عَنْ أَنَسٍ أَنَّ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ - رضى الله عنه - كَانَ إِذَا قَحَطُوا اسْتَسْقَى بِالْعَبَّاسِ بْنِ عَبْدِ الْمُطَّلِبِ فَقَالَ اللَّهُمَّ إِنَّا كُنَّا نَتَوَسَّلُ إِلَيْكَ بِنَبِيِّنَا فَتَسْقِينَا وَإِنَّا نَتَوَسَّلُ إِلَيْكَ بِعَمِّ نَبِيِّنَا فَاسْقِنَا . قَالَ فَيُسْقَوْنَ .
Tarjama:Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki:Jab log Qahat (Yani bearish ke na hone ki parishani) me phans gaye to Hazrat-e-Umar radhi allaho anho ne Hazrat-e-Abbas bin Abdul muttalib radhi allaho anho ke wasile se is tarah dua maanga.Aye Allah!Beshak ham apne Nabi ke wasile se dua maangte the to hame bearish ata kiya jaata tha.Aur ab ham apne nabi ke chacha ke wasile se dua karte hain ki to hame bearish ata farma.Raawi kahte hain ki to bearish hui.(Sahih Bukhari,Hadis No.1010)
عَنْ عُثْمَانَ بْنِ حُنَيْفٍ ، أَنَّ رَجُلاً ضَرِيرَ الْبَصَرِ أَتَى النَّبِيَّ صَلَّى الله عَليْهِ وسَلَّمَ فَقَالَ : ادْعُ اللَّهَ لِي أَنْ يُعَافِيَنِي , فَقَالَ : إِنْ شِئْتَ أَخَّرْتُ لَكَ وَهُوَ خَيْرٌ ، وَإِنْ شِئْتَ دَعَوْتُ , فَقَالَ : ادْعُهْ ، فَأَمَرَهُ أَنْ يَتَوَضَّأَ فَيُحْسِنَ وُضُوءَهُ ، وَيُصَلِّيَ رَكْعَتَيْنِ ، وَيَدْعُوَ بِهَذَا الدُّعَاءِ : اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ ، وَأَتَوَجَّهُ إِلَيْكَ بِمُحَمَّدٍ نَبِيِّ الرَّحْمَةِ ، يَا مُحَمَّدُ , إِنِّي قَدْ تَوَجَّهْتُ بِكَ إِلَى رَبِّي فِي حَاجَتِي هَذِهِ لِتُقْضَى ، اللَّهُمَّ فَشَفِّعْهُ فِيَّ.
Tarjama: Hazrat-e-Usman bin Hanif radhi allaho anho se marwi hai ki ek naabina(blind) shaks nabi kareem sallallaho alaihe wasallam ke paas aaya aur usne kaha : mere liye Allah ta'ala se dua kijiye ke Allah ta'ala mujhe aafiyat bakhshe(yani thik karde) to huzur sallallaho alaihe wasallam ne kaha :Agar tum chaaho to sabr kar lo woh tumhare liye behtar hoga aur agar chaaho to dua kardon, toh unhone kaha dua kardijiye, toh huzur sallallaho alaihe wasallam ne hukm diya ke achchhi tarah wazu karke 2 rak'at namaz padho aur is tarah se dua karo : Aye allah ! Main tujhse maangta hun aur teri taraf rehmat wale nabi Mohammad sallallaho alaihe wasallam ke wasile se mutawajjeh hota hun, Ya Mohammad sallallaho alaihe wasallam!beshak main ne aap ke wasile se apne rab ki taraf lau laga'ee apni is zarurat mein taaki meri zaroorat puri ho jaaye,Aye allah ! Tu meri is zaroorat ko puri farma de" (Ibn-e-majah,Hadith No.1385 Tirmizi,Hadith No. 3878 )
عَنْ عُمَرَ بْنِ الْخَطَّابِ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ ، قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : لَمَّا اقْتَرَفَ آدَمُ الْخَطِيئَةَ قَالَ : يَا رَبِّ أَسْأَلُكَ بِحَقِّ مُحَمَّدٍ لَمَا غَفَرْتَ لِي ، فَقَالَ اللَّهُ : يَا آدَمُ ، وَكَيْفَ عَرَفْتَ مُحَمَّدًا وَلَمْ أَخْلُقْهُ ؟ قَالَ : يَا رَبِّ ، لأَنَّكَ لَمَّا خَلَقْتَنِي بِيَدِكَ وَنَفَخْتَ فِيَّ مِنْ رُوحِكَ رَفَعْتُ رَأْسِي فَرَأَيْتُ عَلَىَ قَوَائِمِ الْعَرْشِ مَكْتُوبًا لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ مُحَمَّدٌ رَسُولُ اللهِ فَعَلِمْتُ أَنَّكَ لَمْ تُضِفْ إِلَى اسْمِكَ إِلاَّ أَحَبَّ الْخَلْقِ إِلَيْكَ ، فَقَالَ اللَّهُ : صَدَقْتَ يَا آدَمُ ، إِنَّهُ لاَُحِبُّ الْخَلْقِ إِلَيَّ ادْعُنِي بِحَقِّهِ فَقَدْ غَفَرْتُ لَكَ وَلَوْلاَ مُحَمَّدٌ مَا خَلَقْتُكَ.ْ
Tarajama: Hazrat-e-Umar radhi anho bayan karte hain ki:Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jab Hazrat-e-Aadam alaihissalam se ijtehaadi khata hui.To unhone dua kiya:Aye mere rab!Main tujh se Muhammad Sallallaho alaihe wasallam ke wasile se dua karta honk i meri magfirat farma.Is par Allah Ta’ala ne farmaya ki:Aye Aadam!Tune Muhammad ko kis tarah pehchan liya jab ki abhi main ne unhe paida bhi nahi kiya? Hazrat-e-Aadam alaihissalam ne arz kiya:Maula! Jab tu ne mujhe paida kiya aur mere andar rooh phonki to main ne apna sar uthaya to arsh ke paae par “Laa ilaaha illallahu Muhammad rasoolullah”. Likha hua dekha.Main ne samajh liya ki tere naam ke saath usi ka naam ho sakta hai jo tamaam makhluq mein tujhe sab se zyada pyara hai.Is par Allah Ta’ala ne farmaya:Aye Aadam!Tune sach kaha, Mujhe saari makhluq mein sab se zyada wahi mahboob hain.Aur jab tum ne un ke wasile se dua kiya hai to main ne tujhe maaf kar diya. Aur agar Muhammad (ﷺ) nahi hote to main tujhe bhi paida nahi karta.(Ye Hadis sahih hai.) (Al-Mustadrak,Hadis No.4228)
عَنِ ابْنِ عُمَرَ أَنَّهُ قَالَ : اسْتَسْقَى عُمَرُ بْنُ الْخَطَّابِ عَامَ الرَّمَادَةِ بِالْعَبَّاسِ بْنِ عَبْدِ الْمُطَّلِبِ ، فَقَالَ : اللَّهُمَّ هَذَا عَمُّ نَبِيِّكَ الْعَبَّاسُ ، نَتَوَجَّهُ إِلَيْكَ بِهِ فَاسْقِنَا ، فَمَا بَرِحُوا حَتَّى سَقَاهُمُ اللَّهُ ، قَالَ : فَخَطَبَ عُمَرُ النَّاسَ ، فَقَالَ : أَيُّهَا النَّاسُ ، إِنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَانَ يَرَى لِلْعَبَّاسِ مَا يَرَى الْوَلَدُ لِوَالِدِهِ ، يُعَظِّمُهُ ، وَيُفَخِّمُهُ ، وَيَبَرُّ قَسَمَهُ فَاقْتَدُوا أَيُّهَا النَّاسُ بِرَسُولِ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فِي عَمِّهِ الْعَبَّاسِ ، وَاتَّخِذُوهُ وَسِيلَةً إِلَى اللهِ عَزَّ وَجَلَّ فِيمَا نَزَلَ بِكُمْ.
Tarjama:Hazrat-e-Abdullah bin Umr radhi allaho anhuma se marwi hai ki : hazrat-e-Umar radhi allaho anho ne Qahat wa halakat ke saal hazrat-e- Abbas bin Abdul'muttalib ko waseela bana kar Allah ta'ala se barish ki dua mangi to kaha "Aye Allah !ye tere nabi ke chacha Abbas hain unke waseele se ham teri taraf mutawajjeh hote hain tu hame barish ata farma" to Allah ta'ala ne barish ata farmaya. Raawi kehte hain,phir hazrat-e-Umar radhi allaho anho ne logo ko khutaba diya to kaha : Aye logo ! Huzur sallallaho alaihe wasallam, hazrat-e-Abbas radhi allaho anho ko waise hi maqam o haisiyat dete the jaise beta apne baap ko deta hai aap sallallaho alaihe wasallam inki tazeem o tauqeer karte the aur inki qasmon ko pura karte the, logon ! Tum bhi hazrat-e-Abbas radhi allaho anho ke baare mein huzur nabi kareem sallallaho alaihe wasallam ki pairwi karo aur unko Allah ta'ala ki bargah me waseela banao taake woh tum par barish barsaae.(Al- mustadrak, hadith No.5438)
حدثنا أبو الجوزاء أوس بن عبد الله قال : قحط أهل المدينة قحطا شديدا فشكوا إلى عائشة فقالت انظروا قبر النبي صلى الله عليه و سلم فاجعلوا منه كووا إلى السماء حتى لا يكون بينه وبين السماء سقف قال ففعلوا فمطرنا مطرا حتى نبت العشب وسمنت الإبل حتى تفتقت من الشحم فسمي عام الفتق ِ
Tarjama: Hazrat-e-Abu'Jauza Aus bin Abdullah se riwayat hai ki madina sharif ke log sakht Qahat mein mubtala hogaye ,(yani barish na hone ki parishani mein phans gaye) to un logo ne hazrat-e- Ayesha radhi allaho anha se shikayat ki to hazrat-e-Ayesha radhi allaho anha ne kaha : huzur nabi kareem sallallaho alaihe wasallam ke mazaar par jaao aur usse ek khidki (suraakh ya raushan daan ) aasmaan ki taraf is tarah khol do ki Huzur ki Qabr-e-mubarak aur aasmaan ke darmiyan koi parda na rahe, raawi kehte hain ki logo ne aisa hi kiya toh khoob barish hui yahan tak ki khoob haryali ug ga'ee aur us saal oont (camels) itne moote ho gaye ki lagta tha ki charbi se phat jaayenge is liye us saal ka naam hi "pait phatne" ka saal rakh diya gaya. (Sunan Darmi,hadith No.92)
عَنْ أَبِي صَالِحٍ عَنْ مَالِكِ الدَّارِ , قَالَ : وَكَانَ خَازِنَ عُمَرَ عَلَى الطَّعَامِ , قَالَ : أَصَابَ النَّاسَ قَحْطٌ فِي زَمَنِ عُمَرَ , فَجَاءَ رَجُلٌ إِلَى قَبْرِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم , فَقَالَ : يَا رَسُولَ اللهِ , اسْتَسْقِ لأُمَّتِكَ فَإِنَّهُمْ قَدْ هَلَكُوا , فَأَتَى الرَّجُلَ فِي الْمَنَامِ فَقِيلَ لَهُ : ائْتِ عُمَرَ فَأَقْرِئْهُ السَّلامَ , وَأَخْبِرْهُ أَنَّكُمْ مُسْتَقِيمُونَ وَقُلْ لَهُ : عَلَيْك الْكَيْسُ , عَلَيْك الْكَيْسُ , فَأَتَى عُمَرَ فَأَخْبَرَهُ فَبَكَى عُمَرُ , ثُمَّ قَالَ : يَا رَبِّ لاَ آلُو إلاَّ مَا عَجَزْت عَنْهُ.
Tarjama:Malik al daar jo hazrat-e-Umar radhi allaho anho ke wazir-e-khuraak(food minister) the woh bayan karte hain ki: hazrat-e-Umar radhi allaho anho ke zamane mein logo par Qahat aaya toh ek shaks (sahabi e rasool hazrat bilal bin haris mazni ) huzur sallallaho alaihe wasallam ke qabr e mubarak par aaye aur arz kiya : Ya Rasoolallah ! Apni ummat ke liye baarish ki dua kijiye kyunke woh Qahat se halaak-o-barbaad ho rahi hain , Nabi kareem sallallaho alaihe wasallam unke khwab mein tashrif laae aur farmaya ki Uamar ke paas jao, unko salam kaho aur ye khabar do ke tum par yaqinan baarish hogi aur unse kaho ke tum par sujh bhujh laazim hai,phir woh hazrat-e-Umar radhi allaho anho ke paas gaye aur unko ye khabar diya to hazrat-e-Umar radhi allaho anho rone lage aur kaha : Aye allah ! Main susti nahi karta magar ye ke main aajiz ho jaaon. hafiz ibn e kasir ne kaha ki yeh sahi asnaad se marwi hai.(Musannaf ibn e abi shaiba vol :12 page :32 ,Hadees No.32665. al-bidaya wal-nihaya vol :7 page :91,92)
عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عُمَرَ - رضى الله عنهما - عَنِ النَّبِىِّ - صلى الله عليه وسلم - قَالَ « بَيْنَمَا ثَلاَثَةُ نَفَرٍ يَمْشُونَ أَخَذَهُمُ الْمَطَرُ ، فَأَوَوْا إِلَى غَارٍ فِى جَبَلٍ ، فَانْحَطَّتْ عَلَى فَمِ غَارِهِمْ صَخْرَةٌ مِنَ الْجَبَلِ فَانْطَبَقَتْ عَلَيْهِمْ ، فَقَالَ بَعْضُهُمْ لِبَعْضٍ انْظُرُوا أَعْمَالاً عَمِلْتُمُوهَا صَالِحَةً لِلَّهِ فَادْعُوا اللَّهَ بِهَا لَعَلَّهُ يُفَرِّجُهَا عَنْكُمْ . قَالَ أَحَدُهُمُ اللَّهُمَّ إِنَّهُ كَانَ لِى وَالِدَانِ شَيْخَانِ كَبِيرَانِ ، وَلِى صِبْيَةٌ صِغَارٌ كُنْتُ أَرْعَى عَلَيْهِمْ ، فَإِذَا رُحْتُ عَلَيْهِمْ حَلَبْتُ ، فَبَدَأْتُ بِوَالِدَىَّ أَسْقِيهِمَا قَبْلَ بَنِىَّ ، وَإِنِّى اسْتَأْخَرْتُ ذَاتَ يَوْمٍ فَلَمْ آتِ حَتَّى أَمْسَيْتُ ، فَوَجَدْتُهُمَا نَامَا ، فَحَلَبْتُ كَمَا كُنْتُ أَحْلُبُ ، فَقُمْتُ عِنْدَ رُءُوسِهِمَا ، أَكْرَهُ أَنْ أُوقِظَهُمَا ، وَأَكْرَهُ أَنْ أَسْقِىَ الصِّبْيَةَ ، وَالصِّبْيَةُ يَتَضَاغَوْنَ عِنْدَ قَدَمَىَّ ، حَتَّى طَلَعَ الْفَجْرُ ، فَإِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنِّى فَعَلْتُهُ ابْتِغَاءَ وَجْهِكَ فَافْرُجْ لَنَا فَرْجَةً نَرَى مِنْهَا السَّمَاءَ . فَفَرَجَ اللَّهُ فَرَأَوُا السَّمَاءَ . وَقَالَ الآخَرُ اللَّهُمَّ إِنَّهَا كَانَتْ لِى بِنْتُ عَمٍّ أَحْبَبْتُهَا كَأَشَدِّ مَا يُحِبُّ الرِّجَالُ النِّسَاءَ ، فَطَلَبْتُ مِنْهَا فَأَبَتْ حَتَّى أَتَيْتُهَا بِمِائَةِ دِينَارٍ ، فَبَغَيْتُ حَتَّى جَمَعْتُهَا ، فَلَمَّا وَقَعْتُ بَيْنَ رِجْلَيْهَا قَالَتْ يَا عَبْدَ اللَّهِ اتَّقِ اللَّهَ ، وَلاَ تَفْتَحِ الْخَاتَمَ إِلاَّ بِحَقِّهِ ، فَقُمْتُ ، فَإِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنِّى فَعَلْتُهُ ابْتِغَاءَ وَجْهِكَ فَافْرُجْ عَنَّا فَرْجَةً . فَفَرَجَ . وَقَالَ الثَّالِثُ اللَّهُمَّ إِنِّى اسْتَأْجَرْتُ أَجِيرًا بِفَرَقِ أَرُزٍّ ، فَلَمَّا قَضَى عَمَلَهُ قَالَ أَعْطِنِى حَقِّى . فَعَرَضْتُ عَلَيْهِ ، فَرَغِبَ عَنْهُ ، فَلَمْ أَزَلْ أَزْرَعُهُ حَتَّى جَمَعْتُ مِنْهُ بَقَرًا وَرَاعِيهَا فَجَاءَنِى فَقَالَ اتَّقِ اللَّهَ . فَقُلْتُ اذْهَبْ إِلَى ذَلِكَ الْبَقَرِ وَرُعَاتِهَا فَخُذْ . فَقَالَ اتَّقِ اللَّهَ وَلاَ تَسْتَهْزِئْ بِى .فَقُلْتُ إِنِّى لاَ أَسْتَهْزِئُ بِكَ فَخُذْ . فَأَخَذَهُ ، فَإِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنِّى فَعَلْتُ ذَلِكَ ابْتِغَاءَ وَجْهِكَ فَافْرُجْ مَا بَقِىَ ، فَفَرَجَ اللَّهُ » .
Tarjama: Hazrat Abdullah-Bin-Umar Radi-Allahu ‘anhu se rawayat hai, Rasool-Allah sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam ne farmaya:- Teen(3) Aadmi ja rahe the, itne me barish hone lagi to wo pahad me ek GAAR tha isme ghoos gaye, Pahad par se ek pather gira aur GAAR ke monh par aagaya aur monh band ho gaya, Ek ne dosre se kaha:- apne apne neak Aamaal ka khayal karo jo ALLAH ke liye ho, aur DUA maango in Aamaal ke WASILE se shayed Allah-Taala is pather ko khool de tumhare liye,To inme se Ek ne kaha:- Mere MAA-BAAP budhe zayef the aur meri Biwi(wife) aur mere chote chote ladke the, ke main inke waste Bhed, Bakriyan charaya karta tha, to inka Dodh(milk) duhta tha aur sabse pahele apne MAA_BAAP se shuru karta tha, to inko apne ladko se pahele pilata tha, albatta ek din mujhko bakriyon ka chara bahut door mila so main ghar na aaya yahan tak ke mujhko aane me shaam ho gayi to maine apne MAA-BAAP ko sota hua paya, phir maine doodh duha jis tarah duha karta tha, phir main doodh(milk) laaya aur apne MAA-BAAP ke sar ke pass khada hua, mujhko bura laga ke main inko neend se jagaon aur bura laga ke inse pahele ladko ko pilaon , aur ladke bhook ke mare shoor kar rahe the mere dono pairo(legs) ke pass, so issi tarah barabar mera aur inka haal raha subah tak(yani main apne MAA-BAAP ke intejar me doodh liye raat bhar khada raha) aur ladke rote chillate rahe, na maine piya aur na ladko ko pilaya, so Elaahi agar tu janta hai ke aisi Mahnat aur Moshaqat teri razamandi ke waste maine ki thi to is pather se ek rozan(khidki) khool de jisse hum aasmaan ko dekhe to Allah-Taala ne isme ek Rozan khool diya aur unhone isme se Aasmaan ko dekha,
Dosre ne kaha:- Elaahi baat ye hai ki mere chacha ki ek Beti thi, jis se main mohabbat karta tha jis tarah Mard-Aurat karte hain(yani main iska kamaal Ashiq tha) so iski taraf mayel ho kar maine iski zaat ko chaha(yani haraam kaaari ka irada kiya) usne nahi mana aur kaha jab tak 100 Ashrafiya na dega main razi nahi hungi, maine kosis ki aur 100 Ashrafiya kama kar iske pass laya, Jab main ne iski taang uthai( yani jimaa ke irade se) usne kaha:- Aye Allah ke bande! dar ALLAH se aur mat tood mahar ko magar haq se(yani begair Nikah ke bakarat mat zayel kar) to main uth khada hua iske upper se – Elaahi agar tu janta hai ke ye kaam maine teri razamandi ke liye kiya to ek Rozan aur khool de hamare liye, Allah-Taala ne aur ek Rozan khool diya yani wo Rozan bada ho gaya,
Teesre ne kaha:- Elaahi maine ek sakhs se mazdoori li, ek Farq chawal par(yani wo bartan jisme 16 ratal aanaj aata hai) jab wo kaam kar chuka usne kaha: mera haq de maine ek Farq bhar chawal uske samne rakhi, usne nahi liya phir maine in chawalon ko bota raha, usme barkat hui yahan tak ke maine is maal se Gaaye aur Bael(cow & bull) aur inke charaane wale gulaam khreed liya, phir wo majdoor mere pass aaya aur kahne laga: Allah se dar aur mera haq mat maar, maine kaha ja aur Gaaye Bael(Cow-Bull) aur iske charane wale sab tu lele—wo bola: Allah Jabbar se dar aur mujhse mazak mat kar, maine kaha main mazak nahi karta, wo Gaaye Bael(Cow-Bull) aur charane wale ko le liya, phir agar tu janta hai ke maine teri razamandi ke liye kiya to jitna baqi hai Rozan wo bhi khool de, Allah-Taala ne isko bhi khool diya aur wo log GAAR se bahar nikal gaye.[Sahih Bukhari,Hadees No.2333]
Share.........
Imaan Imaan ki Nishaaniya Allah ki Mohabbat Allah Ta'ala ke liye mohabbat ki fazilat Allah Ta'ala ke saath achchha guman rakhne ki fazilat Mohabbat-e-Rasool ﷺ Sachche Nabi ke Mo'jaze Tazim-e-Nabi ﷺ Nabi ﷺ ke Tabarrukaat Ahle Bait aur Sahaba ki Azmat Qabr me pesh aane wale halaat Qayamat ki nishaaniya Bando ke haq ilm-e-deen ki fazilat Quran Sharif ki azmat-o-fazilat Taalim-e-Quran ki fazilat Ilm-e-Gaib-e-Mustafa ﷺ Hayaat-e-Ambiya Ekhtiyar-e-Mustafa ﷺ Bid'at Isaal-e-Sawab Murde Bolte Sunte Hain Gustakhon ki pahchan Namaz ki fazilat Namaz chhorne ki muzammat Sunnat aur Nafil namazon ki ginti aur unki fazilat Rafa-e-Yadain Imaam ke pichhe tilawat Namaz-e-Taraweeh ki fazilat aur uski rik'aten Namaz-e-Vitr Do Namazo ko ek saath jama kar ke padhna Namaz-e-Janaza me Salam ek taraf ya dono taraf? Mukammal Namaz Hadees ki raushani me Mard aur aurat ki namaz me farq Namaz ke baad dua Ramzan Aur Roze Wagairah ki fazilat Roza na rakhne ka wabaal Haj aur Umrah ki fazilat Haj na karne ki muzammat