حدیث: عَنْ عُثْمَانَ بْنِ عَفَّانَ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- قَالَ : خَيْرُكُمْ مَنْ تَعَلَّمَ الْقُرْآنَ وَعَلَّمَهُ.
Tarjama: Hazrat Usman bin Affan radhi Allaho anho bayan karte hain ki:Rasoolullah Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Tum me sab se behtar woh shakhs hai jo Quran sikhe aur sikhaaye.[Tirmizi,Hadees No.3154]
حدیث: عَنْ عَلِيِّ بْنِ أَبِي طَالِبٍ ، قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى الله عَليْهِ وسَلَّمَ : مَنْ قَرَأَ الْقُرْآنَ وَحَفِظَهُ ، أَدْخَلَهُ اللَّهُ الْجَنَّةَ ، وَشَفَّعَهُ فِي عَشَرَةٍ مِنْ أَهْلِ بَيْتِهِ ، كُلُّهُمْ قَدِ اسْتوْجَبَ النَّارَ.
Tarjama:Hazrat Maula Ali radhi Allaho anho bayan karte hain ki:Rasoolullah Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Jis ne Quran padha aur use yaad kar liya, Allah Ta’ala use jannat me daakhil karega.Aur uske ghar walo me se 10 aise logo ke baare me uski shafa’at qabool karega jin par jahannam wajib ho chuki hogi.[Ibn-e-Majah,Hadees No.216]
حدیث: عَنْ أَبِي ذَرٍّ ، قَالَ : قَالَ لِي رَسُولُ اللهِ صَلَّى الله عَليْهِ وسَلَّمَ : يَا أَبَا ذَرٍّ ، لأَنْ تَغْدُوَ فَتَعَلَّمَ آيَةً مِنْ كِتَابِ اللهِ ، خَيْرٌ لَكَ مِنْ أَنْ تُصَلِّيَ مِئَةَ رَكْعَةٍ ، وَلأَنْ تَغْدُوَ فَتَعَلَّمَ بَابًا مِنَ الْعِلْمِ ، عُمِلَ بِهِ أَوْ لَمْ يُعْمَلْ ، خَيْرٌ مِنْ أَنْ تُصَلِّيَ أَلْفَ رَكْعَةٍ.
Tarajama: Hazrat Abu Zar radhi Allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Nabi kareem Sallallahu alaihe wasallam ne mujh se farmaaya: Abu Zar! Agar tum subah ko Quran ki ek aayat bhi sikh lo to tumhaare liye 100 rik’at nafil namaz padhne se behtar hai.Aur agar tum subah koi lm ka ek baab (chapter) sikh lo,chaahe us par amal kiya jaae ya nahi kiya jaae,To ye is se behtar hai ki tum ek hazaar rik’at padho.[Ibn-e-Majah,Hadees No.219]
حدیث: عَنْ عُقْبَةَ بْنِ عَامِرٍ قَالَ خَرَجَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- وَنَحْنُ فِى الصُّفَّةِ فَقَالَ : أَيُّكُمْ يُحِبُّ أَنْ يَغْدُوَ كُلَّ يَوْمٍ إِلَى بُطْحَانَ أَوْ إِلَى الْعَقِيقِ فَيَأْتِىَ مِنْهُ بِنَاقَتَيْنِ كَوْمَاوَيْنِ فِى غَيْرِ إِثْمٍ وَلاَ قَطْعِ رَحِمٍ ».فَقُلْنَا يَا رَسُولَ اللَّهِ نُحِبُّ ذَلِكَ. قَالَ « أَفَلاَ يَغْدُو أَحَدُكُمْ إِلَى الْمَسْجِدِ فَيَعْلَمَ أَوْ يَقْرَأَ آيَتَيْنِ مِنْ كِتَابِ اللَّهِ عَزَّ وَجَلَّ خَيْرٌ لَهُ مِنْ نَاقَتَيْنِ وَثَلاَثٌ خَيْرٌ لَهُ مِنْ ثَلاَثٍ وَأَرْبَعٌ خَيْرٌ لَهُ مِنْ أَرْبَعٍ وَمِنْ أَعْدَادِهِنَّ مِنَ الإِبِلِ.
Tarjama:Hazrat Uqba bin Aamir radhi Allaho anho bayan karte hain ki:Rasoolullah Sallallahu alaihe wasallam nikle aur ham log Ashaab-e-Suffa me the,To Aap Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Tum me se kaun chaahta hai ki har din subah ko Bathaan ya Aqeeq ko jaae (Ye dono bazaar the Madina me) aur wahaan se do oontniya bade bade kohaan wali laae,begair kisi gunaah ke aur begair kisi rishtedaar ki haq-talfi kiye hue.To ham ne arz kiya:Ya Rasoolallah Sallallahu alaihe wasallam! Ham sab isko chaahte hain.To Aap Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Phir kyun nahi jaata tum me se hare k masjid ko aur kyun nahi sikhtaa ya nahi padhta do aayaten Allah ki kitaab ki jo behtar hon uske liye do oont-niyo se aur 3 behtar hain 3 oont-niyo se.Aur 4 behtar hain 4 oont-niyo se aur isi tarah jitni aayaten hon utni oont-niyo se behtar hain.[Sahih Muslim,Hadees No.1909]
حدیث: عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ، قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى الله عَليْهِ وسَلَّمَ : وَمَا اجْتَمَعَ قَوْمٌ فِي بَيْتٍ مِنْ بُيُوتِ اللهِ ، يَتْلُونَ كِتَابَ اللهِ ، فَيَتَدَارَسُونَهُ بَيْنَهُمْ ، إِلاَّ حَفَّتْهُمُ الْمَلاَئِكَةُ ، وَنَزَلَتْ عَلَيْهِمُ السَّكِينَةُ ، وَغَشِيَتْهُمُ الرَّحْمَةُ ، وَ ذَكَرَهُمُ اللَّهُ فِيمَنْ عِنْدَهُ ، وَمَنْ أَبْطَأَ بِهِ عَمَلُهُ , لَمْ يُسْرِعْ بِهِ نَسَبُهُ.
Tarjama: Hazrat Abu Huraira radhi Allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Nabi kareem Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Jab bhi Allah Ta’ala ke kisi ghar me (yani Masjid me) kuchh log jama ho kar Quran sharif padhte hain ya ek dusre ko padhaate hain.To farishte unhe gher lete hain,Aur un par sakinat naazil hoti hai,Unhe rahmat dhaanp leti hai.Aur Allah Ta’ala unka zikr apne muqarrab farishto me karta hai. Aur jiske amal ne use pichchhe kar diya,To aakhirat me uska nasab use aage nahi kar sakta.[Ibn-e-Majah,Hadees No.225]
حدیث: عَنْ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: " مَنْ قَرَأَ الْقُرْآنَ وَعَمِلَ بِمَا فِيهِ أُلْبِسَ وَالِدَاهُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ تَاجًا، ضَوْءُهُ أَحْسَنُ مِنْ ضَوْءِ الشَّمْسِ فِي بُيُوتِ الدُّنْيَا لَوْ كَانَتْ فِيهِ، فَمَا ظَنُّكُمْ بِالَّذِي عَمِلَ بِهِ ؟ " ْ
Tarjama:Huzur rahmat-e-Aalam Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Jis ne Quran padha aur jo kuchh usme hai uske mutaabiq amal kiya to qayamat ke din uske waalid ko aisa nooraani taaj pahnaaya jaaega jiski raushani suraj ki raushani se bhi ziyadah behtar hogi,To tumhara uske baare me kya khayal hai jis ne uske mutaabiq amal kiya.[Sho’bul imaan,Hadees No.1797]
حدیث: عَنْ عَائِشَةَ قَالَتْ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ -صلى الله عليه وسلم- الْمَاهِرُ بِالْقُرْآنِ مَعَ السَّفَرَةِ الْكِرَامِ الْبَرَرَةِ وَالَّذِى يَقْرَأُ الْقُرْآنَ وَيَتَتَعْتَعُ فِيهِ وَهُوَ عَلَيْهِ شَاقٌّ لَهُ أَجْرَانِ.
Tarjama: Ummul momenin hazrat Aaisha radhi Allaho anha se riwayat hai ki:Huzur Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya:Quran ka maahir izzat wale burguzida farishto ke saath hoga.Aur jo Quran padhta hai aur usme atak-taa hai aur usko parishaani hoti hai.To usko doguna sawab hai. [Sahih Muslim,Hadees No.1898]
حدیث: عَنِ ابْنِ عُمَرَ قَالَ: " تَعَلَّمَ عُمَرُ بْنُ الْخَطَّابِ رَضِيَ اللهُ عَنْهُ الْبَقَرَةَ فِي اثْنَتَيْ عَشْرَةَ سَنَةً، فَلَمَّا خَتَمَهَا نَحَرَ جَزُورًا "
Tarjama: Hazrat Abdullah bin Umar radhi Allaho anho bayan karte hain ki:Hazrat Umar radhi Allaho anho Surah baqrah 12 saal tak sikha,phir jab use mukammal kiya to oont qurbaan kiya.[Sho’bul imaan,Hadees No.1805]
Share.........
Imaan Imaan ki Nishaaniya Allah ki Mohabbat Allah Ta'ala ke liye mohabbat ki fazilat Allah Ta'ala ke saath achchha guman rakhne ki fazilat Mohabbat-e-Rasool ﷺ Sachche Nabi ke Mo'jaze Tazim-e-Nabi ﷺ Nabi ﷺ ke Tabarrukaat Ahle Bait aur Sahaba ki Azmat Qabr me pesh aane wale halaat Qayamat ki nishaaniya Bando ke haq ilm-e-deen ki fazilat Quran Sharif ki azmat-o-fazilat Ilm-e-Gaib-e-Mustafa ﷺ Hayaat-e-Ambiya Ekhtiyar-e-Mustafa ﷺ Wasila Bid'at Isaal-e-Sawab Murde Bolte Sunte Hain Gustakhon ki pahchan Namaz ki fazilat Namaz chhorne ki muzammat Sunnat aur Nafil namazon ki ginti aur unki fazilat Rafa-e-Yadain Imaam ke pichhe tilawat Namaz-e-Taraweeh ki fazilat aur uski rik'aten Namaz-e-Vitr Do Namazo ko ek saath jama kar ke padhna Namaz-e-Janaza me Salam ek taraf ya dono taraf? Mukammal Namaz Hadees ki raushani me Mard aur aurat ki namaz me farq Namaz ke baad dua Ramzan Aur Roze Wagairah ki fazilat Roza na rakhne ka wabaal Haj aur Umrah ki fazilat Haj na karne ki muzammat