَتْ لَهُ عَائِشَةُ فَمَنْ كَانَ لَهُ فَرَطٌ مِنْ أُمَّتِكَ قَالَ « وَمَنْ كَانَ لَهُ فَرَطٌ يَا مُوَفَّقَةُ ». قَالَتْ فَمَنْ لَمْ يَكُنْ لَهُ فَرَطٌ مِنْ أُمَّتِكَ قَالَ « فَأَنَا فَرَطُ أُمَّتِى لَنْ يُصَابُوا بِمِثْلِى ». ِ
Tarjama:Hazrat ibne Abas radhi allaho anhuma se riwayat hai ke unhone Rasool-e-Akram ﷺ ko ye farmate hue suna: Meri ummat se jiske do peshru hon (yani jiska do bachha inteqal kar gaya ho) Allah taala use unki wajah se Jannat me dakhil karega. Is par Hazrat Aisha Siddiqa radhi allaho anha ne arz kiya: Aapki ummat me se jiska ek hi peshru ho to? Aap ﷺ ne farmaya: Jiska ek hi peshru ho use bhi, Aye taufeeq yafta khatoon! Phir unhone poochha: Aap ki ummat me jiska koi peshru hi na ho uska kya hoga? To Aap ﷺ ne farmaya: Main apni ummat ka peshru hun. Kisi ki judaai se unhe aisi takleef nahi hogi jaisi meri judaai se unhe hogi. [Tirmizi, Hadees: 1082]
حدیث : عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ قَالَ جَاءَ رَجُلٌ إِلَى رَسُولِ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- فَقَالَ يَا رَسُولَ اللَّهِ مَتَى السَّاعَةُ قَالَ « وَمَا أَعْدَدْتَ لِلسَّاعَةِ ». قَالَ حُبَّ اللَّهِ وَرَسُولِهِ قَالَ « فَإِنَّكَ مَعَ مَنْ أَحْبَبْتَ ». قَالَ أَنَسٌ فَمَا فَرِحْنَا بَعْدَ الإِسْلاَمِ فَرَحًا أَشَدَّ مِنْ قَوْلِ النَّبِىِّ -صلى الله عليه وسلم- « فَإِنَّكَ مَعَ مَنْ أَحْبَبْتَ ». قَالَ أَنَسٌ فَأَنَا أُحِبُّ اللَّهَ وَرَسُولَهُ وَأَبَا بَكْرٍ وَعُمَرَ فَأَرْجُو أَنْ أَكُونَ مَعَهُمْ وَإِنْ لَمْ أَعْمَلْ بِأَعْمَالِهِمْ.
Tarjama:Hazrat Anas bin Maalik radhi allaho anho se riwayat hai ki ek shakhs Rasool-e-Kram ke paas aaya aur arz kiya: Ya Rasoolallah ﷺ! Qayamat kab aaegi? Aap ﷺ ne farmaya: Tune qayamat ke liye kya tayyari kiya hai? Unhone kaha: Allah aur uske Rasool ki mohabat. Aap ﷺ ne farmaya: Beshak tu unhi ke saath rahega jinse tune mohabat kiya. Hazrat Anas radhi allaho anho kahte hain ke Islam laane ke baad jitni khushi Nabi ﷺ ki is baat se hui utni khushi kabhi nahi hui. Main Allah Taala se mohabat karta hun aur uske Rasool ﷺ se aur Hazrat Abu Bakr o Umar radhi allaho anhuma se, aur main ummeed karta hun main unhi ke saath rahunga agarche maine unki tarah amal nahi kiya. [Muslim, Hadees 6881]
حدیث : عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ مُغَفَّلٍ قَالَ قَالَ رَجُلٌ لِلنَّبِىِّ -صلى الله عليه وسلم- يَا رَسُولَ اللَّهِ وَاللَّهِ إِنِّى لأُحِبُّكَ. فَقَالَ « انْظُرْ مَاذَا تَقُولُ ». قَالَ وَاللَّهِ إِنِّى لأُحِبُّكَ. فَقَالَ « انْظُرْ مَاذَا تَقُولُ ». قَالَ وَاللَّهِ إِنِّى لأُحِبُّكَ. ثَلاَثَ مَرَّاتٍ فَقَالَ « إِنْ كُنْتَ تُحِبُّنِى فَأَعِدَّ لِلْفَقْرِ تِجْفَافًا فَإِنَّ الْفَقْرَ أَسْرَعُ إِلَى مَنْ يُحِبُّنِى مِنَ السَّيْلِ إِلَى مُنْتَهَاهُ ».
Tarjama: Hazrat Abdullah bin Mughaffal radhi anho se riwayat hai ki ek shakhs ne Nabi ﷺ se kaha: Ya Rasoolallah ﷺ! Beshak main aap se mohabbat karta hun. Aap ﷺ ne farmaya: Achhi tarah soch lo ke tum kya keh rahe ho. Aap ﷺ ne use teen martaba ye kaha aur unhone teeno martaba yahi jawaab diya ke “Beshak main aap se mohabbat karta hun” to Aap ﷺ ne farmaya: Agar tu mujhse mohabat karta hai to khud ko faqr-o-faaqa ke liye tayyar karo kyunki mujhse mohabbat karne wale ki taraf faqr usse bhi zyada tezi se aata hai jitni tezi se paani upar se neeche ki taraf aata hai. [Tirmizi, Hadees:2523]
حدیث : عَنْ سَعِيدِ بْنِ الْمُسَيَّبِ قَالَ قَالَ أَنَسُ بْنُ مَالِكٍ قَالَ لِى رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- « يَا بُنَىَّ إِنْ قَدَرْتَ أَنْ تُصْبِحَ وَتُمْسِىَ لَيْسَ فِى قَلْبِكَ غِشٌّ لأَحَدٍ فَافْعَلْ ». ثُمَّ قَالَ لِى « يَا بُنَىَّ وَذَلِكَ مِنْ سُنَّتِى وَمَنْ أَحْيَا سُنَّتِى فَقَدْ أَحَبَّنِى. وَمَنْ أَحَبَّنِى كَانَ مَعِى فِى الْجَنَّةِ ».
Tarjama: Hazrat Saeed bin Musayyab kahte hain ke Hazrat Anas bin Maalik radhi allah anho ne bayan kiya ki: Mujh se Rasool-e-Kareem ﷺ ne farmaya: Aye mere pyare bete! Agar tu taaqat rakhta hai ki subah aur sham is haal me karo ke tumhare dil me kisi ke liye koi keena na ho to aisa karo. Phir aap ﷺ ne mujhse farmaya: Aye bete! Ye meri sunnat hai aur jisne meri sunnat ko zinda kiya to usne mujhse mohabbat kiya aur jisne mujhse mohabat kiya, wo mere saath Jannat me hoga. [Tirmizi, Hadees:2894]
حدیث : عَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- « إِنَّمَا مَثَلِى وَمَثَلُ أُمَّتِى كَمَثَلِ رَجُلٍ اسْتَوْقَدَ نَارًا فَجَعَلَتِ الدَّوَابُّ وَالْفَرَاشُ يَقَعْنَ فِيهِ فَأَنَا آخِذٌ بِحُجَزِكُمْ وَأَنْتُمْ تَقَحَّمُونَ فِيهِ ».
Tarjama: Hazrat Abu Huraira radhi allaho anho se riwayat hai, Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Meri misaal aur meri ummat ki misaal aisi hai, jaise kisi ne aag jalaai phir usme keede aur patange girne lage to main tumhari kamar ko pakde hue hun aur tum be-soche samjhe andha-dhund us me gir padte ho. [Muslim, Kitabul Fazail, Hadees: 6095]
Share.........
Imaan Imaan ki Nishaaniya Allah ki Mohabbat Allah Ta'ala ke liye mohabbat ki fazilat Allah Ta'ala ke saath achchha guman rakhne ki fazilat Sachche Nabi ke Mo'jaze Tazim-e-Nabi ﷺ Nabi ﷺ ke Tabarrukaat Ahle Bait aur Sahaba ki Azmat Qabr me pesh aane wale halaat Qayamat ki nishaaniya Bando ke haq ilm-e-deen ki fazilat Quran Sharif ki azmat-o-fazilat Taalim-e-Quran ki fazilat Ilm-e-Gaib-e-Mustafa ﷺ Hayaat-e-Ambiya Ekhtiyar-e-Mustafa ﷺ Wasila Bid'at Isaal-e-Sawab Murde Bolte Sunte Hain Gustakhon ki pahchan Namaz ki fazilat Namaz chhorne ki muzammat Sunnat aur Nafil namazon ki ginti aur unki fazilat Rafa-e-Yadain Imaam ke pichhe tilawat Namaz-e-Taraweeh ki fazilat aur uski rik'aten Namaz-e-Vitr Do Namazo ko ek saath jama kar ke padhna Namaz-e-Janaza me Salam ek taraf ya dono taraf? Mukammal Namaz Hadees ki raushani me Mard aur aurat ki namaz me farq Namaz ke baad dua Ramzan Aur Roze Wagairah ki fazilat Roza na rakhne ka wabaal Haj aur Umrah ki fazilat Haj na karne ki muzammat